Hi Friends Mobile ke Contact Number Gmail Me Save Kaise Kare , Phone Contact Ka Backup Gmail Id Me Kaise Lete Hai ye aaj me aapko iss article me batane Wala hu. Dosto agar aap android user Hai Aur apne phone contacts ka backup banana chahate Hai to aaj me aapko issi ke bare me batane Wala hu.
Aap koi sa Bhi mobile use karte ho But usme aapne apne friends family relatives etc ke contacts jarur save Kar rakhe honge Aur essa sayad hi koi hoga jisne apne phone me kisi ke contact number save na kiye ho. Aur bhut baar essa hota Hai jab aap apna phone reset karte Hai.
To aapke phone ka Sara data Delete ho jata Hai ye baat bhut se logo ka pata Hai issliye vo apne phone ke image video files ka to backup dusre phone ya pc me le lete Hai but phone contact ka backup nahi le pate Hai Aur jisse unke sare contacts number delete ho jate Hai. Ye to sirf 1 reason Hai Aur Bhi bhut se reason hote Hai jinki wajah se humare phone ke contact number delete ho jate Hai.
Jaise agar phone kahi gum ho jata Hai ya sim card gum ho jata Hai to contact number Bhi lost ho jate Hai. Essa issliye hota Hai kyoki aap apne mobile ke contact number ko apne phone storage ya sim me save karte Hai but aap mese bhut hi Kam log jante honge ki aap apne phone ke contacts ko Gmail Id me Bhi save Kar sakte Hai.
Agar aap apne contacts gmail me save karte Hai to vo Puri tarah se safe and secure rahte Hai and unhe aap kabhi Bhi recover kar sakte Hai.
- Kisi Bhi Jio Number Call Details Messages Apne Mobile Me Kaise Dekhe
- Prepaid Postpaid network kya hai & in dono sim me Difference kya hota hai
Contact Number Gmail Account Me Save / Store Kaise Kare ?
Contents
Agar aap Bhi apne contacts ko gmail me save Karna chahate Hai to uske liye aapke pass Gmail Id hona jaruri Hai gmail id jisse Google account Bhi bolte Hai aap easily create Kar sakte Hai isske bare me Maine already bataya hua Hai ki aap Kaise Google account bana sakte Hai agar aapne vo post read nahi ki Hai to yaha niche link par click karke read Kar sakte Hai
Ab man lete Hai ki aapka Gmail account Hai ab aap agar contact number Gmail me store Karna chahate Hai to uske aapke pass 2 option rahte Hai aap apne sabhi contacts ki files ko Google drive me upload Kar sakte Hai ya aap Gmail me contacts save Kar sakte Hai.
Google Drive ke bare me aap mese bhut se log nahi jante honge but Gmail ya email address ke bare almost sabhi logo ki pata Hai to yaha aapko me contact number gmail id me save Kaise karte Hai issi ke bare me batane Wala hu.
Phone Contact Number Ka Backup Kaise Banaye ya Contacts Ka Backup Kaise Le
Bhut se logo ke yahi question rahte Hai ki phone gum ho Jane ke baad contact number wapas Kaise laye, Mere phone se galti se contact number delete ho Gaye Hai unhe wapas restore Kaise karu, Mera sim gum ho gaya Hai uske phone number ko wapas Kaise paye ya sim kharab ho chuki Hai Kya usme store contacts ko wapas la sakte Hai to inhi sabhi question ka answer Hai yes agar aapne apne contact number Gmail me save kiye the to vo aapke phone se delete ho jate Hai to aap unhe easily restore Kar sakte Hai.
Yaha me aapko 2 tarike batane Wala contact number gmail me save ya import and export kaise karte hai. Ye dono tarike me aapko Gmail ka hi use hoga but thoda steps alag hogi ye 2 method me issliye share Kar raha hu
kyoki sabhi logo ke pass different different company ke phone hote Hai jaise kisi ke pass Samsung , Micromax , vivo etc ka phone hota Hai to kuch logo ke pass redmi, intex, oppo etc mobile hota Hai
Aur sabhi mobiles me alag alag setting rahti Hai to friends yaha me aapko Jo method batane Wala hu in dono method me aap apne kisi Bhi phone ke contact number ko Gmail me save Kar sakte Hai.
Android Mobile Ke Contact Number Gmail Id Me Save Kaise Karte Hai
- Sabse pahle aapko apne mobile me contacts me Jana Hai Aur Waha par aapko 3 dot dekhegi unpar click kare Aur fir import / Export wale option par click karde.
Ab yaha aapko apna email address, phone contact , phone storage, sim card etc option dikhege agar aapke phone me sd card laga hoga to sd card option Bhi yaha par dikhega ab yaha se aapko Jin contacts ko Gmail me save Karna Hai vo aapke phone me Hai to phone contact ya phone storage wale option par click karde Aur agar aap sim card ke contact number Gmail me save Karna chahate Hai yaha sim ke samne wale box par click karke select kare Aur next par click karde
- Ab aapko yaha copy contacts to Wala option dikhega yaha apne email address Yani Gmail I’d ke samne wale box par click karde Aur next par click karde
Note – Friend aapko agar yaha par apna Gmail I’d ya email nahi dekhe to isska Matlab ye Hai ki aap apne gmail me sign in nahi Hai issliye apne mobile me Google account se sign in Kare Aur fir yaha aapko Bhi contacts me email address Bhi show karne lagega.
- Ab aapko aapne apne phone storage ya sim card Jo Bhi aapne choose Kiya Tha usme store sabhi contacts show honge ab aapko inke aage wale box par click karke select Karna Hai Aur sabhi contact ko select karne ke baad ok par click karde.
