Whatsapp Par Blank Message Kaise Bheje ? Send Kare 3 Tarike

0
whatsapp par blank message kaise send kare

Hii friends Whatsapp Par Blank Message Kaise Send Kare, Whatsapp pe blank msg kaise bheje ye main aapko iss article me batane wala hu. Friends whatsapp ek popular social messaging app hai. Jisske bare me aap sabhi log jante hi honge. Aapko sabhi logo ke phone me ye install kiya mil jayega.

Internet use karne wala koi bhi aapko esa nahi milega jisske phone me whatsapp messenger  na ho. Isse aap whatsapp ki popularity ka andaza laga sakte hai. isske new update beta version me bhut se features add kiye hai.

Ab aap isse video calling kar sakte hai, video streaming kar sakte hai, two step verification features bhi aapko new update me milta hai. Ye sare feature beta version me add kiye gaye hai jinka aap labh utha sakte hai. Ab main aapka jayda time na lete huye topic par aata hu.

Agar aap apne friends ko whatsapp par khali message send karna chahate hai jissme kuch bhi likha na ho yaha main aapko usi ki trick batane wala hu. aapne dekha hoga ki bhut se log bina kuch likhe hi message bhej dete hai

kyoki jab unhe pata nahi hota hai ki kya bolna hai to vo blank message hi send karte hai. yaha par aap aapko jo blank message send karne ki trick batane wala hu usko aap whatsapp ke sath sath facebook, twitter, instagram etc kisi bhi social networking app and site me use kar sakte hai.

Whatsapp Par Blank Messages kaise Bheje 3 Method in hindi

Contents

Agar aap apne dosto ko whatsapp par khali message send karna chahate hai to isske liye yaha main aapko 1 nahi, 2 bhi nahi balki 3 method me batane wala hu.

Facebook ki tarah  aap whatsapp par bhi blank messages send kar sakte hai. or isse aap apne friends ko surprise and shocked kar sakte hai. Blank message bhejne ki awasyakta tab hoti hai jab aap kisi ko chat karte time kuch bol nahi pate ya aap kuch bolna nahi chahate.

or sabse jayda use iska masti ke liye kiya jata hai bhut se log hai jo whsatapp ki new new trick search karte rahte hai. Jaise whastepp bomber se friends ka Whatsapp crase kaise kare.

Agar aap bhi apne friends ke sath masti ya fun karna chahate hai to ye trick aapke liye best hai and ye simple tarika hai jisse aap asani se easily use kar sakte hai.

How to Send Blank Message on Whatsapp using Unidentified┬аCharacter & Symbol

Ye sabse best tarika hai apne dosto ko khali sms bhejne ka issme aapko koi bhi app download nahi karna hai. Aap asani se simple steps ko follow karke apne friends ko whatsapp par blank messages send kare sakte hai.

  • Sabse pahle apne jis friends ko ya kisi bhi group me blank message send karna chahate hai ussme jaye.
  • Ab aapko ( ` ) bracket me diye spacial symbol jisska name grave accent hai isse find karna hai jisse liye niche screenshots ko follow kare
tap-on-keyboard-1-2-icon
now-you-can-see-grave-accent-symbol
  • Iss symbol ` grave accent ko ab 3 baar type  kare or bich me space de or dubara  3 baar  grave accent symbol type kare niche screenshot ko follow kare.
whatsapp par blank message bheje

Important- aap space 1 se jayda baar bhi de sakte hai lekin space( jagah chodna) bhut jaruri hai yadi aap grave accent symbol ke bich me space nahi dete hai ya jagah nahi chodte hai to ye trick work nahi karegi. ┬а

now you can send blank message on whatsapp

  Ab aap  dekh sakte hai aapka blank message send ho chuka hai.

2. Computer Me Notepad Ka Use Karke Blank Messages bheje-

Pahla tarika sabse easy hai or aap isse asani se use kar sakte hai lekin agar aap pc me whastsapp use karte hai ya aap pc se blank message bhejna chahate hai to aap asani se notepad ka use karke esssa kar sakte hai isske liye niche diye  steps ko follow kare.

  • Sabse pahle apne computer ya laptop me notepad open kare.
  • Ab notepad me ALT+255 ya ALT+260 type kare. ye code type karne par blank show hoga. Ab notepad ko save kar de.
  • Ab aap isse mobile and pc dono me blank message bhej sakte hai.
  • Notepad ko open kare or usme blank character jo invisible (dikh nahi rahe) unhe ko copy kare.
  • Ab apne pc me whatsapp open kare. or jisse bhi blank message send karna chahate hai usme copy kiye invisible character ko past karde.
  • Or aap agar mobile me isska use karna chahate hai to notepad jissme aapne invisible character copy kiye hai vo bluetooth wifi ya usb cable ki help se apne mobile me daal de.
  • Ab us notepad ko apne mobile ke text viewer me open kare or ussme invisible character ko copy karle
  • Ab jisse blank message send karna chahate hai uske inbox me ye paste karke send karde.

3. WhatsApp Par Blank Message Send Kaise kare No Word App Se

Uper diye gaye dono method simple and easy hai. Lekin agar ek app ka use karke blenk massege send karna chahate hai to aap  noward ka use kar sakte hai. Isske liye niche bataye instruction follow kare-  

  • Aapko┬а noward name ka epp download kare. Ye google play store par avalible nahi hai issliye ┬аIsse download karne ke liye niche download par click kare.
  • Ab issko open kare. Aapko screen par send ka option dikhega uspar click kare.
tap-on-send-button
  • Ab aap blank message konse app par send karna chahate hai vo select karna yaha apko whastpp facebook hike etc ke option dikhenge aap whatsapp par click kare.
  • Ab aapse samne aapke whatsapp friends ki list hogi jisse bhi aap khali sms bheja chahate uspar click karde.

Iss tarah dosto  aap asani se apne friends  ko whatsapp par blank message send kar sakte hai.

I hope friends aapko ye article acha laga isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp site ko subscribe kare or latest post ki information apne email par received kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here