Mobile Se Black And White Photo Kaise Capture Kare

0
mobile se black and white photo kaise capture kare

Hi Friends Mobile Se Black And White Photo Kaise Le ye aap iss post me janege. Aaj kal sabhi logo ke pass apna smartphone rahta hai aur jayedatar log to only picture click karne ke liye hi smartphone buy karte hai.

aur vo smartphone buy karne se pahle uski camera quality hi dekhte hai ki phone ka camera kaisa hai aur kitne mega pixels ka hai

Aur agar aapko bhi picture click karna accha Lagta hai to ye post aapke liye hi hai iss post me aapko black and white photo capture karne is best app ke bare me batane wala hu.

Bhut se logo ko colored photo se jayeda black and white picture pasand hoti hai to unke liye hi iss post me aapko esse app ke bare bata raha hu jinsa use karke aap bhut hi easily aur DSLR camera hi tarah apne phone se black and white picture capture kar payege.

agar aap bhi android phone user hai aur apne phone se black and white picture lena chahate hai to iss post ko pura read kare. vaise to aap colored photo ko bhi black and white photo me change kar sakte hai lekin issme time lagta hai aur aapko alag alag photo editor ka use karna hota hai

aur vo picture clear bhi nahi show hoti hai issliye isse accha aap direct apne mobile camera se black and white picture click kar sakte hai aur isse aapka time bhi kam spend hoga aur picture bhi sahi aayegi.

Mobile Se Black And White Photo Capture Kaise Kare ?

Contents

Jaisa ki aap jante hi honge ki sabhi logo ki pasand alag alag hoti Hai jaruri nhi hai ki jo chij aapko pasand hai dusre person ko bhi vo chij pasand ho. Ese hi kuch logo ko colored Picture capture karna accha lagta Hai to kuch logo ko black and white picture lena jayeda pasand hota Hai.

Lekin kya aap jante Hai Hai ki aap apne mobile se bhi dslr jaisi black and white picture capture Kar sakte hai aur isske liye aapko kuch apps ka use Karna hoga jinke bare me aapko iss post me Batate hu.

Aap mese bhut se log colored photo ko black & white me kaise change kare ya badle esaa likhkar search karte rahte Hai aur isske liye bhut se photo editor ka bhi use karte Hai. Lekin aap chahe to apne mobile ke camera se direct black and white photo capture Kar sakte hai.

Aur fir aapko usko edit karne ki jarurat bhi Nahi Hogi aur usse Kahi pe bhi jaise Faceboo, Instagram, whatsapp etc par bhi easily share Kar payege.

Mobile Se Black And White Photo Kaise Le Tarika Hindi Me

  • Sabse pahle aapko apne android mobile Me Hypocam name ka ek app. Download karna hoga ye black and white photo capture karne ke popular apps mese ek Hai isse abhi tak 1 millions se jayeda log download Kar Chuke Hai aur isski rating 4.4 Hai.
  • Hypocam ko download and install karne ke baad open kare fir ye aapse aapke phone camera ko access karne ki permission magega allow ya ok par click karke permission dede.

Fir camera open ho jayega aur yaha se aap black and white photo capture Kar sakte hai aur camera ko swip bhi Kar sakte hai Matlab ki agar aap real camera se picture click karna chahate Hai

to camera icon par click karke real camera ya front camera se picture capture karna chahate Hai to front camera select Kar sakte hai.

Iss Tarah trends aap easily apne mobile phone se black and white picture capture Kar sakte hai.

Conclusion –

Dosto mobile se black and white photo capture kaise kare in Hindi wali ye information aapko kaisi lagi comment karke jarur Bataye aur ye jankari agar aapke liye useful rahi to isse apne dusre friends ke sath social media site par share jarur kare.

agar aapko iss post me kuch samjh na aaya ho ya apaka iss post ya other post se related koi question hai to vo bhi comment karke bataye aur essi or bhi internet se related post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here