Instagram Close Friends List Kya Hai Aur Kaise Use Kare ?

0
instagram close friends list kya hai aur kaise use kare

Hii Friends Instagram Close friends Feature Kya Hai aur isse kaise istemaal karte hai ye aaj hum iss article me janege. Instagram ka name aap sabhi log jante hai ye bhi ek popular social media app hai.

Bhut se log facebook se jayeda instagram app ka use karte hai agar aap bhi insta user hai to jante hi honge ki issme hum photo video share kar sakte hai aur kisi ko bhi follow kar sakte hai aur koi bhi hume insta par follow kar sakta hai.

Instagram ne apne user ke liye close friends name ka app new feature diya hai iss feature ko kaise use karte hai ye aaj hum iss article me janege.

Instagram Stories Kya Hai ? in Hindi

Contents

Instagram close friends feature ke bare ke batane se pahle me aapko instagram stories ke bare me bata deta hu vaise to isake bare me sabhi log jante hi hai. Instagram par hume your story wala option milta hai jaha par hum photo video text etc share kar sakte hai.

Ye story 24 hours tak rahti hai aur fir automatically remove ho jati hai yani agar saral sabdo me kha jaye to insta stories me aap apni activity ko bata sakte hai jaise aap kahi par travel karne gaye hai to waha par apni picture capture karke unhe insta stories me daal sakte hai.

Instagram Close Friends List Kya Hai ? Puri Jankari Hindi Ke

Instagram me hume close friends wala feature milta hai jaisa ki isske name se hi pata chal raha hai ki issme hum apne karibi dosto ya favorite friends Ko jod sakte hai. Close friends me aap jin logo ko add karte hai vo aapki profile me bhi show karte hai

aur apni instagram stories ko bhi close friends ke sath me share kar sakte hai. Ye bhut hi accha feature hai jiska istemaal karke aap apne dosto ke sath connected rah sakte hai.

Instagram Me Close Friends Feature Ko Kaise Use Karte Hai ?

tap-on-close-friend-option

Sabse pahle aapko apne mobile me instagram app me jana hai ab yaha par profile icon par click kare fir yaha 3 line ( menu ) dikhega iss par click karde ab yaha pe kuch option dikhenge inmese close friends wala option par click karke select kare.

add-friends-close-friends-list-in-instagram

Ab yaha par suggestion me aapko un friends ke name dikkege jinko aap follow kar rahe hoge aur vo aapko follow kar rahe honge ab inmese jis ko bhi close friend banana chahate hai uske aage add par click karde

aur agar aap apne dost ko find karna chahata hai to search me uska name likhe fir usse related bhut se log dikhne lagege unmese jis ko bhi close friends list me add Karna Hai uske aage add par click karde.

instagram-close-friends-list-kya-hai

Ab aapko your list option dikhne lagega aur fir aapse 5 ya isse jayeda logo ko iss list me add karne ke liye bola jayega agar aap aur logo ko add Nahi karna chahata hai to not now par click karde.

Congrats ab aapka friend successfully close friend list me add ho jayega.

Instagram Stories ko Close Friends ke Sath Kaise Share Kare ?

add-your-story-in-instagram
  • Sabse pahle insta app ko open kare fir yaha par your story wala icon dikhega iss par click karde. Ab yaha par aapko left side me photo icon dikhega iss par click kare
share-instagram-story-with-close-friends
  • fir yaha par aapko apne mobile ki sabhi Photo dekhne lagegi ab jis bhi photo ko your stories me add karna chahate Hai uspar click karke select karde aur fir aapko close friends wala option dikhega usapar click karde.
instagram-me-close-friend-feature-ko-kaise-use-kare

Now aapki insta stories successfully post ho jayegi aur usse only aapke close friend list wale dost hi dekh payege.

Dosto instagram close friend list ko kaise use kare ye ab aap seekh hi gaye honge ye information aapko acchi lagi to isse apne dosto ke sath bhi social media site par share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here