Truecaller App Kya Hai ? Truecaller Ke 6 Hidden Feature in Hindi

2
truecaller app kya hai, what is truecaller, truecaller full detail in hindi

Truecaller App kya hai, truecaller hidden feature fetures jo aapki life asan banayege, Friends aapke pass koi bhi phone ho agar aap aap kisi unknown number ke bare me janana chahate hai to  aapne truecaller ka naam to suna hi hoga. Lekin aap me se bhut se log honge jo  iss  ke bare me nahi jante honge. 

Isliye is post me aapko batunga ki truecaller kya hai or isske kon se features hai jo aapki life asan bana sakte hai. Isliye please puri post padhe.   mobile user ki sankya badhti ja rahi aur sabhi log aaj kal phone me itna busy hote hai ki unko agar koi unknown number se call karta hai to vo usse received hi nahi karte hai

lekin kabhi kabhi ho sakta hai ki aapko aapka friend hi kisi dusre number se call kar raha ho. to bhut se log sochte hai ki kya essa koi tarika hai jisse hume pata chal jaye ki humare mobile par jo unknown number se call aa raha hai uska owner kon hai to essa possible hai.  

Truecaller App Kya Hai ? In hindi

Contents

agar koi aapko unknown number se call karta hai ya call karke paresan karta hai. Or aapko nahi pata hai ki vo unknown number kiska hai to aap truecaller app ki help se usske owner ke bare me aasani se jan sakte hai issme aur bhi feature milte hai aur isska use karke aap kisi bhi number ko search karke uske owner kon hai ye check kar sakte hai.

Truecaller ek android app hai, jiski madad se aapko kisi bhi unknown mobile number ki puri jankari mil jati hai, jab koi aapko  kisi bhi unknown ya vo number jo aapke mobile me save nahi hai,

uss number se call karta hai , to iss app ki help se aap uske owner ka naam aasani se pata laga sakte ha. vaise to aur bhi bhut se aap hai jinka use karke aap kisi bhi number ki detail pata kar sakte hai but truecaller ek best app hai jisse lagbag sabhi log use kate hai

abhi bhut se log soch rahe honge ki ye app kaam kaise karta hai to me aapki jankari ke liye bata deta hu bhut se log truecaller app ka use karte hai aur isme aapse contact ki permission mangi jati hai to jaisa ki hum sabhi log apne friends aur relatives ke number apne mobile me save karke rakhte hai

thik ussi tarah kisi na kisi ka number kisi ke phone me save rahta hai aur uske mobile me bhi ye app hai aur usne contact ki permission de hui hai to isse aapko pata chal jata hai ki konsa number kiska hai,

.Truecaller app ke  call karne wale ka naam or pata lagane ke alawa or bhi bhut se features hai jinke bare me bhut se logo ko nahi pata hota hai.

Truecaller Ke 6 Hidden Features Jinke Bare Me Aap NahI Jante

 1. Scammers se bachne me help-

aaj-kal bhut se log hai, jo paise kamane ke liye fack call karte hai, or bhut se log in calls ko real samazkar apna nuksan kar lete hai, iss app ki help se aap kisi bhi call ka pata laga sakte hai, or fraud ya spemmers se bach sakte hai.

2. bina internet bhi jane kiska hai call-

jaruri nahi hai ki ye app humesa  internet hone par hi kaam kare. Agar kisi ne aapko pahle jis unknown number se call kiya tha jab aapke mobile me internet connected tha, to agar vo unknown no. aapke mobile par dubara aata hai to ye app bina internet ke bhi uss nuber ka naam or pata aapko bata deta hai.

truedialer kya hai, truedialer ki puri jankari hindi me, what is truedialer and how to use truedialer-pcormoney.blogspot.com

3 Truedialer bhi hai kaam ka app  

iss app ka ek dialer app bhi hai, jise aap apna default dialer bhi bana sakte hai. Ye dialer app truecaller app ke sath sink ho jata hai, jise aapko alag se number search or block karne ki jarrat nahi padti hai.

4. Call block karne me help-

ye aap aapko call block karne me bhi help karta hai, agar aapko lagta hai, ki koi aapko kisi khaas nuber se paresan kar raha hai, to aap uss number ke pahle kuch number jodhkar uss number ko asani se block kar sakte hai.

5. Search kare number-

iss app ki help se aap asani se kisi bhi  number ko search kar sakte hai, iss app me ek search baar hai, jo app kholne baar dikhta hai, issme koi bhi number likh kar search kar sakte hai, or naam ya address likhkar bhi kisi ko khoj  sakte hai.

6. Databash se number hatane me help-

bhut se log nahi chahate hai ki unka number kisi ko pata chale, or koi unko call karke paresan kare, agar aap bhi unme se ek hai to  aap apna number iss app ke databash se hata sakte hai, apna number hatane ke liye  yaha click kare or country code ke sath apna mobile number type kare. isske bare me puri jankari maine apni ek post me already share ki hui hai jisse aap internet category me jaker read kar sakte hai.

Friends truecaller kya hai aur kaise use kare wali ye post agar aapko agar aapko ye post acchi lagi or aap essi or bhi post padhna cahate hai to plese blog ko subscribe kare, or aapko is post me kuch samaz me na aaya ho to comment jarur kare  main aapki puri help karunga, or last me post ko  share jarur kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here