How to Get & Enable WhatsApp Payment Option in India

5
whatsapp payment option activate kaise kare enable whatsapp payments button

WhatsApp Me Payments Button Nahi Dikh Raha Hai Kaise Dikhega, Whatsapp Payment option Not Showing In App, Whatsapp Payment option kaise Paye, How To Enable Payment Button In WhatsApp. Dosto agar aap Indian WhatsApp user hai to jaisa ki aap jante hi honge ki abhi kuch days pahle hi WhatApp Ne sirf indian user ke liye  apna payments feature lanuch kiya hai.

agar nahi jante to isske bare me maine already apni ek post me bataya hua hai ki Whatsapp Payments Feature kya hai Aur kaise use kare aap vo post read kar sakte hai. Ab friends us post me maine bataya tha ki ye upi payment feature sirf indian users ke liye launch kiya gaya hai aur iss feature ki abhi testing ki ja rahi hai.

issliye sabhi users ke liye ye feature available nahi hai only beta user hi isska labh utha sakte hai. Ye aap sabhi jante hi honge aur aapne Whatapp beta version me update bhi kar liya hoga.

but agar abhi bhi aapke app me payments option nahi dikh raha hai Aur aap issko enable karna chahate hai to aap sahi jagah hai aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu.

WhatsApp Payment Option Activate Kaise Kare Full Detail In Hindi

Contents

Jaisa ki friends sabhi logo ko pata hai ki WhatsApp upi payment feature 12 fabruary ko hi launch ho chuka hai but ye sabhi beta user ko nahi mila hai Aur kuch logo ko ye feature mil chuka hai to aapko bhi agar ye feature nahi mila hai

aur aapko whatsapp Messenger app me koi bhi payments option ya button show nahi kar raha yani nahi dikh raha to aap iss payments button ko enable kar sakte hai.

WhatsApp payment option invite and get par kaam kar raha hai yani agar aapko iss payments button ko enable karna hai to isske liye aapko us dusre whatapp user ko messages karna hoga jiske whatapp me pahle se ye payments option ho.

How to Get WhatsApp Payment Option In HIndi

  • Agar aapko ye payment option enable karna hai to isske liye aapka whatsapp version 2.18.46 ya isse jayeda hona jaruri hai agar isse kam version hai to aap aapke whatapp me ye payments option enable nahi hoga.

tap-help-and-choose-app-info

  • agar aapko apna Whatapp Messenger version pata karna hai to whatapp Setting me Jaye aur yaha aapko help ka option dikhega uspar click karde. Aur app info par click karde.now-you-can-see-your-whatsapp-messenger-version
  • ab Yaha aapko apna messenger version dikh jayega jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte hai.

payments-button-not-showing

  • Ab account setting me jaye and apne friend ya group inbox me attachment icon par click karne par aapko payment option nahi dikh raha hai to abhi aapke whatApp me ye option available nahi hai.

tap-payments-optionAb aapko apne kisi friends jiske whatsapp me ye payment button show ho raha hai usse bolna ki vo aapko payment karne ka try kare means vo aapko paise send na kare lekin paise send karne ka try kare jaise aap apne friends jiske phone me pahle se payments button show ho raha hai usse Hii Ya hello ya kuch bhi likhkar likhkar message kare.

Fir aapke friend ko aapka message milega Aur vo attachment icon par click karega to usse payment option show hoga fir vo uspar click karega. Jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte hai.

tap-on-ok

  • Aur aapka friends jaise hi payments button par click karega usse can not send payments to manish because the payment feature is not available to them ye message dikhega. Fir usko ok par click kar dena hai.

Bus aapke friends ko itna hi karna hai Aur aapke whatsapp me bhi payment option activate ho jayega.

Important – Ye payments option tabhi enable hoga jab aapka whatsapp messenger version 2.18.48 ya isse jayeda hoga. And aapke friend ke messenger me payment option dikh raha hai but usne agar isme apne bank account ko connect ya link nahi kiya hai to vo aapko payment nahi kar sakta.

Dosto WhatsApp Payment Option Activate Enable Kaise Karte Hai, How to Get Whatsapp Payment Feature In india wala ye article aapko agar accha laga to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare.

And Agar aapko apna esaa koi bhi friend nahi mil raha hai jiske whatsapp Messenger me payments button dikh raha ho ya aapke friend ke messenger me ye option dikh raha hai but usne apne bank account ko isse link ya connect nahi kiya hai Aur aap aap apne messenger me payment option ko enable karna chahate hai to  to aap Humare facebook page par message kar sakte hai.

5 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here