WhatsApp Status Video Kaise Banaye ? Photos Se Step By Step Jane

2
whatsapp status video kaise banaye photos se puri jankari hindi me

WhatsApp Status Video Kaise Banaye, Photo Se WhatsApp Status Video Kaise Banaye, Whatsapp Par Video Status Kaise Dale, Whatsapp Par Photo Aur Video Wala Status Kaise Dale. Dosto agar aap WhatsApp user hai to aap jante hi honge ki whatsapp par ab aap status me images bhi daal sakte hai iss new WhatsApp Feature ke bare me maine already apni ek post me bataya hua hai Aur aaj me aapko  batane wala hu ki ki kaise aap apna khudka whatsapp status video bana sakte hai.

WhatsApp Status Feature Kya Hai Puri Jankari Hindi Me

Contents

Dosto pahle aap whatsapp me only text me status daal pate the but ab aap image Aur videos me daal sakte hai. Ye feature un logo ke liye jayeda useful hai to social media par apne friends ke sath connected rahna chahate hai.

Whatsapp par image ke dwara aap kha par hai kya kar rahe hai uski photo capture karke apne status me daal sakte hai isse aapke friend bhi aapse connected rahte hai Aur unhe aapke bare me ghar baithe hi pata chal jata hai ki aap kha ho aur kya kar rahe ho.

WhatsApp Par Video Status Kaise Dale ? Upload Kare

Agar aap bhi apne status me photo se video banakar upload karna chahate hai to isske liye aapko jayeda kuch karne ki jarurat nahi hai aap bhut easily apne photos se video banakar issme add kar sakte hai. Aapki kisi bhi image ko edit karke Aur uspar text likhkar bhi isme upload kar sakte ho.

WhatsApp Status Video Kaise Banate Hai Photo se Puri Jankari

tap-on-status-and-my-status

  • Sabse pahle aapko apne mobile me WhatsApp ko open karna hai ab yaha aapko 2nd option status ka dikhega isspar click karde. Ab yaha my status par click karde.

now-can-see-your-mobile-gallery-images

  • Ab  aapka mobile ka camera open ho jayega aur mobile gallery ki kuch photos bhi yaha par dikhne lagegi ab aapko in photo ko uper ki tarah scroll karna hai

select-which-photos-you-want-to-add-in-your-status-and-ok

  • Now aapko apne phone ki sabhi images dikhne lagegi ab aap Inmese jis bhi photos ko jodakar video banana chahate hai unpar click karke select kar sakte hai aur photos select karne ke baad ok par click karde.

now-you-can-add-text-and-paint-in-your-image

Ab yaha par aapki selected image dikhne lagegi aur sath me bhut se option dikhege jinka use karke aap apni photos ko edit kar sakte hai. Pancil icon par click karke aap photo par apni finger se kuch bhi likh sakte hai yani paint kar sakte hai. Aur T icon par click karke aap photo par text likh sakte hai. Text ko large (bada) Aur small (small) bhi kar sakte hai hai and text ko rotate bhi kar sakte hai.

add-emoji-in-image-and-change-emoji-colors

Ab emoji icon par click karke yaha par aapko bhut si emojis dikhegi Inmese jis bhi emoji ko aap apni image me add karna chahate hai uspar click karde. Now ab aapki emoji photo me add ho jayegi iss emoji ko bhi bada aur chota kar sakte hai yaha left side me colors bhi dikhege jinpar click karke emoji ka color bhi change kar sakte hai.

tap-on-delete-icon

Important – agar aapne galti se galat emoji ya sticker select kar liya hai jo aapki image ke sath match nahi kar raha aur aap usse hatana chahate hai to us emoji par finger hold kare fir yaha aapko remove icon dikhega us emoji ko iss remove icon tak le jaye fir aapki emoji successfully remove ho jayegi. Issi tarah aap text ko bhi remove kar sakte hai.

tap-on-2nd-image-icon-and-text-icon

  • Ab dusri photo ko edit karne ke liye uspar click kare. Ab agar usme koi text likhna hai to t icon par click kare aur jo text likhna chahate hai vo text likhe aur left side me colors par click karke text ka color bhi change kar sakte hai.

tap-on-3rd-image-and-tap-on-text-icon-and-change-text-color

  • Ab 3rd image par click kare. Issme bhi kuch text ya message likhna hai to T par click kare Aur text likhkar left side me colors par click karke color select kare Aur text ko big aur small kar sakte hai.

now-your-status-is-ready-tap-on-send-icon

  • Ab 4rt Image par click karde ab issko agar crop karna hai to last me crop wali icon par click karke isse crop kar sakte hai. Ab aapne in sabhi steps ko follow karke apna ek accha status bana liya hai ab isse upload karne ke liye right side me send icon par click karde.

Note – Dosto jaruri nahi hai ki aap only 4 hi photo se apna whatsapp status video banaye. aap 4 se jayeda yani 5 ya 10 aur maximum 30 photos issme add kar sakte hai.

your-status-uploading-process-start

  • Now aapka status uploading process start ho jayegi.

now-your-whatsapp-status-video-successfully-created

Congrats 2 se 3 minute me aapka status successfully upload ho jayega. Aur isspar click karke dekh sakte hai ki aapke sabhi photos ek ek karke video ki tarah dikhege.

Dosto WhatsApp Status Video Banane Ka Tarika, WhatsApp Me Image Video Me Status Kaise Dale, WhatsApp Status Me Photo Se Video Banakar Kaise Upload Kare ye ab aap seekh hi gaye honge agar aapko ye information acchi lagi and ye trick aapke liye useful rahi to isse apne friends ke sath share jarur kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here