WhatsApp Group Admins Ko Demote Kare Dismiss Admin Feature 2018

2
whatsapp dismiss admin feature kya hai aur kaise use kare full detail

Hii friends WhatsApp Dismiss As Admin Feature Kya Hai Whatsapp Dismiss Admin Feature ka Use Kaise Kare, Whatsapp Group Admins Ko Demote Ya Delete kaise Kare ye aaj hum iss post me janege. Dosto WhatsApp ne abhi 13 january 2018 ko kuch ek naya feature roll out kiya hai

jisska name hai Dismiss As Admin ye feature abhi sabhi WhatApp user ke liye available nahi hai ye sirf beta version user ko diya diya raha hai yani abhi iss feature ki tasting ki ja rahi hai but aap bhi agar iss feature ko use karna chahate hai to easily kar sakte hai.

WhatsApp Dismiss Admin Feature Kya Hai ? WhatsApp New Update January 2018

Contents

Dosto whatsapp ne ek update nikala hai jo abhi beta user ko hi mil raha hai yani iss feature ki abhi tasting ki ja rahi hai isska name hai dismiss admin ye new feature groups admins ke liye banaya gaya hai isska use karke aap groups admins ko demote kar sakte hai.

Example ke liye aap agar kisi group me admin hai to aapke alawa us group me or bhi admins honge agar unmese koi admin bhut se new members ko add kar raha Aur aap essa nahi chahate hai to aap usse hatane ke liye iss feature ka use kar sakte hai.

Vaise to whatsapp me already remove admins wala feature hai but agar aap uska use karte hai to vo group admins se to hatega hi sath me group se remove bhi ho jayega issliye ye feature bhut useful hai kyoki isse agar aap kisi ko sirf groups admins ki position se hatana chahate hai to asani se hata sakege Aur usse pata bhi nahi chalega.

WhatsApp Par Dismiss Admin Feature Ka Use Kaise Kare – Demote Group Admins

Friends jaisa ki maine aapko bataya ki ye new update abhi sabhi users ke liye available nahi hai but aap isse use karna use karna chahate hai to beta taster ban kar isska istemaal kar sakte hai. ye update android and iOS beta users ke liye hi available hai.

Agar aap bhi kisi whatapp group me admin hai Aur agar koi admins ki position chodna chahate hai to aap iss feature ka use kar sakte hai

How To Use WhatsApp Dismiss As Admin Feature In Hindi

  • Sabse pahle aapko whatsapp beta version download karna hoga beta users banne ke liye niche button par click kare.

Download WhatsApp Beta

  • Ab aapko yaha whatapp update wala option dikhne lagega update par click karde.

tap-on-three-dot-and-group-info

  • Ab whatsapp ko open kare Aur kisi bhi group me jaye jisme aap admin ho ab group me jane ke baad  left side me uper aapko 3 dot dikhegi unpar click karde. Aur group info par click karde.

tap-any-group-admin

  • Ab friends yaha aapko sabhi group members and admins dikh jayege aap aap jis bhi admin ko hatana chahate hai uspar click karde.

tap-on-dismiss-as-admin

  • Ab aapko yaha bhut se option dikhege Inmese dismiss as admin wale option par click karde.

now-group-admin-demote

  • Now friends ab aap dekege ki aapka friend admins position se hat gaya hai.

Iss tarah friends aap easily kisi bhi group admins ko demote kar sakte hai.

remove-admin

Whatsapp group me already remove admin ka feature milta hai but agar aap hum uska karte hai to yani old asmin ko remove karte hai to vo uss group se bhi remove ho jata hai but kabhi kabhi hum sirf us friend ko admins ki position se hi hatana chahate hai aur usse group se remove nahi kar chahate hai to esse me dismiss admin wala feature humare liye useful rahta hai.

WhatsApp Dismiss Admin Feature Ke Fayde (Benefits)

1.Iss feature ka use karke aap group admins ko group se removed kiye bina usse admin position se demote kar sakte hai.

2.Ye feature groups Admins ke liye bhut useful hai kyoki iska use karke koi bhi group admin other Admins ko hata sakta hai Aur unhe tab tak pata bhi chalega jab tak ki vo group info me jakar nahi dekhte hai.

Dosto WhatsApp Dismiss Admin Feature Kya Hai Aur Isse Kaise Use Karte Hai ye aap seekh hi gaye honge ye article aapke liye faydemand raha to isse apne other friends ke sath social media sites par share jarur kare Aur essi or bhi new updates and tricks ke liye humari site par visit karte rahe.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here