Hello friends youtube videos ko edit kaise kare, youtube videos editing karne ke liye 5 best video editing software main aapko iss post me batunga. Friends aaj ka hamara topic computer se related hai yani computer me video editing ke bare me hai.
bhut se log apne camera se video bana lo lete hai lekin usko aur khubshurat karne ke liye Hume editing software ki jarrut padhti hai to me ab apko 5 best popular software ke bare me batunga.
agar aap kahi par gaye or vo place aapko accha lagta hai to aap uski video jarur banate honge par aapne jo video shoot kiya usme apko kuch acha ni lagra matlb ki aap usko kuch classic banana chate hai to bhi editing software ki jaruarat padegi. jaise agar aapko video mese kuch chijo ko remove karna hai ya 2 video ko ek karna hai to uske liye aapko video editor software ki jarurat padti hai.
Youtube Videos Editing Kaise Kare Step By Step Jane
Contents
agar aapko YouTube par video dalni hai to use edit karne ke liye bhi aapko editing software ka use karna hota hai sabhi logo ka ye question rahta hai ki Maine google me bahut search kiya par mujhe koi accha software ni mila jisse main apne youtube video ko acchi tarah se edit kar saku
jisse vo or acche dikhege to aapka bhi yahi sawal hai to aapko uska jawab iss post ko pura read karke mil jayega. bhut se log apna youtube channel banakar usme apne videos upload karna chahte hai
lekin jab unke banaye videos par jayeda views nahi aate hai to unko accha nahi lagta hai. youtube videos par views na aane ka ek reason video editing par dhyaan na dena bhi ho sakta hai.
agar aap direct video banakar use youtube par upload kar dete hai to kuch logo ko vo accha lag sakta hai lekin sabhi logo ko accha nahi lagega.
video ko aur accha banane ke liye usse edit karna bhut jaruri rahta hai issliye yaha me aapko 1 ya 2 nahi balki 5 best video editor software ke bare me batane wala hu jinka use karke aap laptop se video editing kar sakte hai.
Youtube Videos Ko Edit Karne Ke Liye 5 Best Video Editor Software
Agar aap apne youtube videos ke liye edit karna chahate hai to aapke liye ye hai 5 best video editor software jo aapke bhut kaam ayege.
1) Camatasia
Camatasia ek bhut accha software hai isske jaisa software aapko internet par dusra nahi milega agar apko kisi bhi ya kaise bhi vedio ki editing karni hai to aap isse asani se kar sakte hai.
lagbhag sabhi youtubers apne videos ko edit karne ke liye camatasia ka use karte hai but ye software paid hai
agar aap isko use karna chata hai to aapko ise buy karna hoga yani paise dene honge lekin maine apni new post me ek trick batunga jisse aap hmesa ke liye ise free me use kar sakte hai.
camatasia ki kashyat ye hai isme esse bhut se feautare hai Jo abi tak kisi ko nahi pata hai matlb ki apko camatasia ke features janne me bahut time lag jayga
or issme aapko bhut se animation jaise animated image and text milte hai jo aapke liye bhut useful rahte hai and isse aap apne video me music bhi add kar sakte hai to aap ab samaj honge ki camatasia sabse popular video editing software hai.
issko aap apne computer ki sabhi windows jaise windows xp, 7, 8.1 or 10 ect me use kar sakte hai. camasia ko yaah se download kar sakte hai.
2) Lights work
Youtube videos editing ke liye ye bhi bahut acha software hai.isska use kare aap movies karke bana sakte hai matlab ki isse aap kisi bhi lambi video ki editing kar skate hai ek or bhut hai interesting baat jise sunkar aap herain ho jayege vo ye hai ki jo hollywood movies baanai jati hai
usme bhi lights work ka use kiya jata batman jaisi movie bhi lighhts work se banai gayi thi essi se aap light work ki popularity ka andaza laga sakte hai.
isska use karke aap bollywood, hollywood , tollywood, telgu etc movies banane ke sath sath unhe edit bhi kar sakte hai. lightwork ko yaha se download kar sakte hai.
