Mobile Sensor Kya Hai ? List Of All Smartphone Sensors In Hindi

0
mobile sensor kya hail smartphone ke all sensors ki puri jankari hindi me

Mobile Sensor Kya Hai , Sensor Kya Hota Hai , What is Sensor In Hindi , Sensor Kitne Prakar Ke Hote Hai. Smartphone ke All Sensors ki list hindi Me. Aaj kal sabhi logo ke pass apna smartphone hota hai Aur usme kitni ram Aur internal storage hai and konsa processor hai Aur phone ka camera kitne mega pixels ka hai ye baate sabhi log jante hai. But esse bhut hi kam honge jo apne mobile ke sabhi sensor ke bare me jante ho.

Mobile Sensor Kya Hai Ya Sensor Kya Hota Hai What is Smartphone Sensors in Hindi

Contents

Smartphone me sensors hi phone ko smart banate hai Aur inhi sensors se aapka mobile vo sabhi kaam kar pata hai jissko karne ke liye ussko banaya gaya hai jaise aapka phone me brightness ko control karna, mobile se panorama 360 degree photo capture karna, mobile screen and photo ko rotate karna etc sabhi kaam Sensors ke dwara hi hote hai.

Mobile Phone Me Kon Kon Se Sensor Hote Hai ?

Android phone me Aur iPhone dono hi Smartphone me sensors hote hai.  Aur in mobile sensor ka kaam alag alag rahta hai. Sabhi phones me hume proximity sensors dekhne ko milta hai aapne bhi dekha hoga aapke android ya iphone me front me left ya right side me round shapes rahta hai.

Ye almost sabhi mobile phone me rahta hai bhut se logo ko nahi pata hota hai ye proximity sensor rahta hai Aur ye kya kaam karta hai esse hi bhut se sensors aapke phone me rahte hai jinke bare me aap log nahi jante honge.

Mobile Sensor Kitne Types Ke Hote Hai ? Smartphone Ke All Sensors Ki List Hindi Me

1. Proximity Sensor

Proximity mobile Sensor Kya Hota Hai Aur Ye Kya Kaam Karta Hai. Almost sabhi android and iOS smartphone me hume proximity Sensors dekhne ko milta hai. To aap andaza laga sakte hai ki ye bhut hi kaam ka hoga. ye mobile ki front side me rahta hai. Aur ye aapke mobile screen se aapki nazadiki napne ka kaam karta hai jaise aapko jabhi bhi apne phone par call aata hai to apne phone ko apne ear par jaise hi lagate hai to aapke mobile ki display automatically off ho jati hai

Aur jaise hi aap apne ear se phone hata lete hai to phone ki display yani screen on ho jati hai. Isse ye fayda hota hai ki aapke phone ki battery kam use hoti hai aur aapke ear & face se mobile touch hone par bhi call hold ya end nahi hota hai. Ye proximity sensor ke karan hota hai.  Aur ye aapke phone ke movement par najar rakta hai Aur unke antar ki duri ko maapta hai.

Simple language ne bola jaye to aapne bhut se apps dekhe honge jo shake karne par kaam karte hai jaise aap shake to answer call app use karte hai to agar koi aapko call aata hai to aap phone ko hilate hai ya shake karte hai to call automatically received ho jati hai. Ye issi sensors ki wajah se hota hai.

2. Magnetometer Sensor

Magnetometer Mobile Sensor kya Aur kya kaam karta hai ye bhut se log search karte hai. Magnetometer jaisa ki isske name se hi pata chal raha hai ki ye magnet ki tarah hi work karta hai. Magnetometer aapke phone me compass ka kaam karta hai.

Agar aapke phone me magnetometer Sensors hai to aapko compass ki koi jarurat nahi hai isse aap  jaise east, north, west, south sabhi direction ka pata laga sakte hai. Iss sensor ka use metal detect karne ke liye Bhi Kiya jata Hai. Metal detect apps issi sensor se hi metal ko detect Kar pate Hai.

3. Accelerometer Sensor

Ye sensors bhi Hume almost sabhi smartphone me milta Hai to Accelerometer Sensor Kya Hota Hai Aur isska Kya upyog rahta Hai ? Friends aapke mobile me auto rotate screen ka to option hoga iss rotate screen option ka use karke aap apne phone ki screen ko portable Aur landscape Kar sakte Hai. Ab aap soch rahe honge auto rotate screen Aur accelerometer ka kya connection Hai to friends ye accelerometer Sensors hi phone ki rotation ko control karta hai

yani aap apne phone ko vertically pakde rahte hai tab aap koi bhi image video dekhte to to vo vertically view me dikhta hai aur issi tarah agar aap mobile ko horizontally pakde huye hai to aap image video etc dekhte hai to vo automatically horizontally view me dikhta hai ye accelerometer sensors ki wajah se hota hai.

4.Gyroscope Sensor

Gyroscope bhi accelerometer sensors ki tarah hi work karta hai but isse accelerometer ka advance version bhi bol sakte hai kyoki gyroscope ko Gyro Sensor bhi bolte hai Aur isse aap 360 degree tak screen rotate kar sakte hai

Aur isse 360 degree ke photo bhi capture kar sakte hai. Aapne dekha hoga ki kuch smartphone me 360 degree ki photo capture nahi ho pati hai Aur vo issliye kyoki unme gyroscope nahi rahta hai but ab almost sabhi smartphone me ye hota hai Aur isska use karke aap apne phone se 360 degree ki photo capture kar sakte hai.

