Google Images Search – Google Par Photo Ke Dwara Search Kare

3

Google par photo ke dwara search kaise kare. Google images search se photo ke madhyam se search karne ka tarika. Friends aap Google ke bare me jante hi honge kyoki ye ek essa search engine hai jiske bare me chote bacche se lekar bujurg logo tak sab jante hai.

Agar aapko kisi chij ke bare me janna hai ya aapka koi sawal hai to aapko 90% tak uss question ka answer google par mil jata hai.

Internet par uncountable yani unlimited website hai jinpar sabhi tarah ki information jaise internet, social media, earn money, motivational, study etc available hai lekin aapko kaise pata chalega ki kis site par ye information hai or usse find kaise kare. Issi ke liye hume internet par search engine milte hai.

Internet par google ke alawa Bing, yahoo, ask me jaise bhut se search engine hai lekin sabse popular search engine google hi hai jisske bare sabhi countries ke log jante hai ispar 24 hours me har secoud sabhi countries ke log kuch na kuch likhkar search karte rahte hai. search engine ke drawa hume hum kisi bhi chij ke bare me easily pata laga sakte hai.

Google Par Images Ke Dwara Search Kyo Kare – Main Reason

Contents

Dosto normally aapko kisi chij ke bare me detail janni hai to aap usska name ya usske name ke kuch word likhkar google par find karte hai but kabhi kabhi essa hota hai ki hume kisi photo ke bare me jankari chahaiye or uss photo se related hume 0% bhi nahi pata hai to usske bare me kaise jane ye sabhi logo ka question rahta hai.

Pahle aap only text likhkar yani type karke hi google par searching  kar sakte the but ab aap google image search se image ke madhyam se bhi searching kar sakte hai.

Aapko bus jis photo ki information pata karna hai us photo ko  google par upload karna hoga or usse related sabhi results aapko dikhne lagege. ye bhut hi easy method hai jiske dwara aap kisi ke bhi photo ko search karke uska name pata laga sakte hai. 

Google Images Search – Google Me Photo Se Search Kaise Karte Hai

Agar aapke pass bhi koi photo jisske bare me aapko detail pata karni hai to yaha me aapko 2 tarike bata raha hu jinmese aap kisi bhi method ka use kar sakte hai. yaha me aapko jin 2 method ke bare me batane wala hu unhe aap bhut hi easily use kar sakte hai.

vaise to aur bhi tarike hai jinse aap kisi bhi photo ki information ka pata laga sakte hai lekin yaha me aapko jo method batane wala hu vo bhut easy hai aur isske liye aapko kisi bhi app ko apne mobile me install nahi karna hoga.

How to Use Google Images Search ? IN HINDI

google images search ke bare me aapne bhi suna hoga lekin kya aapne kabhi ise use kiya hai agar nahi to fir iss post me issi ke bare me batane wala hu kis aap google images search ka use karke photo se search kar sakte hai aur isske liye aapke pass computer ya laptop hona jaruri nahi hai aap apne mobile me bhi issko use kar sakte hai.

Method – 1 Photo Upload Karke Search Kare

  • Sabse pahle aapko google images ke page par jana hoga jisspar direct jane ke liye niche button par click kare.

Go To Google image search

tap-on-camera-icon

  • yaha apako camera wala icon dikhega uspar click karde.

tap on upload an image on google images search

  • camera icon par click karne ke baad ab aapko yaha 2 option dikhege paste image url or upload an image aapko upload an image par click kardena hai.

tap-on-choose-file

  • ab yaha choose file ka option dikga ispar click karde.

google images search karne ka tarika

  • ab  apne computer mese vo photo select kare jisse bare me aapko pata karna hai. image select karne ke baad open par click karde.

google-image-search-result-red-fort

  • now ab aapke samne photo se related sabhi result aa jayege jaise ki aap uper screenshot me dekh sakte hai ki maine red fort yani lal kila ki image search ki thi to usske bare me yaha sari detail aa gayi or issi tarah aap bhi kisi bhi place, famous thing, celebrity etc kisi ki bhi image yaha uplaod karege to aapko usske bare me full detail mil jayegi.

Note- jaise ki friends maine aapko bataya hai ki gogle ek sarch engine hai jo ki internet par present sabhi sites se data collect karke humare samne show karta hai issliye agar aap apni photo gooogle images me search karte hai to aapko usske bare me sayad koi bhi information na mile. kyoki aapki jankari ya image internet par nahi hogi and agar aap apni photo ko google par upload karna chahate hai to aap aap niche link par click kar post read kar sakte hai.

Method- 2 URL Ke Dwara Search kare

friends agar aapne koi image internet par upload ki hai or aap uss image ke bare me pata karna chahate hai to iss method ko follow kar sakte hai.

  • sabse pahle aapko pahle 1st method me bataye 2 instruction ko follow karna hoga yani serch page par jaye or camera wale icon par click karde.

paste-photo-url-and-search-by-image

1. ab aapko yaha paste image url ka option dikhega yaha par aap us image ka link ya url dale jise aapne online upload kiya hai. yani Blog, mediafire etc kisi bhi site par aapne jo photo upload ki hai or uss photo ka url aap yaha iss box me dale.

2 . url dalne ke baad search by image par click karde.

google images search kaise kare

Now aapko image se related sabhi results dikhne lagege jaise ki uper screenshot me dikh raha hai.

Dosto issi tarah aapne jana ki google images search se photo image se google search kaise kare aapko ye post accha lage to isse apne friends ke sath social media par share jarur kare or essi or bhi interesting post ke liye humari site par visit karte rahe.

3 COMMENTS

    • sapna ji aap apne mobile me google chrome browser install kare aur usme 3 dot dikhegi unpar click kare fir waha aapko desktop site ka option dikgega usspar click karde. isse aapke mobile me bhi desktop site open ho jayegi and aapko google image me camera icon dikhne lagega.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here