3) Movistorm
Moviestorm ka use animation videos banane ke llye kiya jata hai. agar aapko animated chije pasand ya aap apne youtube channal par esse video upload karna chahate hai jo animated ho to ye aapke liye best software hai. agar aap koi vedio shoot karke usse animation me badalna chate h to aap movistorm software k use kare hai.
iska use karke aap gif bhi bana sakte hai or moviestron jaisa aapko isseke name se hi pata chal raha hai ki ye movie ke liye hai to isse aap cartoon, horror jaise movies bhi bana sakte hai bhut se hollywoord movies me iss softare ka use animation or 3d effect ke liye kiya jata hai. movietorm ko dwonlaod karne ke liye yaha clcik kare.
4) Storyboard pro software
Storyboard pro se bhi aap animation wale videos bana sakte hai but isme bahut cheze alag matlab ki issme moviestorm se bhut se fetures alag hai and issme aapko bhut se tool milte hai jaise text,image or ye animated hote hai issme aap music ko bhi edit kar sakte hai
storyboard ek best animation software hai jiske bhi esse bhut se features hai jo sabhi logo ko pata nahi hai. storyboard ko direct download yaha se kar sakte hai.
3d animation or effect ke liye bhut se youtuber par storyboard pro ka use karte hai. storyboard ek free software hai jisse aap google se easily download kar sakte hai
and google par ye aapko asani se mil jayega ye software free h aap isse google se download kar sakte h google me apko ye software bahut asani se mil jayga
5) DVD videosoft free software
Ye bhi ek badia software hai isse aap kisi bhi formate ki jaise .mov, .mp4, .3gp, .mtv etc type yani sabhi type ki videos ko edit kar sakte hai. issme aapko animation ke liye bhi feature milte hai ye bhi aapke liye sabse accha software issliye hai.
kyoki issme aap apne video and audio dono ko edit kar sakte hai windows pc liye bhi liye ye bhi best video editing software mese ek hai jise aap google se free me download kar sakte hai. isse aaap yaha se download kar sakte hai.
- Computer me trial version, full version or crack software kya hote hai
- Computar ke top 10 software in hindi
i hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath social media par jarur share kare or essi or bhi post read karne ke liye abhi huamri site allhindihelp ko subscribe kare.. thanks for read this post
bahut badhiya article likha hai new youtubers ko in software ki jankari bahut hi aasani se hindi me mil jayegi.
thanks Rakesh ji, aapne sahi kaha ye video editing software new youtubers ke liye bhut helpful hai and again thanks for yo’re valuable comment essi or bhi post read karne ke liye keep visiting. 🙂
Bahut achhi post
thanks amjad bro essi or bhi post read karne ke liye humari site allhindihelp ko subscribe kare…
Bhai kafi information hai bhai
thanks bro youtube video editing software wali ye post aapko acchi lagi bhut acchi baat hai essi or bhi youtube se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.
lightworks me video ko edit karke save kaise kare
Sabhi Video editing software me alag alag option hai. lightworks software me file par click karke save ka option hoga. uspar click karke video save kar sakte hai
ek bahut hi upayogi post khaskar mere jase new user ke liye mein apane dosto se bhi ise share karana chahunga
thanks a lot of Bhai
maine upar se camtasia software download kar liya hai lekin vo keval trial version hai usaki crack key kaha hai kripya kar ke mujhe bataye
Bro kisi bhi software ka serial key pata karne wali post bhi maine already ki hai jisse aap computer tricks category me jakar read kar sakte hai.
You are so cool man, the post on your blogs are super great.
thanks.. 🙂
Bhai koi android me YouTube video bnaane wale best apps k baare me batao yrrr … .jaise technology se releted video edit kr SKU plz Bhai
kuch batao hai to
youtube video editing ke liye kine master android app best hai.
thnq
2 GB ram par kaun si video editing software achha se run karegi
camatasia software aur wondershare software ko use kar sakte ho.