Apni Real Age Kaise Nikale Or Pata Kare – Age Calculator

0
apni real age kaise nikale ya pata kare

Hii Friends apni age kaise pata kare, apni real age kaise nikale ye aap iss article me janege. Dosto kya aapko apni age nikalna nahi aata hai matalb aapko nahi pata ki aapki umar kitni hai ya aap kitne saal ke hai to iss post me aapko issi ke bare me bataunga,

aap mese bhut se logo ko apni date of birth malum hi hogi matlab ki aap kab paida huye ya kab aapka janm hua ye sabhi log jante hi hai

lekin kya aaako ye pata hai ki aap kitne saale ke hai yani real time me aap kitne year ke hai aur aapke janm se aapko kitne month ho chuke hai aur minute aur kitne second ho chuke hai agar aapko isske bare me jankari nahi hai to iss post me aapko issi ke bare me batane wala hu.

Apni Age Kaise Nikale Or Pata Kare ?

Contents

agar aap bhi apni sahi age pata karna chahte hai ki aapki umar kitni hai aur jabse aap paida huye tabse lekar aapko kitne month, minute or second ho chuke hai to easily isske bare me pata laga sakte hai, kuch log hote hai,

aapka friend ya koi bhi aapse jab pahli bar milta hai to yahi uska question rahta hai ki aap kitne year ke hai, iss question ka answer vo log to de dete hai jinko apni age pata hoti hai

lekin kuch logo ko pata hi nahi rahta hai ki vo kitne yr ke hai to vo guess karke bol dete hai ki me 15yr ya 18yr ya 22 yr etc ka hu lekin isse hota hai ye hai ki kabhi kabhi vo apne aapko bhut badi age ka pata bata dete hai or kabhi kabhi choti umar ka bata dete hai issliye aapki bhi problem hai to iss post ko read karke aapki ye problem solve ho jayegi.

Apni Sahi Umar Kaise Pata Kare ?

apni sahi age ki calculation kaise kar sakte hai ye bhut se logo ka question rahta hai because aap aap kitne saal ke hai ye aapko pata hoga lekin kya aapko pata hai ki aapki birth se aapko month , minute aur second ho chuke agar nahi to Easily pata laga sakte hai isske liye me aapko ek age calculator app ke bare me batane wala hu

vaise to aur bhi bhut sari apps hai jinka use karke aap apni sahi age ka pata laga sakte hai lekin unmese jaydatar apps sahi se kaam nahi karti hai but me aapko jis app ke bare me batane wala hu vo sahi se work karta hai aur uska use karna bhi bhut hi easy hai aur koi bhi usse easily use kar sakta hai.

Current Age Nikalne Ka Tarika – Age Calculator App

  • sabse pahle aapko apne mobile me age calculator by date of birth name ka ek app download karna hoga isse aap google play store se download kar sakte hai ya aap isse yaha se bhi download kar sakte hai.
  • iss app ko apne phone me download aur install karne ke baad open kare fir aapko kuch option jaise today date aur date of birth show hoga today date me aapko koi bhi change nahi karna hai
  • aapko only date of birth me aapki jo bhi date of birth hai vo dalni hai jaise date of birth me aapko apni birth ka date, month or year enter karna hai aur fir calculate wale option par click kar dena hai.
  • aap jaise hi calculate par click karege apni age ke sath aur bhi bhut sari extra chije dekhte ko milegi jaise yaha par aapko apni current age jaise aap kitne year, month or day ke vo show hoga.
  • matlab ki aap years aur months ke sath sath day bhi dekh sakte hai aur aapka next birthday kab hai ye bhi yaha par show karega aur aapki zodiac ( raashi ) bhi yaha par show karegi.
  • aur issi ke extra me aap dekh sakte hai ki birth se lekar aapke total years, total months, total weeks, total days, total hours, total minutes, total seconds etc kitne ho gaye hai.
  • upcoming birthday me apne aane wale birthday ko bhi dekh sakte hai.

iss tarah friends aap easily iss app ka use karke apni current age pata kar sakte hai.

dosto apni age kaise pata kare, aap kitne saal ke hai kaise jane ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaisi lagi comment me jarur bataye aur aapke liye ye information helpful rahi to isse apne other friends ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here