WhatsApp Two Step Verification Kya Hai Aur Kaise Enable/Activate Kare

2
WhatsApp-me-2-step-verification-enable-karke-account-secure-kaise-kare-hindi

Hello friends Whatsapp Two Step Verification Kya Hai Or Kaise Enable Kare ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends apne new update me whatsapp ne bhut se new feature diye hai jaise ab aap ispar video calling kar sakte hai aur whatsapp par video streaming bhi kar sakte hai etc

whatsapp ek bhut hi popular social messaging app hai agar dekha jaye to aaj kal aapko sabhi logo ke smartphone me ye messenger install kiya mil jayega kuch smartphone me to ye pre-installed aata hai yani pahle se install rahta hai.

internet ka use jayedatar log social networking site ke liye hi karte hai, popular social networking app facebook,whatsapp hi hai aur almost sabhi logo ka inme account hota hai,

apne social account ko secure rakhne ke liye lagbhag sabhi social apps me hume two step verification wala feature milta hai,

WhatsApp Two Step Verification Kya Hai ? Two Step Verification In Hindi

Contents

Whatsapp ne bhi Gmail ki tarah apna apna 2 step verification feature launch kar diya hai. Whatsapp ke messages and chat humesa secure rahte hai lekin bhut┬а baar esa hota hai ki aapke messages ya chat kisi ko pata chal hi jate hai ye kaise hota hai

isska reason to koi bata nahi sakta lekin main aapko ek example ke dwara batata hu. Agar aap kisi ko apna mobile kuch time ke liye de dete hai matlab jayda nahi 2 ya 3 minutes to bhi aapka whatsapp data leek ho sakta hai. ┬а

kyoki vo 1 se 2 minutes me asani se aapka whatsapp QR code scan kar lega or jab bhi aapko koi message and media image video etc send karega to vo sab message media file uske mobile par bhi chale jayege iss tarah vo asani se aapke chat message read kar payega.

Lekin ab aapko essi koi problem nahi hogi kyoki whatsapp ne aapki privacy ko secure rakne ke liye apna Two step verification feature launch kar diya hai.

Isse┬аuse karne ke baad agar koi aapke whatsapp ko ki┬аopen karega to use 6 digit ka secret password yani pin bhi enter karna. bina Pin ko enter vo aapke whatsapp me login ya register nahi kar payege.

Two Step verification ek bhut hi accha feature hai kyoki isse aapka account pahle se jayeda secure ho jata hai aur agar aapka friend ya koi bhi aapke number se whatsapp me register karne ka try bhi karta hai to usse 6 digit ka pin bhi pucha jata hai.

WhatsApp Me Two Step Verification Kaise Enable Kare

Sabse pahle aapko whatsapp beta version┬аdownload karna hoga kyoki iss feature ka use aap beta user bankar hi kar sakte hai. isske liye beta testing program ko join kare.

fir aapko apna email or password dalkar login karna hai hai. uske baad aapke smane ek page open hoga jissme aapko bola jayga ki ye feature abhi optional hai yani isse abhi puri tarah launch nahi kiya hai ab tester bankar iss feature ka use kar sakte hai.issme aapko become a tester par click karna hai.

now-choose-become-a-tester
  • Ab ┬аaapke samne ek or page open hoga jissme likha hoga ki aap tester ban chuke ab aapko download it on google play store par click karna hai
download-messenger-play-store
  • Ab aap google play store par punch jayege yaha se aapko whatsapp messenger install karna hai ( ye latest update wala hoga)
download-messenger-play-store
  • Ab aapne jo update whatsapp install kiya hai usse ko open kare
whatsapp two step verification enable
  • Ab whatsapp setting me jaker account par click kare. Ab aapko yaha two step verification ka option dikhega uspar click kare. Ab enable par click karke isse activate karde.
2-step-verfication-allhindihelp

Ab aapko yaha┬а 6 digit ka Pin dalna hai essa Pinchoose kare jo aapko yaad rakne me asan or dusro ke liye muskil ho aur fir pin enter karne ke baad next par click karde fir aaapke confirm karne ke liye bola jayega issliye jo pin aapne enter kiya tha use dubara re-enter karke confirm kare┬а

iss tarah aapka 2 step verification enable ho jayega lekin abhi aapko issme apna email address bhi add karna hai. Next par click kare ab yaha apna email add karde. Finaly done par click karde.

Important

whatsapp 2 step verification me apna email address┬а jarur add kare otherwise aapka password recover nahi ho payega aap jo email add karege uspar aap reset password received kar sakte hai agar aapke email par disable whatsapp verification ka mail aaye to uspar click na kare.

aap is feature ko ek baar enable ya activate kar denge to ise disable karne ke baad 7 din tak ise re-enable nahi payege. ┬аOr aapne email nahi dala or password bhul jate hai to aapka account 7 days tak restore nahi hoga

or agar 7 days me restore ho bhi jata hai to bhi aapke pending messages aur sab data delete ho jayega. Issliye essa password choose kare jo aapko yaad rahe ya iss password ko aap kahi par likh le to jyda accha hai.

Friends whatsapp two step verification kaise kare wala ye post agar aapko ye article accha lage to isse apne dosto je sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho ya kisi step me problem aa rahi hi ho to comment karke jarur bataye.

2 COMMENTS

  1. whatsapp band kar deta hai is bari me koi post karo yaar………

    mera number bouth band kar chuka hai unbann bhi 2-3 month baad hota hai but me parishan ho gaya 2-3 din baad baad bann hota hai iska koi upai bolo

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here