Hii Friends whastapp chat ko mute kaise kare, whastapp me message ko mute kare ye aap iss article me janege, dosto aaj kal sabhi logo ke mobile me whatsapp messenger app pahle se install rahta hai, jis person ko internet aur social media site ke bare me bhi jayeda jankari nahi hai vo bhi apne phone me whatsapp messenger ka use karta hai,
essa issliye hai ki kyoki whatsapp ka user interface bhut hi simple hai jise koi bhi easily samaj sakta hai yaha tak jo person jayeda padha likha bhi nahi hai vo bhi isska use kar sakta hai,
whatsapp apne user ke liye new new feature apni app me jodta rahta hai jo user ke liye kafi useful hote hai jaise delete for everyone feature, new status feature, broadcast feature etc, lekin kya aapko whatsapp ke sabhi feature ke bare me pata hai
aap mese bhut se logo ka answer hoga yes lekin essa nahi hai aap isske sabhi feature ke bare me nahi jante honge, kya aapne whstsapp me chat ya message ko mute karne ke bare me suna hai agar nahi to iss post me aapko essi ke bare me batane wala hu.
WhatsApp Chat Mute Kya Hai ?
Contents
Whatsapp apne user ko particular chat ko mute karne ka feature provide karta hai agar aap apne friend ya kisi person se baat nahi karna chahate hai aur aap us person ko block bhi nahi kar sakte hai
aur vo person bar bar aapko message karke paresan kar raha hai to aap uske message yani chat ko mute kar sakte hai fir vo person aapko jo bhi message send karega uski notification aapko show nahi hogi.
yaha par ek baat jo dhyaan dene wali hai vo ye ki iss feature ka use karke aap ek tarah se whatsapp notification ko hi mute karte hai lekin aap sirf only ussi person ki notification ko mute karte hai
jiske message aap nahi read karna chahate hai, yaha par sabhi logo ki notification mute ya off nahi hoti hai, kabhi kabhi hum apne kisi friend se baat nahi karna chahate hai lekin vo bar bar message karke hume paresan karta hai aur hum usko block bhi nahi kar pate fir hum sochte hai ki essa koi tarika hai
jisse ki esske message hi hume show na ho to bina block ke bhi whatsapp me kisi bhi particular chat ko mute kar sakte hai aur isske liye aapko kisi bhi third party app ka use nahi karna hoga, kyoki ye feature hume whatsapp messenger me hi mil jata hai.
WhatsApp Me Conversation Ko Mute Kaise Kare
whastapp hume notification off karne ka bhi feature provide karta hai jiska use karke aap isme notification ko off kar sakte hai fir aapko koi message karega to uski notification aapko show nahi hogi
lekin yaha par sabhi logo ki notification off ho jati hai but aapko agar kisi particular person ke message ko mute karna hai to essa feature bhi issme aapko milta hai aur aap agar kisi ko mute kar dete hai to usse baad me unmute bhi kar sakte hai.
WhatsApp Chat Mute Kaise Kare ( Notification Mute )
- sabse pahle aapko apne mobile me whatsapp messenger app ko open karna hai aur fir aap jiski chat ko mute karna chahate hai us person ki chat par finger hold kare.
- fir us chat par ek tick yani right mark show hone lagega agar aap or bhi logo ki chat ko mute karna chahte hai to unpar click karke select kar sakte hai fir aapko uper kuch option show honge unme 3rd number par ek option sound off wali icon jaisa hoga uspar click kare.
- fir aapko mute nofication for.. essa likha dikhega aur uske aage 8 hours, 1 week, 1 year etc option show honge aap jitne time ke liye apne friend ki chat ko mute karna chahte hai vo select kare aur ok par click karde.
Congrats aapne successfully apne friend ka whatsapp chat mute kar diya hai. ab vo agar aapko koi bhi message karta hai to uski nofication aapko show nahi karegi.
WhatsApp Me Chat Ko Unmute Kaise Kare ( Unmute Notification )
- agar aapka friends aapko bolta hai ki vo aapko firse bar bar message karke paresan nahi karega ya aapko lagata hai ki aapko use maaf kar dena chahaiye to aap uski chat ko unmute kar sakte hai aur ye bhi bilkul same hi hai.
- aapne apne jis friend ko mute kiya hai uski chat par hold kare aur fir aapko 3rd pe issbar sound wala option show hoga uspar click karde.
iss tarah aapke friend ki whatsapp chat unmute ho jayegi aur vo koi bhi message karega to aapko uski notification show karegi.
Conclusion –
Dosto WhatsApp Mute Feature Kya Hai, Whatsapp chat mute kaise karte hai ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapke liye useful rahi to isse apne other friends ke sath bhi social media site par share kare aur aapko iss post se related koi question hai ya other post se related koi question hai to comment karke jarur bataye.