VPN Kya Hai ? VPN [ Virtual Private Network ] Ko Kaise Use Kare In Hindi

3
vpn kya hai vpn ki puri jankari hindi me jane

Hii friends VPN Kya Hai Aur VPN Ko Kaise Use Kare ye me aapko iss article me batane wala hu. Dosto agar aap internet user hai to aapne vpn ka name to suna hi hoga. internet par IP address, URL, browser, sites etc bhut se chije hoti hai IP address ke bare me aap log jante hi honge. ip ek internet protocol address hota hai.

ip ek method ya protocol hota hai jisske dwara ek device se dusre device me data transfer hota hai. every device jaise computer, mobile, printer etc ka alag alag ip address hota hai or ip address change hota rahta hai.

friends ye thi ip address ki short information me aapko vpn ke bare me batata hu. Virtual private network yani vpn device se network tak internet par ek encrypted connection banata hai.

yani aap internet par aap jo bhi search karte hai vo puri tarah se encrypt rahta hai saral sabdo me bataya jaye to vpn ke drawa aap apne ip address ko change kar sakte hai. matlab vpn ke dwara aap apne country ka hi nahi balki dusri country ke ip address ko bhi use kar sakte hai.

lekin bhut se logo ka question hota hai ki hume vpn ka use kyo kare to isska answer bhut hi simple hai, vpn  internet aur network ke beech me ek encrypted connection bana deta hai jo ki aapki privacy ke liye bhut accha rahta hai. jisse aapki online activity puri tarah se secure rahti hai.

VPN Kya Hai What is VPN Detail In Hindi

Contents

VPN ka full form Virtual private network hota hai. VPN  ek esaa connection method hai jo aapke public aur private network jaise wi-fi, hotspot, internet me security ko add karta hai.

Virtual private network ko jayedatar corporation apne sensitives data ko protect karne ke liye use karte hai aur bhi bhut se log and company jaise Government agencies, educational institute, organisation apne online data file ko hacker se safe rakhne ke liye isse use karte hai

vpn aapke public network, private network or wifi me secure connection banata hai. aur ye ye aapke sabhi important or unimportant data ko safe and secure rakhata hai. vpn ko agar seede sabdo me bataya jaye to ye humari network ki ip ko change kar deta hai  Yani fake ip generate kar deta hai. 

isse ki hacker ko humari real ip nahi pata chal pati hai or jab usse humare network ki ip hi pata nahi chal pati to hume pure internet world me kabhi bhi find nahi kar sakta kyoki world me uncountable log internet use karte hai or jinki unlimited ip hoti hai.  

Issliye vpn ka use karke aap safe browsing to kar hi sakte hai sath me apne important data ko protect bhi rakh sakte hai. Vpn ko aap apne kisi bhi device jaise computer, laptop, android etc me use kar sakte hai

agar aap computer user hai to isska software windows play store se download karke isska istemaal kar sakte hai aur mobile user hai to google play store aur itunes se vpn app ka istemaal kar sakte hai.

VPN Kaam Kaise Karta Hai ? HOW to Work VPN In Hindi

VPN-FULL-DETAIL

jaisa ki friends aapne uper image me dekh sakte hai ki aap jo internet user hai or aapki internet activity ko hacker se safe rakhne ke liye aap vpn ka use kar sakte hai. aap internet surfer hai or aap net par essi file ya site view karte hai

jiske bare me aap chaahte hai ki kisi ko pata na chale to vpn ka use karke essa kar sakte hai isse aapke internet server ka ip address change or jata hai or fake ip address generate ho jata hai jisse hacker bhi aapke ip ko find karne me confused ho jate hai or aap safe browsing kar sakte hai.

friends essi tarah essi bhut si sites hai jo country me blocked hoti hai or unko open karne par error show hota hai yani vo site open nahi hoti

but vpn ke dwara aap un sites ko bhi open kar sakte hai kyoki issme aapko sabhi country jaise united state, japan, south africa, china etc ki ip milti hai jinse internet par aapki location alag country ki ban jati hai. or aap asani se kisi bhi site ko open kar sakte hai.

VPN Ke Fayde Benefits Advantage in Hindi

1. Isska use karke aap internet par safe browsing kar sakte hai.

2. hacker se apni activity ko bachane ka ye best tarika hai isse koi bhi hacker aapki ip nahi pata kar sakta or aapki bina ip ke aapki extract location ka kabhi pata nahi laga sakta.

3.  internet par bhut si essi sites hoti hai jo specially country ke people ke liye or jinhe koi dusri country ke log open karte hai to vo open nahi hoti hai essi site ko bhi aap vpn ka use karke open kar sakte hai.

4. isse aap apni net activity ko private rakh sakte hai yani issse aapki internet activity par koi nazar nahi rakh sakta.

