Mobile Se Facebook Deleted Messages Ko Recover Kaise Kare

85
facebook par deleted messages photos videos ko recover kaise kare

Hii friends Android phone se Facebook par deleted messages ko recover kaise kare, facebook par deleted messages video image ko wapas kaise laye ye main aapko iss article me batunga. Friends agar aapse fb par jaruri chat delete ho gaye hai or aap unhe recover karna yani wapas pana chahate hai to aap sahi jagah hai yaha main aapko essi ki trick batunga.  

Bhut se logo ke pass computer ya laptop nHi hota hai. lekin Lagbhag sabhi logo ke pass apna android phone hota hai kyoki inka price kam hota hai and aap asani se apne budget ke anusar android smartphone buy kar sakte hai.

Issliye aaj main apko facebook se delete messages ko recover karne ka tarika android mobile wala hi batunga jisse aap asani se apne mobile se hi facebook deleted chat message photo video ko asani se recover kar payege. kabhi kabhi humse glti se important messages delete ho jate hai

jinko recover karna humare liye bhut jaruri hota hai. aur bhut se log hai jo apne facebook inbox ko khali rakhna chahate hai issiye vo sare message read karne ke baad unko delete kar dete hai

lekin fir jab unko pata chalta hai ki koi important message bhi  unhone delete kar diya to vo usse recover karna cahate hai. vaise to facboook hi nahi aur bhi bhut si social media site jaise instagram ,whatsapp etc ko log use karte hai

aur maine apni ek post me whastapp ke delete message ko recover karne ke bare me bhi bataya hai jise aap whatsapp category me jakar read kar sakte hai and iss post me aap janege ki kaise aap facebook deleted messages ko wapis la sakte hai yani ki recover kar sakte hai.

Facebook Par Deleted Messages Ko Recover Kaise Karte Hai Android Phone Se

Agar aap bhi apne android phone se facebook par deleted messages video photos ko wapas pana chahate hai to yaha par me aapko how to recover deleted messages on facebook messenger in hindi wala hi method batane wala hu jiske liye niche bataye steps ko follow kare-

  • Sabse pahle aapko aapko facebook me apna email add karna hoga kyoki bina email add kiye aap data recover nahi sakte hai agar aapne email se fb account create kiya hai to aapka email fb se already connect hoga. or agar aapne mobile number se account banaya hai to aapko facebook me apna email add karna hoga.

how to recover facebook deleted messages in hindi

  • Iske liye apne facebook account me login kare or right side me 3 lines par click kare ab yaha aapko setting option dikhge uspar click kare or account setting option dikhega uspar cick kare.

general-and-email

  • Ab general par click karke aapko email par clik karna hai

choose-add-email-address

  • Ab add a email par click karde and aapke samne kuch option show honge

facebook ke deleted messages ko kaise wapis paye

  1. Yaha apna email dale
  2. Yaha apna facebook account ka pssword dale
  3. Add email par click karde.

Ye steps only un logo ko follow karni hai jinhone phone number se facebook account banaya hai.

    • Ab aapko facebook ki desktop version wali site par jana hoga kyoki mobile version wali site me option nHi milega issliye apne mobile se fb ki desktop wali site par jane ke liye yaha click kare nahi to fir aap niche code box mese code copy kare or apne koi bhi browser me paste karke search kare.

tap-on-down-arrow-and-setting

  • Ab aap facebook ki desktop version wali site par punch jayege yaha apko right side me down arrow dikhega uspar click kare or fir down menu open hoga usme setting par click kare.

download-a-copy

  • Ab aapko yaha niche download a copy wala link dikhega uspar click karde

facebook deleted messages ko wapis kaise laye

  • Ab ek new window open hogi yaha aapko green color me  start my archive wala button dikhega uspar click karde.

enter-fb-password-and-submit

  • Ab aapke samne ek new pop up windows open hogi yaha aapko apna facebook account ka password dalna hai or submit par click karde

tap-on-start-my-archive

  • Ab aapko dubara start my archive wala message dikhega uspar click karde.
  • ab Aapke us email par jo ki fb me add hai uspar  ek link aayega uspar click karde.
  • Link par click karne ke baad aapka facebook ka all data download ho jayega to archive formate me hoga
  • Ab aapko apne phone me rar app downlaod karna hai jise aap yaha se download kar sakte hai.

