Sarahah App Kya Hai ? Sarahah App Ko Use Kaise Karte Hai – Full Detail

3
sarahah app kya hai Aur sarahah app ko kaise use kare

Hi friends sarahah app kya hai Aur ye kaam kaise karta hai ya sarahah app ko use kaise kare ye aaj hum iss post me janege. Friends google play store me kuch hi month me sarahah app upload kiya gaya or isse 50 millions se jayeda logo ne download kiya hai isse aap iss app ki popularity ka abdaza laga sakte hai.

Sarahah App Kya Hai Puri Jankari Hindi Me

Contents

Friends agar aap iss app ke bare me nahi jante to aap soch rahe honge ki sarahah app kya hai or ye itna popular kyo ho raha hai and issme essa konsa feature hai jo isse popular bana raha hai to me aapko batana chahunga ki ye ek massaging apps hai but ye baki sabhi messenger se alag hai matlab issme aapko ek kamal ka feature milta hai sarahah app se aap kisi ko bhi bina apni pachaan bataye message send kar sakte hai.

Yani iss app se aap kisi ke ke bhi number par kuch bhi message send kar sakte hai or ussko aapka number nahi dikega yani ab aap apni identication ko chupakar iss app se apne kisi bhi friends girl friends etc ko message send kar sakte hai. or jise aap message send karege vo uss message yani aapke dwara kiye gaye msg ka reply nahi kar payega. Ye hai na ek kamaal ka feature issi feature ke karan ye app itna popular ho raha hai.

Sarahah App ki Puri Jankari Hindi Me

Sarahah app kisi company ne nahi balki Sudi arab ke ek software developer jisska name jen abideen tofik hai unhone banaya hai and ye app play store par 1 month pahle hi launch ki gayi hai or isse abhi tak 50 millions yani ( 5 crore ) logo ne download kar liya hai.

Sabse pahle fabuary 2017 me sarahah ki website lunch hui thi. And abhi 1 month pahle yani july 2017 ko sarahah app ko launch kiya gaya hai jise aap android and ios dono user ke liye lauch kiya gaya hai.

Sarahah App Ke Fayde (Benefits) in Hindi

1. Jaisa ki me aapko uper hi bata chuka hu ki isska sabse bada fayda ye hai ki aap kisi ko bhi kuch bhi msg send kar sakte hai or usse aapka number bhi nahi dikhega and vo aapke message ka reply bhi nahi kar payega.

2. Isska use karke aap apne friends ke sath masti ya prank kar sakte hai. And agar aap apne friends se ya kisi se kuch bol nahi pa rahe hai to isske dwara bol sakte hai.

3. Aap apni friends ya girl friend ya aap apne boy friend se jo kuch bhi khena chahate hai vo nahi kah pa rahe hai ya aapka jaghda hua ya aap kisi se love karte hai ya karti hai ya koi bhi baat ho jo aap bol nahi pa rahe ho to iska use karke aap asani se kisi ko bhi ya apne friend ko message karke apni baat bata sakte hai..

4. Isska use karke aap apne friends ke sath masti karne ke sath apne dil ki baat bhi bol sakte hai.

Sarahah App ke Nuksan (Loss) in Hindi

1. Isska use karke koi bhi aapko kuch bhi message send kar sakta hai yani msg me abuse bhi kar sakta hai.

2. Isski sabse badi problem ye bhi hai ki issme koi aapke message ka reply nahi kar sakta vaise ye feature kuch logo ke liye accha hai but bhut se log agar koi baat kisi se kahna chahate hai ya unka koi question hai jo vo puchna chahate hai. Vo nahi puch pa rahe hai to vo sarahah app ke dwara vo question puchte hai to usska reply dene ke liye bhi feature hona chahaiye tha.

3. Sarahah app me kabhi kabhi error bhi aate hai yani issme abhi bhut se bugs se jaise ye automatically logout ho jati hai ya login karne me problem hoti hai etc.

4. Isska use karne ke liye aapko issme sign up karna hota hai or kabhi kabhi issme Unfortunately stopped bhi likha aata hai

Sarahah App ko kaise use karte hai – Full detail

  • Sabse pahle aapko play store and ios store se sarahah apk ko download karna hoga ya aap niche button par click karke bhi download kar sakte hai.

Download  

tap-on-right-arrow

  • Ab iss app ko download and install karne ke baad open kare ab yaha aapko iske bare me bataya jayega yaha right side me arrow dikhega uspar click karde.

right-arrow-start-now

  • ab dubara right side wale arrow par click karde and fir start now par click karde.
  • ab issme aapko account banaga hoga isske liye  new account par click karde.

username-name-email-password-term-and-condition

  1. yaha aapko username dalna hai username me aap apna name ke sath number use kare ex- manishlodhi12
  2. name me apna pura naam dale
  3. yaha apna email address dale.
  4. password dale passowrd me aap alphabet ( a to z) or number ka use kar sakte hai.
  5.  jo password dala tha vo enter kare.
  6.  i agree ke samne wale box par click karke tick karde.
  7. sabhi option sahi se fill karne ke baad sign up par click karde.

sarahah-app-homepageNow aap sarahah app me register ho jayege and ab aapko yaha homepage par uper  received, favorite, sent dikhege and niche 4 icon message, search, explore, or profile dikhege.  in option ka use ke bare me me aapko detail me baa deta hu.

received-favorite-sent1. Received – aapko koi bhi message send karega to vo yaha show honge

2. favorite – aapko agar koi msg accha lagta hai to aap usse favorite kar dete hai to vo yaha dikhega.

3. sent– aap jo bhi message apne friends ya kisi ko bhi send karege wo yaha show honge.

message-search-profile-icons

1. Message icon – iss par click karke aap hompage par punch jayege and apne messages ko dekh payege.

2. search icon – isspar click karke aap apne friend ko search kar sakte hai or unhe kuch bhi message send kar sakte hai.

3. explore – ye feature abhi iss update me nahi diya gaya hai. agle update me ye feature add kiya jayega.

4. profile – profile icon par click kar aap apni profile dekh sakte hai.

search-icon-and-search-user

iss tarah friends aap asani se search icon par click kare or apne friends ko search kare or jo bhi msg send karna hai vo likh kar bhej de usse aapka number nahi dikhega. or vo usska reply bhi nahi kar payega.

profile-icon-share-post

ab agar aap chahate hai ki koi aapko sarahah app me message send kare to aap profile icon par click kare yaha aapko apne username wala ek link dikega isske samne ek share icon dikhega uspar click karde. ab jaha bhi iss link ko share karna chahate hai jaise facebook par karna chahate hai to facebook par click karde or post karde.

iss tarah friends aap asani se sarahah app ko use kar sakte hai ye information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye. kisi ko bhi bina pahchaan bataye message karne ka ye bhut hi best tarika hai issliye ye apk itna popular ho raha hai. sarahah app se related aapka koi sawal hai ya iss post me aapko kuch samjh na aaya ho to comment karke jarur bataye. or isse apne friends ke sath social media site par share jarur kare.

3 COMMENTS

    • sarahah app me login karne ke baad homepage par aapko search icon dikhega uspar click karke apne friend ka name likhkar search kar sakte hai jisse aap message send karna chahate hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here