Hi friends whatsapp or instagram ke business feature ka use kaise kare, whatsapp or instagram se paise kaise kamaye ye aap iss post me janege. dosto agar aap bhi koi business karte hai jaruri hai chahe vo chota ho ya bada ho isse fark nahi padta hai to ye post aapke liye hi hai iss post me aapko batane wala hu ki kaise aap apne business ko whatsapp or instagram ka use karke grow kar sakte hai.
vaise ye aapko sunne me thoda ajeeb jarur lag raha hoga lekin ye true hai aaj kal social media ka jamana hai aur sabhi logo social networking site and apps ka use karte hai to aap bhi agar apne business ko grow karna chatate hai to iss post me aapko issi ke bare me batane wala hu.
jaisa ki aapko pata hi hoga ki aaj kal sabhi log whatsapp or instagram app ka use karte hai esse bhut hi kam log honge jinko in social media app ke bare me pata na ho, lekin kya aapko pata hai ki ye app hume bussiness feature bhi provide karte hai jinka use karke aap apne work ko or acche tarike se manage kar sakte hai.
WhatsApp Or Instagram Ke Business Feature Kya Hai ?
Contents
Jaisa ki aapko pata hi hoga ki whatsapp or instagram par aapko business account create karne ka bhi option milta hai. aap koi bhi business jaise clothes selling, shopkeeper, etc karte ho aapko usko manage karne me problem hoti hai aur aap apne business ko grow bhi karna chahate hai to aap social media app ka use karke easily essa kar sakte hai
bhut se logo ko nahi pata hota hai ki social media app ka use karke vo bhut se kaam kar sakte hai aap bhi agar whatsapp se paise kaise kamaye ya instagram se paise kaise kamate hai essa likhkar search karte rahte hai to ye post aapke liye hi hai.
WhatsApp Or Instagram Ke Business Feature Ka Use Kaise Kare ?
whatsapp business app ka name aapne suna hi hoga ye whatsapp ne Business owner ke liye hi launch kiya hai jisme aapko bhut sare features milte hai aur issi tarah instagram par bhi aap apni ek alag profile create kar sakte hai. ye feature kya hai aur inka kaise use karna hai iske bare me step by step jante hai.
Whatsapp Business Account Create Kaise Kare & Use Kaise Kare
sabse pahle aapko google play store me jana hai aur whatsapp business app likhkar search karna hai fir apako ye app mil jayega waha se ise download kar sakte hai ya fir yaha se isse direct download kar sakte hai.
whatsapp business app me account banane ke bare me maine pahle se ek post ki hui hai jise aap yaha se read kar sakte hai.
or acchi bat ye hai ki aap ek mobile me isska messenger or whatsapp business app dono ko ek sath chala sakte hai aur apne alag alag number se connect kar sakte hai matlab ki aap ek phone me 2 whatsapp app ko use kar sakte hai or normal si bat hai ki isske liye aapko alag phone number ka use karna hoga,
whatsapp ke iss app me aap apni business profile create kar sakte hai jisme aap address, website, lable etc dal sakte hai, iss account me aapko quick response wala ek option bhi milta hai
jiska use karke aap customers se humesa connected rah sakte hai. or bhi bhut sare feature hai jo issme aapko milte hai.
Instagram Par Business Profile Create Kaise Kare ?
agar aap instagram app ko apne bussiness ki lead ke liye use kar rahe hai aur apne personal profile ko business profile me change karna chahate hai to iske liye apne phone me instagram app ko open kare aur fir setting me jaye fir thoda niche jaye
aapko try instagram business tool name se ek option milega isspar click karke aap apni business profile ko complete kar sakte hai isske bhut se fayde hai instagram insight dekh sakte hai,
contacts button milta hai, jisse customers se direct contact kar sakte hai, or issi ke sath aap instagram stories me kisi bhi tarah ke link bhi post kar sakte hai.
Dosto whatsapp or instagram ke business ke feature wali ye jankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye aur agar ye features aapko acche lage to inhe try karke jarur dekhe aur essi or bhi social media se related read karne ke liye humari site par visita karte rahe.