Top 5 Best Lan Wifi Multiplayer Games For Android 2018 Play Offline

0
5 best wifi multiplayer games for android 2018

Hii friends Best 5 Lan Wifi Multiplayer games for Android , Top 5 multiplayer games play with your online & offline friends ye aaj me aapko iss post me batane wala hu. Dosto mobile phone me game khelne ke agar aap bhi sukeen hai to aaj me aapko esse games ke bare me batane wala hu jo bhut hi popular hai and ye multiplayer games hai jinhe aap apne friends ke sath play kar sakte hai.

and ye sabhi android games hai. aaj kal sabhi logo ke pass android phone hota hai. issliye ye post bhi android user ke liye hi hai agar aap bhi android user hai or aapko apne smartphone me games khelna pasand hai to ye post aapke liye bhut helpful hoga.

Multiplayer Game Kya Hota Hai ?

Contents

Friends aap mese bhut se log multiplayer games ke bare me nahi jante honge jab ek se jayeda log game ko play kar sakte hai yani aapke sath aapka 1 friends ya 2 ya 10 friends ek game ko join karte hai. Saral sabdo me agar kisi game ko aap apne mobile me play kar rahe hai or vo multiplayer hai to aap apne friend ko uske mobile se us game me join kara sakte hai yani aapke friends or aapke dono ke phone me same game play hoga.  Or usse aap dono ek hi time me khel payege.

Multiplayer game me aap us game ki limit ke anusar apne friends ko join kara sakte hai. Jaise kuch games me aap maximum 5 logo ko join kara sakte kuch me 8 ko and mini militia jo ki ek best popular multiplayer game hai issme ek sath aap apne 12 friends ko join karakar unke sath game play kar sakte hai.

Lan Wifi Multiplayer games kya Hai ?

friends ab aap multiplayer games ke bare me to jan hi gaye honge to me aapko batadu multiplayer games ki 2 category hoti hai. online and offline. online multiplayer games ko aap internet hone par hi apne dosto ke sath hi khel sakte hai but offline multiplayer games jinhe Lan wifi multiplayer games bhi bolte hai inhe aap bina internet ke apne friends ke sath wifi hotspot ya blutooth ka use karke bhi play kar sakte hai.

ye wifi multiplayer games se aapko double fayda hota hai pahla ki aapka internet data waste nahi hota or dusra aapka phone ki battery bhi jaldi discharge nahi hoti. or aap apne friends ke sath easily game ko enjoy kar play kar sakte hai.

Top 5 Best WiFI Multiplayer Games For Android 2017 – Play With Your Offline Friends

1. Mini Militia ( Doodle Army 2 )

mini-militia-wifi-multiplayer-game

Dosto mini militia ek bhut hi popular wifi multiplayer games hai. Isska popular hone ka main reason ye hai ki isse aap apne online and offline kisi bhi dost ke sath khel sakte hai. Online isse play karne ke liye aapko internet ki jarurat padti hai or offline me aap isse lan WiFi ka use karke play kar sakte hai.

Yani aap apne kisi bhi dost ke sath iss game ko offline play bhi kar sakte hai. Mini militia game ka size 46 mb ka hai. Issi ke karan aap apne kisi bhi android phone me ye game play kar sakte hai. Or vo hang bhi nahi hoga. And isske graphic bhi bhut acche hai. Ye ek army game hai jisse aapko bhut se features milte hai and isske control bhi easy hai jinhe aap aasani se samajh sakte hai.

Download Mini Militia

mini militia ko apne offline dosto ke sath lan wifi ka use karke khelne ke liye sabse pahle isse download and install  karne ke baad open kare yaha aapko multiplayer ka option dikhega uspar click karde ab yaha apko survival or deathmatch 2 option dikhega agar aap apne friends ke sath milkar fight karna chahate hai to survival choose kare or agar aap apne friend ke against game play karna chahate hai to deathmatch choose kare.

ab yaha apko host and join ke 2 option dikgega aap apne mobile me host option par click kare  or apne friend ke phone me join par click karde now aap or aapka friends dono connect ho jayege or aap asaani se without internet se iss wifi multiplayer games ko play kar payege.

