Google Allo Messenger क्या है ? और ये कैसे काम करता है

0
google allo kya hai aur kaise use kare step by step jane

Hii friends Google Allo kya hai Aur Kaise Use Kare, ? Whatsapp vs Google Allo konsa best messenger hai ye main aapko iss artical me batunga. Friends Google ne apna new messenger app google allo launch kar diya hai jisse aap play store se download kar sakte hai. Ye messenger app other messenger jaise hike facebook or whatsapp messenger se bhut alag hai issme aapko bhut se feature milte hai. Agar aap jannna chahate hai ki whatsapp or allo me konsa best messaging app hai to iss article ko pura padhe.

Google Allo Kya hai ? Google Assistant Hindi Me ?

Contents

Allo ek messaging app hai jisse Google ne 21 September 2016 ko launch kiya tha google apne new product launch karta rahta hai isse pahle isne aapni ek or app google duo launch ki thi lekin vo jayda popular nahi hui lekin google Allo new and popular messaging app hai

jissme aapko hike facebook or whatsapp messenger se jayda or advanced feature mil rahe rahe hai. Isska sabse important feature hai google assistant isska use karke aap, translate news, location etc bhut se features ka use kar sakte hai

1.Smart reply isska sabse best feature hai or iss feature ko bhut se log pasand bhi karte hai smart reply ka use karke aap agar kahi par essi jagah hai jaha aap kisi ko message send nahi kar sakte hai or kisi ka important message aata hai to aap smart reply ka use karke me message kar sakte hai kyoki issme aapko apne dwara send kiye pichle messages dikhte hai.

2. Iss me aap kisi bhi image par kuch bhi likh sakte hai doodle ki madad se ye bhut accha and kamal ka feature hai.

3. Aapko issme bhut se stickers milte hai jo aaapko other messenger me nahi milte hai ye sticker bhut se designer dwara design kiye hote hai or aapko issme sticker editor bhi milta hai jisse aap apne pasand ka sticker bhi bana sakte hai.

4. Issme aap apne likhe text ko big yani bada sakte hai or small kar sakte hai matlab aap apne likhe text font ko khud hi change kar sakte hai sabse pahle aap apna message likhe aur text ko bada karna chahate hai to to “Louder” bole and And small karna chahate hai to  “Quieter” bole iss tarah aap bolkar apne text ke size ko kam ya jayeda kar sakte hai.

5. Agar aap apni personal Information share nahi karna chahate hai or aap chahate hai isse koi bhi na padh paye to aap isska Incognito Mode use kar sakte hai isse aapka message ya image ya video encrypt ho jayega and use koi bhi nahi padh payega..

6. Issme aapko translator bhi milta hai jisse aap kisi bhi language ko apni language me convert kar sakte hai.

isske alawa aap Google assistant se apna koi bhi Question puch sakte hai and ye aapko sabhi question ke answer deta hai.

Google Allo (Google Assistant) Features In Hindi-

Isame aapko bhut se new and smart features milte hai jo aapko duare social messenger me nahi milte hai.
 

Google Allo Vs Whatsapp Konsa Best Messenger Hai ?

