Whatsapp old status feature ko wapas kaise paye. Pahle wala whatsapp kaise Install kare. Hii friends aap jante hi honge ki whatsapp ne apne new updated me kitne changes kiye hai or new update me sabse jayda dhyan status feature par diya gaya hai aap ab issme text ko chodkar or kuch bhi jaise image gif video etc add kar sakte hai
jisske bare main pahle hi bata chuka hu. pahle aap whatsapp par sirf text me status upload kar sakte hai jo ki kuch logo ko accha nahi lagta tha. kyoki kabhi kabhi humara photo aur video bhi status me add karne ka man karta hai.
lekin pahle ye nahi kar sakte the but abhi ye possible hai. vaise to lagbhag sabhi social newtwoking site jaise instagram, facebook etc me hume status wala feature milta hai. lekin whatsap ek essa messenger hai jo lagabhag sabhi logo ke mobile me install hota hai. ye ek bhut hi popular social messaging app hai.
- Whatsapp New Update Status Feature kya hai or Kaise Use kare
- Facebook whatsapp par apne friends ke sath secret chat kaise kare ?
WhatsApp Old Status Feature Ko kyo Use Kare ? Previous whatsapp kyo install kare
Contents
Whatsapp new version accha hai and isska status feature bhi bhut accha hai. lekin ye sabhi logo ko pasand nahi aa raha hai kyoki bhut se log esse hai jo text me likhkar status dalna pasand karte the lekin ab vo essa nahi kar pa rahe hai or abhi bhut se logo ne apna whatspp update nahi kiya hai jisske wajah se hume ye hi nahi pata chal raha hai ki humara status koi kyo nahi dekh raha hai.
main pahle hi bata chuka ki agar aapka friends old version ka whatsapp use kar raha hai to use aapka pahle wala status hi dikhega jo aapne whatsapp update karne se pahle use kiya tha or unhe aapka new wala status yani image gif ya video nahi dikhegi.
iss feature me ek problem jo isska use karne me users ko aa rahi hai or vo ye ki new version status only 24 hours tak rahta hai or fir vo automatically delete ho jata hai ye feature un logo ke liye bhut accha hai jo daily apna new status update karte hai
lekin sabhi log esse nahi hai or vo daily apna status update nahi kar pate hai issliye unko iss feature se thodhi bhut problem hoti hai lekin agar aapko bhi essi problem aa rahi hai or aap apna pahle wala whatsapp wapas kaise laye ye soch rahe hai to iss post ko pura read karne ke baad aapki problem jarur solve ho jayegi.
WhatsApp Old Status Feature Wapas Kaise Laye ?
Google play store se aap issko download karege to vo latest version me hoga issliye yaha main dusri site se isska old version download karne ka tarika batunga jiska use karke aap previous whatsapp download and install kar payege.
- Issliye sabse pahle aap apne phone ki setting me jaye or waha unknown source par click karke tick karde. Jisse Install blocked warning show nahi hogi.
- Ab aap niche download par click karke whatsapp 6.0 version ko download karle.
- Ab isko download karne ke baad install par click karke install karde. Ab aapko issme register karne ke liye bola jayega. Jiski full detail me pahle hi bata chuka jisse aap niche link par click karke read kar sakte hai.
WhatsApp par Account ya id kaise banaye hindi me jane
Now ab aap apne pahle wale yani old version me successfully registered ho gaya hai. Ab aap issme kisi ka bhi status dekh sakte hai or aap jo status update karege vo bhi aapke friends dekh payege.
- WhatsApp Par Fake Location kaise send kare Android and iphone se
- Apne Friends ko bina bataye Unke Phone Calls & Messages kaise pata kare
Important –
Dosto ye post only knowledge ke liye share ki gayi hai aur agar aap whatsappp old version ka use karte hai aur aapko koi problem hoti hai to isski jimmedari aapki hogi. issme humari site ki koi jimmedari nahi hogi.
Iss tarah aap asani se apne whatsapp old status feature ko wapas prapt kar sakte hai. Ye post agar accha lage to isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare or essi or bhi social media se related post read karne ke liye humari site ko subscribe kare..
your article was very nice and helpful. Thanku for sharing with us