VPN Ke Nuksan Loss Disadvantage in Hindi

1. Vpn ka use karne se internet speed slow ho jati hai or jo site load hone me 3-4 sec me hoti thi usko load hone me 10-15 sec lagte hai.

2. issko connect karne me bhi problem hoti hai yani aapka internet slow hai vo vpn me bataye kisi country ke server se connect nahi hota or connect ho bhi jata hai to kuch hi second me disconnect ho jata hai

3. agar aapke device me virus hai or aap vpn ka use karte hai to or virus aane ke chances ban jate hai.

4. vpn ka use aap tabhi kare jab aapko isski jarurat ho and inka use karke kisi bhi unauthorized site ko access karne ka try na kare kyoki issse aapko baad me problem ho sakti hai.

Virtual Private Network Ko Kyo Use Kare ? In Hindi

Aaj kal sabhi logo ke pass apna android phone hota hai aur vo apne mobile par internet surfing karte hai aur bhut si sites par visit karte hai. To aap mese bhut se log sochte honge ki hum jis site ko visit kar rahe hai vo only hum hi dekh sakte hai aur kisi ko iske bare me pata nahi chalega to esa bilkul bhi nahi hai.

Aap internet par jin website ko visit karte hai unhe aapke alawa aapka internet service provider bhi dekh sakta hai aur track bhi kar sakta hai. Isske alawa aap kisi jagah par travel karne jate hai aur public wifi ka istemaal karke internet surfing karte hai

aur essi website ko visit karte hai jo secure nahi hai to aapne jin website ko visit kiya hai vo aapke alawa us public wifi ka owner bhi dekh sakta hai.

To essi problem na ho issliye bhut se log vpn ka istemaal karte hai. Vpn humare data ko encrypt karta hai aur public network, private network etc me secure connection banata hai jisse koi bhi aapki internet activity ko track nahi kar pata hai.

VPN Ko Use Kaise Kare Mobile & PC me

friend yaha me aapko 2 method baatne wala hu jinka use karke aap asani se vpn use kar sakte hai pahla method android phone user ke liye hai or dusra method computer user ke liye hai. agar aapke pass android phone hai to first method ko follow kare aur agar aap pc user hai to 2nd method ka use kare

Android Phone Me VPN Kaise Use Kare –

agar aap Android mobile user hai or aap vpn ka use karna chahate hai to niche bataye instruction ko follow kare.

  • sabse pahle apko ek app download karna hoga yaha me aapko best vpn app ke bare me bata raha hu jisska name hai Hola vpn issko aap google play store se download kar sakte hai ya aap iss direct yaha se bhi download kar sakte hai

Hola proxy Download

choose-browser-and-open

  • ab hola proxy app ko download karne ke baad isse install and open kare ab issme aapko apne phone ki sabhi social app and browser dikhege ab aap jiss bhi app ko alag country ke server par opne karna chahate hai usske aage open par click kare

choose-coutry-server-do-you-want

  • ab yaha aapko country dikhegi aap inmese koi bhi country select kar sakte hai jisse aap browsing karna chahate hai.

now-you-seen-right-side-country-server

  • Now ab aap jis bhi country ko select kiya hai vo right side me dikhne lagegi or aapka ip address us country ka ho jayega and ab aap easily safe browsing kar sakte hai.

Computer Laptop Me VPN Kaise Use kare 

  • computer me virtual private network ka use karne ke liye aapke pc me google chrome browser hona chhahaiye or aapke pc me google chrome browser hai to aapko ek extension download karna hoga jisska name hai zenmate issse direct aap yaha se downlaod kar sakte hai.

zenmate Download

vpn kya hai aur kaiise use kare

  • ab aapke samne ek page open hoga issme aapko aapko zenmate ke samne add to chrome ka option dikhega uspar click karde.

tap-on-add-extension

  • ab ek new pop up window open hogi issme add extension par click kare.

vpn kaam kaise karta hai

  • Now zenmate download hone ke baad aapke chrome browser me add ho jayega and aapko right side me isska icon dikhega. ab aapke computer ka  ip address  other country ke server se  ho change ho jayega.

Important –

friends ye Vpn ki information sirf knowledge ke liye share ki gayi hai agar aap isska use karke hacking etc karte hai to usski jimmedari aapki hogi issme humari site allhindihelp ki koi jimmedari nahi hogi.

Friends aapko vpn wala ye article accha laga ho to isse apne dosto ke sath social media site par share kare or aapko iss article me kuch samjh na aaya hai or ya aapka koi question hai to comment karke jarur bataye or essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

3 COMMENTS

  1. Apne Detail me Computer aur mobile dono ko alg se btaya hai. Jo kaafi acha hai. Me bhi ak hindi blogger hu par hindi me blog krta hu. Na ki hinglish me. Ap ko kya lgta hai. Hindi zyada thik hai ya hinglish blogging ke lia. Waise mene bhi Vpn pr ak article likha tha.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here