Mobile Phone Se Computer Me File Transfer Kaise Kare Using WiFi

14

Hii friends android mobile se computer me file kaise transfer kare ye main aapko iss article me batane wala hu. mobile se computer / laptop me file transfer karne ke liye almost sabhi log data cable ka use karte hai. kya aap jante hai ki bina data cable ka use kiye hi phone se computer me file bhej sakte hai. aur aaj me issi ke bare me batane wala hu.

aapke mobile me bhut si files jaise video, image, audio hogi jinhe aap apne computer me send karna chahate honge to isske liye sabhi log data cable wala tarike ka use karte hai aur data cable se apne phone ko computer se connect karte hai to ye tarika bhut hi purana ho chuka hai aur aap abhi bhi purane tariko ka use kar rahe hai.

Android Phone Se Computer Me File Transfer Kaise Karte Hai

Contents

aaj kal sabhi logo ke pass apna android smartphone hota hai aur usme bhut se feature rahte hai. bhut se log phone ki camera quality ko dekhkar hi usse buy karte hai kyoki unhe photo click karna bhut pasand hota hai. lekin jaisa ki aapko pata hi hoga ki jayedatar android mobile me hume 16gb se 32gb tak ki storage milti hai.

vaise to android smartphone me hume 64gb se 128gb tak ki storage bhi mil jati hai lekin fir isse phone ka price aur badh jata hai to kam storage ya aur kisi reason se bhut se log apne mobile ke photo ko laptop me transfer karna chahate hai hai

aur unko nahi pata rahta hai ki mobile se laptop me photo kaise transfer kare to me aapko jo method batane wala hu uska istemaal karke photo hi nahi balki mobile se computer me video, audio, song bhi transfer kar payege.

Android Mobile Phone Se Computer Me File Transfer Kaise Kare Without USB Cable

Jaisa ki dosto aapko pata hi hoga ki hum android to android mobile me file ( image, video, song ) transfer karne ke liye shareit app ka use karte hai ussi tarah mobile se computer me file transfer karne ke liye bhut si apps hoti hai

jinka use karke wifi yani wireless network ke through phone se computer me data transfer kar sakte hai. vaise to computer to mobile file transfer karne ke aur bhi tarike hai. jaisa aap google drive ka use karke bhi file transfer kar sakte hai.

How to Transfer Files Between Computer Or android Mobile Using WIFI

  • Sabse pahle apne mobile me file manager name ka ek app download karna hoga jise google play store se download kar sakte hai.

Download File Manager App

enable-hotspot-in-your-mobile

  • Ab apne phone ko apne computer se tethering hotspot aur wifi ki help se connect kare. Sabse pahle apne mobile ka hotspot on karne ke liye mobile setting me jaker tethering &  portable hotspot par click karke use on karde. Niche image ko follow kare .

connect-mobile-and-computer-using-wifi

  • Ab apne computer ya laptop me wifi on kare or hotspot se connect kare image follow kre.

tap-pc-file-transfer-option

  • ab aapne jo file manager app download ki hai usse open kare aur issme pc file transfer wale option par click karde.

choose-start-option-in-file-manager

  • Ab start par click kare iss tarah aapka mobile pc se connect ho jayega or aapke phone ki screen par ek http://192.168.43.1:55 iss tarah ka address hoga. ye ek ip address hai. issko aapko apne computer me open karna hai.

connect-mobile-to-computer

  • iss ip address ko apne laptop ke kisi bhi browser me jaise google chrome, morzilla firefox etc me open kare.

phone-se-computer-me-file-transfer-kare

  • Ab Aap apne mobile ki kisi bhi file ke samne right click kare or download par click karde iss tarah aap wifi ki madad se or without cable android phone se computer me aasani se videos photos music  transfer kar sakte hai.

Important – in sabhi process ko aap internet ke bina use kar sakte hai. Iss tarah aap without internet yani offline easily wifi ki help se file share kar sakte hai.

Friends agar aapko ye post accha lage to isse dosto ke saat social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aya ho to comment karke jarur bataye or iss blog ko subscribe karna na bhule…

14 COMMENTS

    • Computer ki hard disk se data recover karne ke bhut se software aapko internet par mil jayege unmese hi ek hai 7 data recovery software jiska use aap apne computer se delteted data ko recover karne ke liye kar sakte hai. ( You can use 7 data recovery software to Recover deleted data from your computer hard disk. and you can search this software on Google)

    • yes kuch file issme download nahi hoti hai matlab mobile se computer me kuch file jaise images send nahi kar sakte hai main ek or post karne wala hu jisse aap android phone se wifi ka use karke computer me all file transfer kar sakte hai uss post ki notification apne email par received karne ke liye aap humari site ko subscribe karle.

  1. Sir isse application se koi file nahi transfer ho rahi hai jab download par click karo to untitled ka new tab khul jata hai

  2. рдореИрдВрдиреЗ рдЖрдкрдХрд╛ рдпреБ рдЯреНрдпреВрдм рд╡реАрдбрд┐рдпреЛ рджреЗрдЦрдХрд░ рдЕрдкрдиреЗ рдПрдВрдбреНрд░реЙрдпрдб рдореЛрдмрд╛рдИрд▓рд╕реЗ рдХрдВрдкреНрдпреВрдЯрд░рдореЗ рджреЗрддрд╛ рдЯреНрд░рд╛рдВрд╕рдлрд░ рдХрд░рдирд╛ рдЪрд╛рд╣рд╛ рдкрд░ рдПрдВрдбреНрд░реЛрдЗрдбрд╕реЗ рдХрдВрдкреНрдпреВрдЯрд░рдореЗ рджреЗрддрд╛ рдЯреНрд░рд╛рдВрд╕рдлрд░ рдирд╣реАрдВ рд╣реБрд╡рд╛, рдореБрдЭреЗ рдПрдВрдбреНрд░рд╛рдЗрдб рдлреЛрди рд╕реЗ рдХрдВрдкреНрдпреВрдЯрд░рдореЗ рджреЗрддрд╛ рдЯреНрд░рд╛рдВрд╕рдлрд░ рдХрд░рдиреЗ рдХреА рдЖрд╕рд╛рди рддрд░реАрдХреЗ рдмрддрд╛рдЗрдП рдкреНрд▓реАреЫ

  3. рдореЛрдмрд╛рдЗрд▓ рдХреЛ рдХрдореНрдкреНрдпреВрдЯрд░ рд╕реЗ wifi рджреНрд╡рд╛рд░рд╛ рдЬреЛреЬрдиреЗ рдХрд╛ рдЖрд╕рд╛рди рддрд░реАрдХрд╛ рд╣реИ

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here