Paytm Payment Bank Kya Hai ? What Is Paytm Payment Bank in Hindi

2
paytm payment bank launched paytm wallet changed payment bank full detail hindi

Hii friends Paytm payment bank kya hai aur kaise use kare, paytm payment bank me account kaise banaye ye aap iss post me janege. dosto paytm ke bare me aap log jane hi honge isse aap e- wallet bhi bol sakte hai. Ye aapke online wallet jaisa hai jaisa aap apne wallet (batuye) me paise rakhte hai ussi tarah issme ┬аpaise rakh sakte hai

or un paiao se aap bhut se kaam jaise mobile recharge, DTH recharge, movie ticket booking, online transaction etc sabhi kaam kar sakte hai

and ek paytm wallet se aap dusre wallet me bhi paise transfer kar sakte hai. or aapke wallet me jo money hai usse apne bank account me bhi transfer kar sakte hai. Ye to rahi paym wallet ki baat jisske bare me aap jante hi honge. Ab me aapko main topic ke bare me batata hu.

Paytm Payment Bank Kya Hai – Puri Jankari Hindi Me

Contents

Dosto jaisa ki aapko pata hai ki abhi paytm wallet ka only app available hai jo ki google play store par aapko mil jayega and issme abhi digital transaction kiye jate the means ye ek online digital wallet jaisa tha but ab aapko paytm me payment bank ka bhi option show hoga.

matlab ki ab aap paytm bank me account open kara sakte hai aur isske liye apako kahi par bhi jane ki jarurat nahi hai. aap ghar baithe apne aadhar card aur pan card ka use karke paytm bank me account open kara sakte hai.

PaYm ke founder ne kuch days pahle Reserve bank of india se bank account open karne ke liye licence manga tha jo ki rbi ne de diya hai and 23 may se payment bank lauched ho chuka hai.

Paytm bank launched issme kya naya hai ?

Dosto ab aap normal bank ki tarah paytm me bhi apna account open kara payege and aapko credit and debit card bhi milege and aapko apne jama kiye gaye paiso par interest(veyaaj) bhi milega. isska ATM bhi lagega. And company ka maksad country me 31 branches and 31000 customer service center open karana hai

jinpar bhi jaldhi hi work kiya jayega and paytm apni new payment bank ke launched ke muke par customer ko cash back offer bhi de raha hai jissme aap agar 25000 rupee apne account me jama karate hai to aapko 250 rupee cash back milega.

Paytm Wallet ke Paise (Money) ka kya hoga ?

Agar aap bhi soch rahe hai ki aapke wallet me jo paise hai unka kya hoga to me aapko batata chahunga ki vo paise paym ke payment bank account me transfer kar diye jayege

lekin essa nahi hai ki vo sirf aapka akele ka account hoga ussme sabhi ke wallet ke paise add honge lekin aap chahate hai ki aapko debit card and credit card bhi mile to aapko ┬аpayment bank par new account open karana hoga.

Paytm Payment Bank Se Paytm wallet me kya badlav hoga ? ya issme kya naya hoga ?

ab aap soch rahe honge ki issme kya naya hoga to me aapko batana chahunga ki kuch bhi naya nahi hoga sirf aapke wallet ke paise bank me jayege or aap unhe wallet ki tarah hi use kar payege.

aap pahle ki tarah ki kisi ke bhi number par paise send kar payege. DTH bill payment, mobile phone recharge movie ticket booking, electricity bill payment jaise sabhi kaam aap kar payege and promo code bhi use kar payege.

Friends Paytm payment bank ki ye information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or isse apne dosto ke sath social networking site facebook whatsapp google+ par share jarur kare or aapko iss post me kuch samajh na aaya ho ya iss post ya other post se related question hai to comment karke jarur bataye.

2 COMMENTS

    • agar aapne apne facebook account ko permanently delete kar diya hai to vo ab recover nahi hoga and agar temporary delete kiya to jitne time ke liye kiya hai utne time me open ho jayega

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here