- Now friends aapke phone ke sabhi contact number aapke email address me save ho Gaye Hai ab agar aapko unhe dekhna Hai to Google contact me Jana hoga jispar direct Jane ke lite niche button par click kare.
Ab agar yaha par aapse sign in karne ke liye bola jata Hai to yaha email me apna email ya Gmail address Dale Aur password me apne Gmail account ka password enter Kare Aur next par click karde.
Ab yaha par aapko vo sabhi contacts dikhne lagege Jo aapne save kiye the Aur aapke phone se agar aapke contact delete Bhi ho jayege to yaha se delete nahi honge Aur in gmail contacts ko aap kabhi Bhi apne phone me restore Kar sakte Hai.
- GF/BF Kisi Ke Bhi Jio Number Ki Call History / Call Details Kaise Nikale
- Apne Airtel Sim ke Number ki Call Detail Record List kaise Nikale in hindi
Xiaomi Redmi Phone Me Contacts Ko Gmail Me Save Kaise Kare
Friends ab aap soch rahe honge ki Maine pahle hi Bata Diya Hai ki phone contact Gmail me store Kaise karte Hai to fir me dubara redmi phone ke liye alag method kyo Bata raha hu to vo issliye kyoki jaisa ki Maine aapko starting me hi bataya ki sabhi phone ki alag alag setting rahti Hai
Aur unme kuch option Bhi alag rahte Hai so 1st method ka use karke agar aap apne contacts ka backup nhi le pa rahe Hai ya waha par contact import / export karne ka koi options hi nahi aa rahe Hai to aap isse 2nd method ko follow kare. Ye method redmi ke sabhi phone redmi 4a, redmi 4x, redmi 5a, Redmi y1 etc me to work karega hi sath me aapke phone me Bhi work kar sakta Hai.
- Sabse pahle aapko apne mobile ki setting me Jana Hai Aur yaha par aapko last me system apps ka option dikhega uspar click karde Ab yaha aapko apne phone ki sabhi apps dekhegi unmese contacts par click kare.
- Ab yaha import/ export contact wale option par click karde.
Ab yaha aapko import from storage , import from sim card 1, import from sim card 2 etc option dikhege. Agar aapke phone me Jo contact Hai unko Gmail me save ya export Karna chahate Hai to import from storage wale option par click karde
agar aapki sim ke contact number ko aap Gmail me store Karna chahate Hai to jis bhi sim se contact store Karna Hai us option par click karde. Agar 1st sim ke contact number export karne Hai to import from sim 1 par click kare Aur 2nd ke Karna Hai to Import from sim 2nd sim option par click karde.
- Ab contact number storage select karne ke baad ab yaha create contact under account likha dikhega yaha aapko apne Gmail Address par click Karna Hai.
Ab yaha aako apne phone ya sim ke sabhi contact number dikhege ab inmese aap jo bhi contact number gmail me save Karna chahate Hai uske aage wale box par click karke select Kar sakte Hai ya aapko agar apne all contacts ko Gmail me save Karna Hai to right side me aapko select all Wala option dikhega uspar click karde Aur Niche import option par click karde.
Ab aapke phone contact Gmail me copy hona start ho jayege 1 se 2 minute wait Kare Aur fir aapke sabhi contacts Gmail me store ho Jaye fir agar aapko unhe dekhna Hai to aapko google contacts me Jana hoga jispar direct Jane ka link Maine 1st method me share kiya Hai uspar click kare Aur apne Gmail we sign in Kare Fir yaha aapko vo sabhi contact number dikhene lagege Jo aapne Gmail me save kiye the.
Issi tarah friends aap Bhi aasani se apne mobile ke contact number Gmail I’d me save Kar sakte Hai.
Important- friends aap jab contact number gmail id me save karne ke liye in steps ko follow kare tab aapko apne phone ka internet on karke rakhna hai yani data enable karke rakhna hai.
- Kisi Ko Bhi Gmail Se Email Kaise Bheje тАУ Send Email Using PC Computer
- Kisi Bhi Sim Card Me Talk Time Loan Kaise Lete Hai simple trick in hindi
Dosto Mobile Ke Sabhi Contact Number Gmail Id Me Save Kaise Karte Hai, Phone Contact Gmail Me Export Kaise Kare, Phone Contacts Ka Backup Kaise Banaye, Contact Number Ka Backup Kaise Le, Phone Contact Number Email ID Me Save Kaise Kare ye ab aap Jan hi Gaye honge agar aapko android tricks se related ye article accha laga and ye aapke liye useful raha to isse apne friends ke sath share jarur kare Aur essi or bhi ki notification Facebook par received karne ke lite humare Facebook page ko like jarur kare.
Aapka post kafi achha hai.
Kya mere Ko kuchh suggestions de sakte hai mere blog related
thanks bro aapki site ki template bhut acchi hai and acchi post kar rahe ho.
mere phone mei sir kabhi kabhi mere save kiye huve contact gayab ho jate hai aisa kyu hota hai
phone contacts automatically delete nahi hote hai but agar phone me save contact number show nahi kar rahe hai to vo contacts sayad aapke sim card me save honge and agar aapka phone xiaomi ka hai to aap setting me system setting me jakar contacts par click kare aur waha aapko display preferences option dikhega uspar click kare aur waha show sim contacts ka option hoga uske aage wale box par click karke usse enable karde fir aapke sim me jo contacts honge vo bhi aapko contacts me dikhne lagege.