Mobile Ke System Apps Kaise Uninstall Or Delete Kare

4
android phone se pre-installed system apps kaise uninstall kare

Hii friends Android Phone Se Pre-installed System Apps Ko Kaise Uninstall Kare, Mobile Me System Apps Ko Kaise Delete Kare ye main aapko iss article me batunga.  Friends agar aap android mobile user hai or aap apne smartphone ki system apps ko uninstall karna chahate hai to aap sahi jagah hai.

Yaha main aapko issi ke bare me batunga. Pre-installed or system apps kya hai ye aap log jante hi honge  Pre- loaded ya pre-installed app aapke phone me pahle se install rahte hai.

jinhe aap uninstall nahi kar pate and agar inhe delete karne ka try karte hai to setting me uninstall ka option hi nahi dikhta. Lekin aaj main aapko  ek essi trick batunga jisse aap asani se inhe delete kar payege.

isske liye aapko apne phone ko root karna hoga kyoki bina root ke system apps ko remove nahi kiya ja sakta. mobile root karne ke bhut se advantage aur disadvantage bhi hai

jinke bare maine pahle se ek post ki hui ha. jise android tricks category me jakar read kar sakte hai. rooted mobile me aap un sabhi feature ko use kar sakte hai.

jo root se pahle nahi kar sakte the, bhut se logo ka question rahta hai ki phone ko root karna chahaiye ya nahi to ye aap par depend karta hai aap sabhi feature ko use karna chahate hai

ya apne phone ko safe rakhna chahte hai. root ke baad virus aane ke chances badh hate hai aur rooted mobile ko easily hack bhi kiya ja sakta hai.

Pre-installed System Apps Ko Uninstall Karne Ke Fayde Advantages –

Contents

  1. Isse Aapke phone ki internal memory badti hai jaise agar internal memory 4gb hai to usme 500mb se 1gb tak ke pahle se system apk install rahte hai issliye inko delete karke aap apne mobile ki internal memory ko increase kar sakte hai.
  1. Isse mobile storage bhi badha sakte hai jaise jaise phone me 8gb internal storage to usme se 1gb se 2gb system apps  me use ho jati hai issliye inhe uninstall karke aap apne phone ki internal storage bhi increase kar sakte hai.
  1. Aapke mobile me jo apps install rahti hai vo background me chalti rahti hai jo battery khati rahti hai yani inhe delete karke aap apne phone ki battery level and time ko badha sakte hai or battery discharge ke time ko aap ghata sakte hai.
  1. Pre-installed app se aapke phone ki ram par bhi effect padta hai. kyoki ye ram bhi khati hai jisse mobile slow kam karta hai inhe uninstall karke aap apne mobile ki speed increase kar sakte hai.

Pre-installed Apps Ko Uninstall Ya Delete Karne Ke Nuksaan Disadvantage-

System apps ko delete karne se koi nuksan ho bhi sakta hai ya nahi bhi ho sakta ye aap par depend karta hai. Kahne ka matlab ye hai ki agar aap apne moblie se esse system apps ko delete kar dete hai jo aapke mobile ke liye jaruri hai to aapka phone brick ho jata hai

yani vo fir kaam karna band kar deta hai. issliye jaruri hai ki aap kewal esse apps ko uninstall kare jo apk work nahi karte hai and kisi kaam ke nahi hai jaise koi game jo pahle se aaya ho ya or koi other apps jo mobile ke liye jaruri na ho.

Aapke phone me jo pre-installed app hote hai unme  se kuch apps jaruri hoti hai jaise google play service, google setting, android system etc agar aap inhe delete kar dete hai to aapka phone brick ho jayega. kyoki ye app mobile ke liye required hote hai. 

Android Phone Se Pre-Installed System Apps Ko Delete Kaise Kare ?

jaisa ki aap seekh hi gaye honge ki kuch pre installed apps esse hote hai jo humare phone ke liye jaruri nahi hote hai aur inse phone ki internal storage yani rom use hoti hai to Agar aap apne mobile se system apps ko delete karna chahate hai

to pahle aapko apne phone ko root karna hoga root kya hai and mobile ko kaise root karte hai  isske bare me maine pahle se ek post ki hui hai jise yaha se read kar sakte hai.

Mobile Se System Apps Ko Kaise Uninstall Kare 

  • Sabse pahle aapko apne rooted phone me superuser epp ko dwonload karna hai jise aap yaha se download kar sakte hai

Download

  • Ab superuser apk ko download karne ke baad install karke open kare.

kingo-super-user

  • Ab issme aapko uper  center me detele icon dikhega uspar click kare or system application par click karde

tap-on-delete-icon

  • Ab aapko yaha apne mobile ki sabhi system apk dikhegi aapko jinhe detele karna hai unke aage delete icon show uspar click karde

tap-on-yes

  • Ab aapko ek warning dikhegi ‘Removing system apps may cause system instability and other problems’ Aapko yes par click kar dena hai.

Ab aapke phone se system app permanently delete ho chuka hai.

Iss tarah friends aap apne apne android smartphone se pre-installed system apps ko permanently uninstall kar sakte hai

Friends I hope aapko ye post accha laga isse social media par share jarur kare or aapko iss post me kuch smajh me na aaya ho to comment karke jarur bataye essi or bhi post read karne ke liye abhi humari site allhindihelp.com  ko subscribe kre.

4 COMMENTS

  1. Mere mobile me kharabi aa gya tha
    Matlab ki kisi ka bi call auto uth jata tha
    Phone ko factory reset marne ke bad bhi yhi hota tha
    To maine king root install karke phone wale app and dialer app ko uninstall kar diya to .
    Uske bad lagatar” unfortunattely stopped”aane lga. Power button press karne par swithch off bhi nhi hota tha.
    Kyoki bar bar wo likha aa jata tha
    Bad me maine battery nikalkar fir se lagaya aur on kiya to dekha ki -simcard show nhi kar rha hai . Na power button kam kar rha hai
    Screen off hone ke bad power butten press karne par kuchh nhi hota hai
    Charging me lagane par hi screen on ho pata hai

    • aapne phone ki important system app ko delete kar diya hai issliye ye problem aa rahi aapko dialer app ko remove nahi karna chahahiye tha ab aap usko wapas recover nahi kar sakte hai aap usme software dalne ka try kar sakte hai lekin isse fayda hoga nahi ya nahi ye main nahi bata sakta and android mobile me software kaise dale isski inoformation me jald hi apni site par sare karunga aap isski notification apne email par pane ke liye humari site ko subscribe karle.

    • jaisa ki aapko comment me bata chuka hu ki ab aapko apne phone me software dubara install karne honge aap kisi mobile shop par jakar bhi apna phone check kara sakte hai. and agar aap khud se hi ghar baithe apne phone me software dalna chahate hai to isski infomation jald hi share ki jayegi. or main apne phone ki file ko recover karne ki post bhi kaldi karunga jisse sayad aap apne phone ki dialer appp ko fir se recover kar sakte hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here