Aap agar janna chahate hai ki aapke phone me gyroscope Sensor hai ya nahi to aap apne phone ke camera me jaye or waha option par click kare agar waha aapko panorama ya 360 degree ka koi option dikh raha hai to gyroscope sensors aapke phone me hai ya nahi dikh raha hai

to aap 2nd method try kare google street view name ka app download kare aur usse 360 degree photo capture karne ka try kare agar 360 degree ka photo aapke mobile se capture ho raha hai to aapke phone me ye mobile sensor hai aur agar 360 degree photo capture nahi ho raha hai to aapke phone me gyroscope sensors nahi hai.

5. Ambient Light Sensor

Ambient Light Mobile Sensor Kya Hota Hai Aur Kya Kaam Karta Hai ?  Isko light sensor bhi bolte hai ye sabhi smartphone me hume proximity sensors ke nazdik hi dekhne ko milta hai ye sensors automatically aapke phone ke brightness leval ko kam jayeda karta hai jaise agar aap day light me hai to ye automatically aapke mobile ki brightness high ya jayeda kar dega

Aur night me ye brightness ko automatically low yani  kam kar dega. Jisse aap apni phone screen ko acche se dekh sakege. Issse aapke phone ki battery life badh jati hai kyoki brightness kam hone par phone battery jayeda use nahi hoti hai.

6.Barometer Sensor

Barometer Sensor kya hai Aur Kaam Karta hai ? Barometer Sensor air pressure ko Naapta hai Aur issse aap pata laga sakte hai ki aap sea level yani samudra se kitni height yani uchai par hai. Agar aapke phone me barometer hai to usse aap apne phone ki gps me Apna accurate location pata kar sakte hai Aur aapne mountain par kitni height tak chadhai ki ye bhi isse pata kar sakte hai.

7.Pedometer Sensor

Ye sensors hume bhut hi kam smartphone me dekhne ko milta hai Aur ye humare foot step ko accurate tarike se count karta hai. Pedometer sensors hume jayedatar fitness band me dekhne ko milta hai aur isse aap pata kar sakte hai ki aap 1 din me kitne kadam chale. Vaise to bhut si apps google play store par available hai jinka use karke aap apne foot step count kar sakte hai but un sabhi apps se accurate result nahi milta jo pedometer se mil jata hai

8.Thermometer Sensor

Thermometer sensor vaise to sabhi smartphone me rahta hai aur jiska kaam aapke phone ke temperature ko mapane ka rahta hai but ye sirf internal temperature ke liye rahta hai matlab mobile body ka temperature Aur battery ka temperature pata karke usko control karta hai but bhut se smartphone me hume iss thermometer ke alawa ek Aur yani external thermometer bhi milta hai Aur jo aapke aas pass ke environment ke temperature ko batata hai.

Air Humidity Sensor

Air humidity sensors se aap apne aas paas ki environment ki humidity ke bare me pata kar sakte hai aur ye aapke place ke weather ki information bhi aapko deta hai Aur jab aapke weather me jayeda humidity hoti hai to aapke phone warning show hoti hai jissme ye aapko batata hai ki aapke ass pass ka weather yani musam kharab hone wala hai.

Heart Rate Sensor

Ye sensors humare heart yani dil ki dhadkan ko count karta hai aur batata ki humara heart 1 min me kitni baar beats karta yani dhadakta hai ye  hume bhut hi kam smartphone me dekhne ko milta hai and ye jayedatar smart watch and fitness band me rahta hai.

Fingerprint Sensor

Iske bare me aap mese bhut se log jante honge fir bhi yaha me aapko bata deta hu ki Fingerprint Sensor Kya Hota Hai. iska use karke aap apni finger se apne phone ko unlock kar sakte hai. ye humari finger yani ungli ke print ko save kar leta hai aur jabhi bhi aap iss fingerprint sensor par apni finger ko touch karte hai to aapka phone unlock ho jata hai.

Fingerprint sensors pahle hume only apple iphone me hi dekhne ko milta tha but aaj kal ab sabhi smartphone jaise samsung, vivo, honer, Xiaomi redmi etc sabhi phone me hume fingerprint sensor dekhte ko milta hai kuch phone me ye sensors mobile ki back side yani piche ki taraf hota hai to kuch phone me ye front side me center wali button yani home button ke sath hi attach rahta hai

Infrared Sensor IR sensor

Infrared Mobile Sensor bhi aaj kal sabhi smartphone me hume dekhne ko milta hai iss sensor ka use karke aap apne mobile ko apne tv yani television ka remote bana sakte hai. Yani infrared sensors ek universal remote ki tarah kaam karta hai

iska use karke aap apne phone ko remote control ki tarah use kar sakte hai jase tv, set up box , home theater, fan, dvd player , Ac etc kisi bhi remote se operate hone wale electronic device ko aap apne apne mobile se control kar sakte hai. Infrared Sensors ko iR blaster Aur remote sensor bhi kahte hai.

Dosto ab aap jan gaye honge ki Mobile Sensor Kya Hote Hai Aur Kitne Types Ke Hote Hai. Smartphone ke all sensors ki list wali ye information agar aapko acchi lage and aapke liye useful rahe to isse apne friends ke sath share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here