Download rar app

ap-on-extract-here

  • Rar app ko open kare yaha aapko apna facebook data archive formate me dikhega uspar click kare or extract file here par click karde

facebook deleted messages ko recover karne ka tarika

  • or ok par click karde
  • Ab aapka facebook ka all data ek folder me aa jayega.
  • Yaha aapka facebook ka all data yani  deleted messages chat photos videos dikhege or aap messages ko search bhi kar sakte hai.

Iss tarah aap aasani se facebook se deleted messages photos videos ko recover kar sakte hai.

I hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath jarur share kare or aapko iss post me kuch smajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi humari site ko subscribe kare..

85 COMMENTS

    • Sivam bro method se facebook ka all data and sath me deleted data bhi recover ho jata hai aapne koi step sahi se follow nahi ki hogi ya aapne agar apna facebook ka all data download kar liye hai to use extract karke sare folder ek baar fir se check kare aapki deleted picture message and video sabhi usi me honge..

      • Bhai msg me only chat show kar raha h but pics nhi ahow ho raha h maine bilkul sahi tarike se sab step kiye h msg ka detele pics ya jo detete v nhi huaa h koi v nhi show kar raha sabhi foldar chek kar liye hu

        • bro sayad aapne apne data ko sahi tarike se extract nahi kiya hoga aap apne mobile me koi dusri rar application download kare isske liye google play store me rar app likhkar search kare fir aapne jo facebook se all data download kiya hai use us app se extract karle usme index.htm file me aapko facebook all data data dikh jayega..

          • bro sayad ab facebook se pics recover nahi hoti hai. vaise iss method se aapka facebook ka all data download ho jana chahaiye tha and aap ek baar computer ya pc se aapne jo data downlaod kiya hai use open karke dekhe agar usme bhi pics na dikhe to fir aap unhe recover nahi kar sakte. kyoki facebook me update hota rahta hai and bhut se old feature hata diye jate hai and unke badle new feature add kiye jate hai. facebook all tricks ki information ke liye aap humari site par visit karte rahe.. thanks..

    • yes isse facebook ka all data recover ho jata hai jisme aapke deleted message bhi hote hai isliye isliye iss post me bataye instruction ko follow kar aap asani facebook ke all deleted messages recover kar sakti hai.

  1. Maine to suna hai ki ab nahi hote msgs recover bcoz facebook ne privacy bdha di hai ab…phle ho jaate they recover….

    • Aapne ye kaha suna hai ki ab facebook ke old messages recover nahi hote facebook se deleted pic recover nahi ho rahe hai ab lekin aap deleted message ko jarur recover kar sakti hai.

    • facebook deleted post permanently delete hoti hai yani vo humesa humesa ke liye delete ho jati hai jinhe aap recover nahi kar sakte hai. but agar aapne post hide ki hui hai to usse show kaea sakte hai isske bare me main jald hi post karne wala hu jisse notification apne email par pane ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.

  2. hi… maine apne laptop me kiya ye sb but jb mai download a copy par click krti hu to wha par download archive likha aata hai bus….us pr click krke password manga jata hai fir password k baad wo dwnld hone lgta hai but dwnld hone k baad file meri email id pr nhi aayi wo laptop me save ho gyi aur jb mai usko open krti hu to wo open nhi hoti….ab kya kru mai???

    • email par file nahi aati hai file ka link aata hai jisspar click karke aap facebook data downlaod kar sakti hai. and agar aapka facebook data directly download ho raha hai. yani rar format me jo file hai vo fb se hi direct download ho rahi hai to ussko open karke ke liye aap apne laptop me winrar software download kare. winrar se aap rar file ko extract karke open kar sakti hai.

