Hello friends 1 Android Mobile Me 4 WhatsApp Kaise Chalaye Ya Use Kare ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends whatsapp Messenger ek social networking Android app hai jo aapko sabhi smartphone me install kiya mil jayega.
Ye bhut hi popular messaging app hai. Iss app ke popular hone ka karan issme diye gaye features hai. Ye aapko image video sharing, instant text messaging video calling jaise features deta hai.
Ek Android mobile me aap 1 whatspp app install kar sakte hai lekin agar aap apne smartphone me 1 se jayda whatsapp use karna chahate hai to issi ki trick main aapko iss post me batane wala hu.
1 Mobile Me 4 WhatsApp Kaise Chalaye
Contents
Friends internet par aapko 1 mobile me 2 whatsapp kaise chalaye isski bhut si post mil jayegi. Lekin ye post todhi alag hai issme main aapko 2 nahi 3 bhi nahi ek sath 4 whatsapp chalane ki trick bata raha hu. or ye trick 100% working hai. vaise to bhut sare app hai jo multiple account banane ka option dete hai lekin yaha par me aapko ek best tarika batane wala hu jisme aapko jayeda kuch nahi karna hoga.
Normaly whatsapp ka ek hi app hai lekin agar aapko ek se jayda baar isska use karna hai to aapko play store par bhut se third party app mil jayege. Lekin yaha main aapko un hi apps ke bare me batunga jinki rating acchi hai or or jinhe play store par 4 star mile hai
1 Android Mobile Me 4 WhatsApp Kaise Use Kare ya Chalaye
1. Whatsapp
Ye normal whatsapp hai isske bare aap log jante hi honge ye ek popular social massaging app hai. whatsapp ek instant messaging app hai jo hume voice calling, bideo calling jaise feature provide karta hai. isme hume status wala feature bhi milta hai jisme image video etc ko share kar sakte hai.
Pahle ye 1 year ke liye free tha lekin ab ye lifetime ke liye free hai. Aaj-kal jo bhi smartphone aa rahe hai un sabhi me hume WhatsApp Messenger Pre-Installed matlab pahle se install milta hai.
2 GBWhatsApp
Bhut se log Ek mobile me Double whatsapp chalane ke liye iss app ko sabse jayda use karte hai, isska real whatsapp se koi connection nahi hai. or ye google play store par bhi uplabhdh nahi hai lekin ye fir bhi sabse jayda popular hai kyoki issme bhut sare jayda features hai.
- isske use se aapka official whatapp ban nahi hoga..
- Issapp aap 250 logo ki jagah 600 logo ko Broadcast message send kar sakte hai.
- issme aap 16 MB ki jagah 30 MB tak ka video send kar sakte hai or 10 image ki jagha 90 image ek sath send kar sakte hai.
- last seen one click me chupa sakte hai or second right tick ko bhi chupa sakte hai ya hide kar sakte hai.
- issme 140 character(word) ke jagah 250 character ka status post kar sakte hai.
3. WhatsApp Business
4 DISA App
Disa app aapko google play store par milta hai issliye ye ek official app hai jisse use karne me koi risk nahi hai. Play store par isski rating 4 star hai jiska matlab hai ki bhut se log isse like karte hai. Ye bhi whatsapp messages ke sath sath text messages, telegram, facebook messenger chat ko bhi support karta hai.
- Sabse pahle Disa par ko download kare.
- Ab isse open kare or Right top per setting per click kare.
- Ab Add service per click kare or Whtasapp icon select kare.
- Ab thoda wait kare plugin download hona start ho jayga or restart button per click kare or whatsapp par click kare
- Ab issme Apna Name, mobile number MCC-MNC code( MCC-MNC codes pata karne ke liye www.mcc-mnc.com par jaye) enter kare or Next button per click kare.
- Ab aaapko Account verify karne ke liye SMS/Call ke button per click karna hai. now aapke mobile par ek verification code aayega.
- Code ko enter kare or Submit kar click karde.
Friends agar aapko ye post accha lage to iss post ko apne friend ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aayga ho to comment karke jarur bataye.