TrueCaller Search Se Naam Aur Number Kaise Hataye ? Delete Kare

3
truecaller search se naam aur number kaise hataye delete kare

Friends Truecaller Se Apna Naam Aur Number Kaise Hataye, Truecaller Search Se Apna Number Unlist Remove Kaise Kare isske bare me aapko iss post me bataunga  issliye puri post padhe. TrueCaller ek very popular application hai, iss App se aap kisi bhi unknown No, ka asani se pata laga sakte hai, iss app ke bhut se features hai, jo aapke bhut kaam aa sakte hai, iss app ke konse features hai, ye jaanne ke liye yaha click karke post padhe.

Truecaller Se Apna Number Kyo Hataye ? ya Remove kare

Contents

Truecaller se apna number unlist karne ka main reason(karan) hai-  privacy
Iss app se koi bhi aapka number easily pata laga sakta hai or aapko baar baar call karke paresan bhi kar sakta hai,
 
ya aap apna no. ko private rakhna chahate hai to isse essa possible nahi hai Or aapki privacy khatam ho jati hai. Issliye agar aap nahi chahate hai ki kisi bhi unknown person ko aapka number pata chale to aap iss app se apna number unlist ya remove ya delete kar sakte hai.

Truecaller App Search Se Apna Naam Kaise Delete kare ?

Agar Aapke Android Mobile Me Pahle se truecaller App install hai aur aapne issme register kar liya hai yani account bana liya hai to aapko apne truecaller account ko deactivate ya delete karna hoga tabhi iss app se aapka number hatega. apne Truecaller account ko delete karne ke liye yaha me aapko 2 tarike batane wala hu, agar aap Android user hai to 1st method follow kar sakte hai aur computer yani pc user hai to 2nd  method ko hi follow kare.

TrueCaller Se Number Kaise Hataye ? Using Android Phone

tap-on-setting

  • Sabse pahle apne Android mobile me truecaller app ko oepn kare aur yaha uper 3 line ( menu) dikhegi inpar click karde. menu me jane ke baad bhut se option dikhne lagege inmese setting wale option par click karde.

tap-on-privacy

  • Setting me jane ke baad aapko privacy option dikhega isspar click karde.

tap-on-deactivate-account

  • Ab aapko deactivate account option dikhega  uss par click karde,

tap-on-yes

  • ab aapse ek baar aur confirm karne ke liye puncha jayega ki aap such me apna account deactivate karna chahate hai to yes option par click karde.
 
Now aapka TrueCaller account deactivate ho jayega aur aapka no. bhi isse delete ho jayega.

TrueCaller Se Number Delete Unlist Kaise Karte Hai ( Desktop Computer & Laptop )

  •  agar aap Pc User hai aur truecaller search se apna naam aur no. hatana ya unlist karna chahate hai to sabse pahle niche button par click kare.

Unlist Number

enter-your-mobile-number-and-solve-recaptcha

  •  ab yaha par aapko unlist wala option dikhega yaha apna number country code ke sath me dale jaise agar aap india se hai to india ka country code +91 hai to aapko +91 ke sath me apna 10 digit ka mobile number dalna hai uske baad recaptcha wale box par click karke recaptcha solve kare.

tap-on-unlist-phone-number

  • mobile no. aur recaptcha solve karne ke baad unlist phone number wale option par click karde.

select-unlist-phone-number-option

  • ab aapse ek baar aur confirm karne ke liye bola jayega unlist phone number wale option par click karde.
 congrats ab aapka mobile no. truecaller search se 24 hours me remove ho jayega.

friends Truecaller Se Number Kaise Hataye ? Remove Kare wali  me aapko koi step samaz na aaya ho ya kisi other post  se related koi question puchna hai to comment karke jarur bataye or aapko ye post acchi lage to isse apne dosto ke sath bhi share kare niche share button par click karke. Or essi or bhi post padhna chahate hai to abhi humari site ko subscribe kare or latest post updates ki information apne email par paaye.

3 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here