Friends abhi aapne google allo ke features ke bare me jana lekin agar aap abhi bhi decide nahi kar pa rahe hai ki google allo vs whatsapp mese konsa best massaging app hai to main aapko dono app ke difference ke bare me batata hu.
  • Google allo me aapko Incognito mode  name ka ek feature milta hai jisse aap apne message ki security increase karke unhe encrypt kar sakte hai whatsapp me bhi aapko end to end encryption name ka feature milta hai. Lekin fark sirf itna hai ki iss me aapko starting me ye security mode milta hai or whatsapp ne isse baad me add kiya hai.
  • Issme aapko Artificial Intelligence name ka ek bhut hi accha feature milata hai jisse aap isse kuch bhi puchte hai to aapko uska reply 1 second me mil jata hai jabki whatsapp me aapko essa koi bhi feature nahi milta.
  • Issme aapko smart reply milta hai jo whatsapp me nahi milta.
  • Issme aap text ko size bada ya chota hai kar sakte hai vo bhi apni speck se jabki whatsapp me essa nahi kar sakte.
  • Issme aapko bhut se sticker milte hai jo whatsapp se acche or jayda hote hai.
  • Google allo me aap kisi ko private message kar sakte hai hai and use delete bhi kar sakte hai whatsapp ne bhi ab delete for everyone feature de diya hai jiska use karke send messages ko delete kar sakte hai.
  • Google allo me aapko flight, event hotels, film etc search karne ka option milta hai jabki ye option whatsapp me nahi milta.
  • allo me aapko google assistant milta hai jisse aapko  translator, find location etc jaise feature milte hai jo whatsapp me nahi milte.
  • Issme aap ek sath 20 photos share kar sakte hai jabki whatsapp me ek sath 30 image share ki ja sakti hai.
  • Google allo me aap kisi photo par real time me kuch bhi likh sakte hai and ab whatsapp par bhi photos par kuch bhi likh sakte hai

Friends ab aap samaz gaye honge whatsapp Aur allo mese konsa best messenger hai.

Google Allo Account Kaise Banaye Ya Google Allo Messenger Ko Kaise Use Kare ?

  • Sabse pahle aapko google allo name ka app play store se download karna hai isse direct download yaha se bhi kar sakte hai.

Download Allo Messenger

enter-your-mobile-number-and-next

  • Ab isse open kare issme country aur country code select kare aur enter your number me apna mobile number dale and next par click karde.

enter-verification-code-and-next

  • Aapne jo number enter kiya tha uspar ek verification code aayega vo code verification wale box me dale aur next par click karde.

select-your-google-account-and-next

  • now ab aapko google account select karna hai aur fir next par click karde.

tap-on-photo-icon-and-choose-your-photo-from-mobile-gallery

  • ab aapko profile pic upload karni hai profile pic upload karne ke liye camera icon par click kare aap chahe to picture camera se capture karke bhi upload kar sakte hai ya gallery se photo upload karna hai to fir gallery wale option par click karde.

select-your-photo

  • ab aapko yaha apni mobile gallery ki sabhi photo dikhegi inmese jis bhi photo ko upload karna hai uspar click karke select kare. aur fir right mark par click karde.

enter-your-name-and-tap-next

  • photo upload karne ke baad yaha enter your name wale option me apna naam dale aur next par click kare.

tap-on-skip

  • ab yaha par aapko apne phone ke sabhi contacts dikhege inhe allo me invite kar sakte hai ya skip option par click karde.

now-you-successully-registered-in-google-allo

  • Now friends aap successfully google allo me registered ho chuke hai ab yaha par aapko apne vo sabhi friend ka name and photo icon dikhega jo google allo ka use karte hai yaha par google assistant wala feature bhi hai jiske bare me maine already bataya hai aur start chat option par click karke apne friends ke sath chat kar sakte hai.

tap-on-emoji-icon

  • allo me aap sticker bhi send kar sakte hai isske liye apne us friend ke inbox me jaye jise sticker send karna hai aur yaha 3rd number wale icon par click karde fir yaha par bhut se sticker dikhne lagege inmese kisi bhi sticker par click karke send kar sakte hai.

selfie-sticker-google-allo

  • google allo me aap apne khudke face ke sticker bhi bana sakte hai isske liye sticker icon par click kare aur fir yaha par create wala option dikhega isspar click karde fir aapke phone ka camera open ho jayega usse apna photo capture karke sticker create kar sakte hai aur issme jayeda sticker last wali icon par click karke add kar sakte hai.

Iss tarah friends aap easily google allo account banakar use kar sakte hai.

Friends Google Allo Me Account Kaise Banaye Ya Register Kaise Kare, Google Allo Ko Kaise Use Karte Hai ye ab aap jan hi gaye honge agar aapko ye post accha lage to isse apne friends ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here