Youtube Channel Kaise Banaye ? Sirf 5 Minute Me Step By Step Jane

2
youtube channel kaise banaye full detail in hindi

Hii Friends Youtube Channel kaise banaye , free me youtube par apna Channel kaise banaye ye main aaj aapko iss post me batunga. Agar aap youtube par video upload karna chahate hai to aap direct bhi video upload kar sakte hai yani yotube par jakar sign in par click karke apna gmail id and password se login karle upload wale icon par click karke aap koi bhi video ispar  dal sakte hai

lekin agar aap ispar  apna Channel banate hai to ye aapke liye bhut hi accha rahega. kyoki youtube channel me aap logo ko apne channel ke bare me bata sakte hai ki vo kis type ka hai  aur aap uspar kis type ka content upload karege jaise tech, motivational, reviews etc

Apna Channel Kyo Banaye ?

Contents

Vaise to aap bina channel banaye hi apne kisi bhi video ko youtube par upload kar sakte hai and unhe monetize kar paise bhi kama sakte hai lekin youtune Channel banane se aapko bhut se benefits hote hai jaise aap agar cooking se related video upload karna chahate hai to aap apna cooking ka official  Channel bana sakte hai

esse hi aapki koi website hai to usse related, game , tv show, cartoon show,  cartoon movie, bollywood or hollywood movie etc se related kisi bhi category ka chennal bana sakte hai.

and ye issliye bhi jaruri hai kyoki issme aap video ki traffic analytics real view or bhut se kaam kar sakte hai jo ki aap apne account se nahi kar pate hai. Or aap playlist bhi bana sakte hai yani aap apne ek channrl me alag alag category ki playlist bana sakte hai.

Youtube Channel Kaise Banaye – Full Guide In Hindi

Ab aap jan gaye honge ki youtube channel banana kyo jaruri hai and agar aap bhi apna youtube channel banana chahate hai to yaha me aapko issi ke bare me batane wala hu,

lekin usse pahle agar aapko ye pata hona jaruri hai  ki aap youtube par kitne channel bana sakte hai ye question bhut se logo soch rahe honge to iss question ka answer hai aap jitne chahe utne channel bana sakte hai.

lekin me aapko suggest karunga ki aap jayeda se jayeda  2 ya 4 channel hi banaye aur unpar hi video upload kare kyoki agar aap bhut jayeda youtube channel banayege to aapko unko manage karne me bhi problem hogi to niche bataye instruction ko follow kare.

  • Sabse pahle youtube par jakar Sign in par click karke apna email and password dalkar login kare.

profile-icon-and-setting-icon

  • Ab yaha aapko right side me apna photo wala icon dikhega uspar click karde or setting icon par click kare.

select-see-all

  • Setting icon par click karne ke baad ab aapko niche additional features me see all my Channel or create a new chennal par click karna hai.

tap-on-create-a-new-channel

  • Ab aapko yaha create a new chennal ka option dikhega uspar click karde.

write-brand-account-name-and-create

  • Ab ek window open hogi yaha brand account name me aapko apne Chennal ka name dalana hai aap koi bhi naam choose kar sakte hai or usme space bhi de sakte hai jaise All hindi help , or name dalne ke baad create par click karde.

add-channel-icon-art-and-discription

  • Ab aapka Channel create ho chuka hai photo wale icon par click karke issme photo add kar sakte hai add  art par click karke issme apne  background add kar sakte hai or  description me aap isske bare me bata sakte hai ki aapne ye channel kyo banaya and issme aap kya kya share karege etc

change-account-and-chennal

Aap aap right side me photo wale icon par click karke dekh sakte hai yaha aapko apne sabhi chennal dikh jayege and aap unmese kisi ko use karna chahate hai to uspar click karke use use kar sakte hai

Aapne apna channel bana liye hai or aap use verify karana chahate hai to ye post read kare. youtube account verify karana bhut easy hai hai sirf aapko kuch simple steps ko follow karna hota hai jiske bare me maine already apni ek post me bataya hai jise yaha se read kar sakte hai.

Iss tarah friends aap aasani se apna youtube channel create kar sakte hai ye post kaisa laga comment me jarur bataye or humare facebook page ko like jarur kare.. aur essi aur bhi social media aur internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

2 COMMENTS

  1. sir,
    Your blog is good,
    keep it work
    i have also youtube channel
    maine aap ka post dekh kar youtube channel banaya

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here