TrueCaller Pay Se Paise Kaise Bheje – Money Transfer Using TrueCaller

0
truecaller pay se paise kaise bheje money transfer using truecaller

Hii Friends Truecaller App Se Paise Transfer Kaise Kare, Truecaller Pay Se Mobile Recharge & Bill Payment Kaise Karte Hai ye aaj hum iss article me janege. Dosto Truecaller ne apne new update me ek bhut hi accha feature add kiya hai jiska name hai truecaller Pay isska use karke aap apne Bank account se kisi ke bhi bank account me money transfer kar sakte hai ye feature upi based hai.

Digital india banane ke liye government cashless transaction ko badhava de rahi hai issliye digital payment ko aur bhi fast banaya ja raha hai. Upi payment karne ka sabse fast method hai jise npcl ( national corporation of india ) ke dwara banaya gaya hai aur bhut si payment app jaise phonepe, tez, bhim etc upi based hai aur paytm aur whatsapp ne bhi apni apps me upi option add kiya hai

and ab truecaller ne bhi apni app me ye option de diya hai. Agar aap truecaller ke bare me nahi jante hai to saral sabdo me kha jaye to iss app se aap kisi bhi unknown number ke bare me pata kar sakte hai

means aapke mobile par agar kisi esse number se call aata hai jo aapke phone contact me save nahi hai to truecaller app us number ko search karke uske owner ka name bata deta hai iss tarah aap kisi bhi unknown number ke bare me easily pata kar sakte hai.

Bhut se logo ke mobile me truecaller app hota hai to aap bhi agar iss app ka use only unknown number ko identify karne ke liye karte hai to isske alwa isska istemaal aur bhi kaam me kar sakte hai jaise aap isse money transfer, mobile recharge aur bill payments bhi kar sakte hai.

TrueCaller App Se Paise Transfer Kaise Kare In Hindi

Contents

Truecaller app se ab aap apne friend relatives ya kisi ko bhi paise bhej sakte hai aur paise received bhi kar sakte hai ye feature upi based hai issliye issme aap faster way se payment kar sakte hai truecaller se kisi ko paise bhejne ke liye aapko issme apne bank account ko add karna hota hai.

Aur issme bank account ko add karne ka method bhi other upi app jaisa hi hai yani truecaller se bank account connect karne ke liye aapka jis bhi bank me account hai uska registered number wala sim card aapke phone me hona jaruri hai.

TrueCaller Pay Se Money Transfer Kaise Karte Hai ?

  • Sabse pahle apne mobile me truecaller app ko open kare aur agar isse update nahi kiya hai to playstore me jakar isse update karle ya direct isse yaha se bhi download aur update kar sakte hai.

Download truecaller

tap-on-banking-option-and-get-started

  • Ab truecaller app ko open kare yaha par aapko banking wala ek option dikhega iss par click karde aur fir yaha par green color ka get started button dikhega iss par click kare.

select-your-bank-account-linked-sim-card

  • Now aapko sim choose karne ke liye bola jayega yaha par aapka jis bhi sim ka number bank account se registered ya connect hai us sim ko select kare jaise ki mera idea sim ka number bank account se linked hai to me idea sim ko choose karunga esse hi aap bhi choose kar sakte hai. Aur fir sim select karne ke baad next par click karde.

select-your-bank

  • Now ab aapko apne us bank account ko select karna hai jo aapke number se linked hai yaha aapko bhut si banks dikhegi unmese apni bank par click karke select karde.
  • Congrats ab aapka bank account truecaller se successfully linked ho jayega agar aapne pahle kabhi kisi upi app ka use nahi kiya hai to aapko upi pin generate karna hoga.

tap-on-send-money-option

Now ab aapko yaha par request, send money, scan and pay 3 option dikhega request option ka use karke aap kisi se bhi paise mang sakte hai send money wale option ka use karke aap kisi ko paise bhej sakte hai aur scan and pay option se aap QR code scan karke bhi kisi ko paise bhej sakte hai yaha par me aapko paise transfer karne ke bare me bata raha hu to aapko ab send money wale option par click karna hai.

tap-on-beneficiaries

Ab yaha par aapko apne sabhi contact dikhege ab apne jis bhi friend ko money send karna hai uska number select kar sakte hai lekin aap apne jis bhi friend ko money send kar rahe hai uska bhi bank account truecaller pay se linked hona jaruri hai ya agar aap kisi esse person ko paise bhejna chahate hai jiska bank truecaller pay se connect nahi hai to aap uske bank account me bhi paise send kar sakte hai isske liye yaha par beneficiaries wale option par click kare. Ab yaha par aapko a/c number & IFSC code, Upi id aur aadhaaar Number ye 3 option dikhege. In tino hi option ke dwara aap apne friend ko money transfer kar sakte hai aur me tino hi option ke bare me batane wala hu. sabse pahle 1st option account number and ifsc code par click karde.

A/c Number & IFSC Code

add-your-friend-bank-account-details

ab yaha par aapko apne friend ki bank details dalni hai jise aap paise bhejna chahate hai account number me apne friend ya jise paise bhej rahe hai uska account number dale re-confirm account me dubara uska account number dalkar confirm kare  ifsc me uske bank ka ifsc code dale beneficiary name me apne friend ya uska name dale jise paise bhej rahe hai aur mobile number wale option me uska number daal sakte hai ya isse blank bhi chodh sakte hai ab sabhi detail sahi se fill karne ke baad pay now par click karde.

Ab aapse amount enter karne ke liye bola jayega aapko jitne bhi paise 100 200,  500 ya 1000 etc send karne hai vo amount me dale aur pay par click karde fir aapse upi pin pucha jayega upi pin enter karne ke baad aapki payment successfully ho jayegi.

UPI ID

tap-on-upi-id

Agar aapke friend ya jisko bhi paise bhejna hai uska upi id pata hai to usse aap direct money transfer kar sakte hai means agar aapka friend phonepe, tez, bhim upi, paytm bhim upi etc use karta hai to usse aap iss option se money transfer kar sakte hai upi id wale option ko select kare aur add upi id apne friend ki upi id dale aur name me uska name dale and pay now par click karde fir amount enter karne ke liye bola jayega amount me jitne paise bhejne hai vo select kare aur upi pin dalkar payment karde.

Aadhaar Number

tap-on-aadhaar-number-option

Agar aapke friend ya jise paise transfer kar rahe hai uska aadhar number bank account se linked hai to usse iss method se payment kar sakte hai.

tap-on-payments-option

iss tarah aap easily truecaller pay se kisi ko bhi paise transfer kar sakte hai issme banking option ke sath hi aapko payment wala option bhi dikhega jisme recharge, bill payment, booking etc option dikhege ye feature bhi truecaller me aane wala hai jiska use karke aap truecaller se mobile recharge, bill payment etc bhi kar sakege.

Dosto Truecaller Pay Se Paise Kaise Send Kare, Truecaller Pay Se Paise Kaise Bheje ye ab aap seekh hi gaye honge agar ye article aapko accha laga to isse apne dosto ke sath share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here