WhatsApp Group Invite Link Deactivate / Revoke Kaise Kare ? In Hindi

0
whatsapp group invite link deactivate kaise kare in hindi

Hi Guys, Kya Aap Jante Hai Ki WhatsApp Group Invite Link Ko Revoke Kaise Karte Hai, WhatsApp Group Invite Link Deactivate Kaise Kare agar nahi to sahi jagah hai aaj me aapko issi ke bare me batane Wala hu. WhatsApp messenger user ki sankhya millions se billions me Hai Aur aaj Kal almost sabhi logo ke mobile me aapko ye messenger install mil jayega.

Ye ek bhut hi popular social messaging app Hai jiska use karke aap apne friend ke sath chatting Kar sakte Hai isse aap apne friend ko internet se free me voice Aur video call Bhi Kar sakte Hai esse hi Aur Bhi bhut se features issme humko milte Hai.

WhatsApp par aap apne Friends ke sath me ek group bhi bana sakte Hai Aur uski invite links Bhi bana sakte Hai isske bare me Maine already apni post me bataya hua Hai jise aap yaha se read Kar sakte Hai.

WhatsApp Group Invite Link Deactivite Kyo Kare ?

Contents

Friend jaisa ki aapko pata hi hoga ki agar aap apna koi WhatsApp Group banate Hai Aur usme apne friends ko add karna chahate Hai to usske 2 method aapke pass rahte Hai 1st ki aap unko manually add Kar sakte Hai Aur 2nd aap unko apne groups ki invite links de sakte Hai jispar click karke vo usme easily join ho sakte Hai to inmese sabse easy method 2nd Wala hi Hai

Aur sabhi log issi tarike ka use karte Hai Aur apna WhatsApp group invite link Banate Hai Aur usse social media sites jaise Facebook, twitter etc par Aur apne friends ko share Kar dete Hai but agar aap apni invitation links ko bhut jayeda promote karte Hai means aap bhut se groups me unko share karte Hai to un links se koi Bhi aapke group me add ho sakta Hai Aur usme koi bhi links video images etc share kar sakta haijo dusre groups members ko acchi nahi lagegi.

aur essi tarah koi person jiske pass aapke┬а group ka invitation links hai vo aapke groups me baar baar us link se join karke karke left ho raha hai aur fir dubara join ho raha hai to aapke pass ek option bachta hai ki aap apna apna whatsapp group invite link deactivate ya remove karde aur uski jagah new invite link banaye.

How to Deactivate WhatsApp Group Invitation Link ? In Hindi

WhatsApp Groups ki Invite Links banana bhut easy hai and isske bare me maine already bataya hua hai ki kaise ye bana sakte hai issi tarah isko remove ya deactivate karna bhi bhut asan hai and isske liye aapko kuch step ko follow karna hoga.

And invitation link create aur deactivate sirf group admin hi kar sakta hai yani aap agar jin bhi groups ki invitation links ko remove ya deactivate karna chahate hai aapko un groups me admin hona jaruri hai.

WhatsApp Group Invite Link Deactivate Kaise Karte Hai ?

tap-on-3-dot-and-group-info

  • Sabse pahle aapko apne us whatsapp group ko open karna jiski invite link ko remove karna chahate hai ab yaha par aapko right side me 3 dot dekhegi inpar Click kare aur fir 1st option group info par click karde.

tap-on-invite-via-link

  • Ab aap setting me punch jayege yaha par aapko invite link ka option dikhega isspar click karde.

tap-revoke-link

  • Ab yaha par aapko sabse last me revoke links ka option dikhega iss revoke wale option par click karde.

tap-on-revoke-link-option

  • Now friends ab aapse ek baar aur confirm karne ke liye bola jayega ki aap such me isko delete karna chahate hai revoke link par click karde.

now-your-whatsapp-group-invite-link-successfully-deactivate

Congrats ab aapko ‘the previous invite links is now revoked and a new invite links has been created’ ye message dikhega isska matlab ki aapne successfully apne whatsapp group┬а invite link deactivate ya remove kar diya hai Aur aapne new link generate kardi hai.

Dosto Whatapp Group Invite Link Ko Change Kaise Kare, Whatsapp Group Invite Link Deactivate Karne Ka Tarika Hindi Me┬аye ab aap seekh hi gaye honge ye article aapke liye helpful raha to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here