  3. Bhai mere fb se pure chat delet ho gae or mene aapke trick se recover keya par pure chat nahi aaye ab me Kya karu jisse pure chat bapas aa sake.plz tell me

    • brother facebook deleted messages recover karne ki abhi ye hi trick hai or isse aapke sare deleted messages and chat recover nahi ho rahe hai to ye facebook update ki wajah se hoga. fb deleted chat recover karne ki dusri trick bhi jald hi share ki jayegi jisske liye aap humari site par visit karte rahe ya post ka notification apne email par pane ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.

  4. maine download kiya hai aur mere laptop me msgs k liye ek file aayi thi facebook k name se but usme wo msgs hai jo meri fb par abhi bhi hai,delete hue msgs nhi aaye hai,maine kyi baar try kiya but whi msgs aate hai jo delete nhi hai….

    • issme facebook all data download hota hai jissme aapke sare messages and images videos hote hai and issme aapke deleted photo images and videos bhi hote hai.

  5. Sir download archive ke baad password mang raha par par usme password type karne ke liye click kar raha to nai ho raha click karte hi auto continue ho ja raha kya karu??

    • facebook app me ye process work nahi karege issliye aap apne computer ya laptop me facebook ki site open kare and agar aap mobile user hai to aap google chorme browser ka use kare or chrome browser me 3 dot dikhegi unpar click kare or request a desktop site wale box par click karde. or facebook ki site par jaye ise aapke phone me fb ki desktop site open hogi fir aap waha se archive file download kar sakti hai

    • abhi facebook policy me bhut se changes huye hai jinki wajah se sayad delete message mese kuch hi show hote hai or jayeda old message Permanently delete ho jate hai.

  6. Hello sir….meri ek Facebook I’d khrab ho gyi hai…kya WO theek ho sakti hai…sir please WO mere liye bahut important hai….usmain message main mere Love k sare photo pade hain please sir help me

    • aapki facebook id sayad blocked ho gayi hai usse aap unblock kar sakte hai isski post maine already ki hui hai jisse aap facebook category me jakar read kar sakte hai

    • yes abhi facebook me new update add kiye gaye hai jis wajah se aap apni last years ki chat ab download nahi kar sakti hai kyoki vo permanently delete ho jati hai.

  7. bro file download nhi ho rahi hai
    likha aa raha hai this file no longer valid
    uc , chrome , opera sabhi pe yahi aa raha hai
    plz help

    • aap duabara file download kare and aapke browser me problem hai sayad aap chrome browser me menu button par click karke request desktop site wale option click karde and fir facebook open kare isse facebook ki desktop site open hogi and usse aap apne facebook account ki data file download kar sakte hai.

    • aapka question clear nahi hai ki aapne apne friends ko jo picture send ki thi vo aapke phone me show nahi ho rahi hai ya aapke friend ke phone me show nahi ho rahi hai agar aapke phone me vo picture nahi dikh rahi hai to pic aapke phone se delete ho gayi hogi and friend ke mobile me pic nahi dikh rahi hai to sayad sahi se send nahi hui hogi.

  8. Bhai ye ho nahi raha hai archive download ho raha hai lekin uske baad vah baat jo aapne kahi thi ki Voh password dalne ke baad vah file download ho rahi hai lekin open nahi ho rahi hai aur na hi uske baad agla step jaisa ki aapne kaha start my archive nahi aa raha hai

    • facebook par ab only 15 days tak hi messages save rahte hai aur uske baad vo permanently delete ho jate hai isliye agar aapko kisi ke msg nahi dikh rahe ho to vo 15 days old messages honge Aur permanently delete ho gaye honge.

  9. Ye method pura kiya maine bhai… Bt deleted messages mjhe nai mile… Bhot important the wo recover krne.

    Bt nai kr paya m.

    Aap plzzzzz help kro bhai

    • jaisa ki maine bataya hai ki abhi facebook policy me update hua hai aur ab aap only 15 days ke deleted message hi aap recover kar sakte hai aur uske pahle ke messages permanently remove ho jate hai.

  10. Sir aapne jaise jaise bataya Maine thik vaise hi kiya but mere 2015 ke message recover nhi hoparee hai to mai kya karuu please tell me

    • aap sayad faaebook app me data download karne ka option find kar rahi ho but waha par ye option nahi dikhega. aapko facebook ki site par jana hoga jiske bare me already iss post me bataya hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here