Blogger Blog Me Old Published Post Ka Permalink Change Kaise Kare

7
blog me published post ki permalink kaise change kare

Hello friends Blogger Blog me old Post ki Permalink kaise change Kare ya Blog Me Published post ki Permalink kaise change kare ye main aapko iss article me batane wala hu.

agar aap blogger hai or aap successful blogger banna chahate hai to uske liye aapko apne blog ko seo friendly banana hota hai kyoki  SEO friendly article hi search me 1st page par show hota hai.

SEO friendly content ke liye permalink bhut hi important hoti hai kyoki google search me aapki post ki 3 chije hi show hoti ha jinme title, post ke kuch word ( Description) or permalink hoti hai

issliye agar aap acchi or seo friendly permalink apne article me use karte hai to aapke article ke search me aane ke chances badh jate hai.

Permalink Kya Hota Hai ? Puri jankari hindi me

Contents

aap apne blog me jo post likhte hai ye uska link ya url hota hai jispar agar koi click karta hai to vo aapke article  par punch jata hai matlab agar aap kisi bhi blog article ka link apne browser me search karte hai to aap us site ke us article par chale jate hai. 

jaise ki maine bataya ki search engine me aapki blog post ka permalink bhi show hota hai aur agar aap essa permalink apne article me use karte hai jo post title aur description se match nahi hota hai to isse seo par negative impact padhta hai.  

mostly blogger apne blog me post write karte time title aur description par hi jayeda dhyaan dete hai aur permalink ko ignore kar dete hai jisse hota ye hai ki unki post search me show hi nahi hoti

aur search me show hoti bhi hai to bhi 6-7 pages par dikhti hai jisse search engine se unko traffic nahi mil pata hai. isliye post write karte time me permalink ko customize karna bhut important hai,

and agar aap blogger platform ka use karte hai aur hindi font me post write karte hai to blog-post1 kuch tarah ka permalink automatically ban jata hai aur aap use customize nahi karte hai aur esse hi post publish kar dete hai to search engine me post ranking par bad effect padhta hai,

Permalink (URL) SEO ka bhut important factor hota hai agar aap seo friendly url apne article me use karte hai to uske search me top par show hone ke chances badh jate hai.

Blog or wordpress me permalink alag alag rahta hai. Blog me domain/date/post link dikhta hai jabki wordpress me domain/ post link dikta hai.  

Example-Blog-

www.allhindihelp.com/2019/06/blog-kaise-banaye/

WordPress-

www.allhindihelp.com/blog-kaise-banaye/

Blogger Blog Me Published Post Ki Permalink Kaise change kare ya badle-

Kabhi kabhi essa hota hai ki jab bhi hum koi article likhte hai to uski permalink edit karna bhul jate hai jisse title ke kuch word hi permalink ban jate hai lekin ye SEO friendly nahi hote hai

or blogger me post publish hone ke baad uske url ko change karna chahate hai to essa nahi kar pate hai kyoki waha par hume url ko edit karne ka koi option hi show nahi hota hai

kyoki permalink option disable ho jata hai lekin iss article me jo method batane wala hu uska istemaal karke aap post publish hone ke bad bhi uske url ko edit aur customize kar payege.

Blogger Post Ka URL Kaise Change Kare

  • Sabse pahle apne blogger par jaye aur apna email and password enter kar login kare.
tap-on-posts-option-in-blogger
  • blogger me login karne ke baad posts par click kare yaha par aapko apne drawa ki gayi sabhi posts dekhegi inmese jiske bhi url ko edit karna chahte hai us post ke niche Edit option par click kare.
tap-revert-to-draft-option
  • fir editor open ho jayega aur bhut sare option yaha par dikhege in mese right side me Revert to Draft par click karna hai.
blog-post-ki-permalink-change-kare
  • Revert to Draft par click karne ke baad permalink par click kare or custom par click kare ab aap asani se apni permalink ko edit ya change kar sakte hai, url ko edit karne ke bad done option par click karde.
  • aur fir publish option par click karke article ko publish karde.

Iss tarah friends aap asani se apne blog ki purani post ki permalink change kar sakte hai

Friends i hope aapko ye article accha lage isse apne friends ke sath social networking site par jarur share kare aur koi sawal hai to comment karke jarur puche and essi aur bhi blogging aur seo se realated post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

7 COMMENTS

  1. post ki permalink change karne ke baad search engine dubara post index karte hai aap 2 ya 3 days tak wait kare aapki post search me dikhe lagegi…

  2. Sir Main Aapka Bahut Bahut Dhanywad Karta Hoon Jo Aapne Mere Blog Ke Liye Apni Templet Di Lekin Sir Jab Mai Popular Post Add KartanHoon Ya Kuchh Aur Add Karta.Hoon To Page Not Found 404 error Bata Raha Hai Main Kya Karoon sir please help

  3. 404 error ye post me show hota hai blog me nahi ya to aap widget sahi se add nahi kar rahe hai ya aapke template upload karne ke baad bhi popular post me error aa raha hai to aapke blog me problem hai…

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here