2. Deadly Fight

dedly-fight-2-game

Deadly fight Ek best multiplayer fighting Games hai. Ye bhi Lan wifi multiplyer games mese ek hai jissme 2 player ko wifi or hotspot ka use karke connect kar sakte hai. Yani issme aap apne only 1 friend ko add kar sakte hai. Kyoki ye ek better game hai jisme aapko acche graphics milte hai.

Deadly fight ko abhi tak 1 millions se jayeda logo ne download kiya hai and isski rating 4.0 hai or iss game ka size 49 mb hai. Deadly fight ko apne friends ke sath offline play karne ke liye aap sabse pahle iss game ko download kare. And apne friends se bhi ye game download karaye.

Download Deadly Fight game

Ab deadly fight game ko download and install karne ke baad open kare ab yaha homepage par aapko multiplayer ka option dikhega uspar click kare ab yaha aapko create team or join team 2 option dikhege aapko apne phone me create team par click karna or apne dost ke phone me join team par click karna hai.

fir aapke phone me ek ip address dikhega isse apne friend ke mobile me ip address wale box me dale or fir ok jarde iss tarah friends deady fight ko aap apne dost ke sath play kar sakte hai.

3. Ocean Bubble shooter

ocean-bubble-game

ocean bubble shooter ek arcade wifi multiplayer games hai jise aap apne dost ke sath khel sakte hai and issme bhi aap apne 1 friend ke sath connect kar sakte hai ye two player game hai jissme aap or aapka dost ek sath wifi or bluetooth ka use karke play kar sakta hai agar aapke ya aapke friend ke mobile me wifi ya hotspot nahi hai fir bhi aap iss game ko apne friend ke sath play kar sakte hai.

kyoki issme aapko blutooth se connect karne ka option milta hai or bluetooth all most sabhi android smartphone me pahle se hota hai. ocean bubble shooter me aapko matching bubble ko shoot karna hota hai isske graphic bhi acche hai. and ek Hd game hai and jisski rating 4.2 hai or isska size 7 mb hai.

Download Ocean Bubble Shooter

4. Mighty Fighters 2

mighty-fighters-2-game

mighty fighter 2 bhi ek multiplayer games hai. ye ek battle game hai jissme aapko bhut acche cartoon superhero character milte hai or isske graphic bhi good hai or control bhi easy hai jisse aap asani se apne player ko control kar sakte hai mighty fighter 2 me aapko only blutooth se apne friend ko connect karne ka option milta hai yani aap bluetooth ka use karke mighty fighters 2 ko apne dosto ke sath play kar sakte hai or issme bhi aap only 2 logo ke iss game ko khel sakte hai.

5. Battle Robot Fight HD

fighting-robot-2-game

ye ek new action lan wifi multiplayer games hai. issme aapko wifi or bluetooth se apne dosto ko connect karne ka option milta hai. isske graphic bhi kamal ke hai or ye ek hd fight game hai. isme apne character ya hero ko apne dwara control karne ke option to nahi hai.

means issme aapko number button control milte hai jisse aap jo bhi energy ka use dusre player par karna chahate hai us button se kar sakte hai ye game ben 10 Xenodrome jaisa hai but fark itna hai ki ye ek offline wifi multiplayer game hai jisse aap bluetooth se bhi connect kar sakte hai or isska size 70 mb hai and isski rating 4.1  hai.

Download Battle Robot Fight HD

Dosto ye 5 Best wifi multiplayer games ki list aapko kaisi comment karke jarur bataye or agar ye games aapko acche lage to inhe install kar apne dosto ke sath jaurur play kare andi iss post ko bhi apne dosto ke sath social networking sites par share jarur kare jisse unko bhi in 5 wifi multiplayer games ke bare me pata chale.

friends ye game aap without internet ke offline apne dosto ke sath khel sakte hai. bhut se log wifi multiplayer games play via hotspot, bluetooth multiplayer games, offline two player games ye search karte rahte hai. agar aap bhi ye search kar rahe the to ye post aapke liye bhut helpful raha hoga essi or post read karne ke liye aap humari site par daily visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here