Pendrive Me Apna Photo Or Password Kaise Lagaye

0
pendrive me apna photo or password kaise lagaye in hindi

Hii Friends pendrive me apna photo kaise lagaye, Pendrive me password kaise dale or lagaye issi ke bare me aap iss article me janege, dosto aap mese sabhi logo ko pendrive ke bare me pata hi hoga, computer se kisi bhi file jaise video, image, document etc ko ek computer se dusre computer me ya mobile me share karne ke liye hum pendrive ka use karte hai,

pendrive ka size bhut chota hai jisse aap kahi bhi easily ek jagah se dusri jagah par le ja sakte hai, or pendrive bhut se size ke jaise 4gb, 6gb, 8gb, 32gb, 64gb etc ke hote hai jinme aap apna data store kar sakte hai, bhut se logo ko apna data jaise image, document, video etc kahi na kahi store karke rakhna hota hai aur vo chahate hai ki unka data safe rahe.

aur use vo agar kahi par share karna chahe to easily share kar paye, to pendrive ke drawra aap essa kar sakte hai, issme aapka data puri tarah se safe rahta hai, or aap usko kahi par bhi aasani se le ja sakte hai,

yani ek device se dusre device me easily pendrive ki help se data share kar sakte hai. bhut se log unki pendrive ka icon change karna chahate hai yani ki vo pendrive me apna photo ya kisi bhi photo ko lagana chahate hai

to kuch log usme password bhi lagana chahate hai jisse ki unka data sirf wahi dekh paye or use koi dusra na access kar sake to issi ke bare me aap iss article me janege.

Pendrive Me Apna Photo Or Password Kaise Lagaye ?

Contents

friends agar aap bhi apni usb pendrive me apna photo lagana cahate hai yani ki uska icon change karna chahate hai to isske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga aur na hi aapko kisi bhi software ka use karna hoga yaha par me aapko ek bhut hi easy tarika batane wala hu.

bhut se logo ke pass ek se jayeda pendrive hoti hai aur vo unko ek sath computer ya laptop me connect karte hai to isse unko ye smajna thoda difficult ho jata hai ki konsi pendrive me konsa data hai

kyoki vo sabhi ek jaisi hi show hoti hai issliye aap unka icon change karke easily pata laga sakte hai ki aapki konsi pendrive me konsa data hai aur isse vo pahle se accchi bhi dikhti hai, me aapko jo tarika batane wala hu uska use karke aap apne usb drive hi nahi balki sd card, memory card me bhi apna photo laga sakte hai, aapne pendrive me photo lagane ke bare me suna hoga lekin agar aapko isski puri jankari nahi hai to iss article ko read karke aapko isske bare me sari jankari mil jayegi.

How to Change Pendrive Icon In Hindi

  • agar aap bhi apni pendrive ke icon ko change karna chahate hai to isske aap notepad ki help se essa kar sakte hai isske liye aapko apne pc me alag se koi bhi software nahi download karna hoga.
  • sabse pahle aapko kisi bhi photo ko icon me convert karna hoga iske liye aap offline kisi bhi photo editor jaise photoshop, picsart etc ka use kar sakte hai
  • lekin agar aapke computer ya laptop me photo editing app nahi hai to online photo editor ka use karke bhi photo ka size kam karke usse icon me convert kar sakte hai isske liye aapke resize image ki site par jana hoga jispar aap yaha se ja sakte hai.
  • resize image site par jane ke baad aapko yaha upload a image me vo photo upload upload karna hai jisko aap pendrive me lagana chahate hai us photo ko upload a image wale me select kar sakte hai. fir aapko yaha par niche crop your image wala option show hoga
  • yaha par aapko selection area me w ke aage wale box me 256 type karna hai ye width rahta hai aur h wale option me 232 type karna hai ye height rahti hai fir aapki image par jo aapne upload ki hai uspar ek crop box show hone lagega uspar aapko image ki us jagah par le jana hai jaha se aap image ko crop karna chate hai or fir crop par click kar dena hai.
  • iss tarah aapki photo ek icon ki tarah ban jayegi abhi aapko yaha par or bhi option jaise rotate your image, resize your image wale show honge in sab me aapko koi change nahi karna hai aapko only select your output image format me bmp select karna hai, optimize your image me resize wale option par click kar dena hai.
  • or fir aapko niche kuch option show honge unmese download image par click karde.
  • Now aapki photo icon successfully download ho jayegi.
  • ab aapko apne computer ya laptop me notepad ko open karna hai isske liye apne pc me windows icon par click karke notepad search kare aur uspar click karde.

[autorun]

icon=xyz.bmp

  • notepad ko open karne ke baad ye wala code yaha se copy karke notepad me paste karde.
  • jab aap ye code notepad me paste kardege tab aapko issme kuch changes karne honge yaha par aapko code me xyz likha hai usko hatakar aapne jo image icon banayi thi
  • aur jis name se save ki thi vo name likhna hai aur yaha par ek baat ka dyaan rakhe aapne jo image icon banayi hai uska name jaisa hai vaise ka vaisa hi likhna hai aur fir file wale option par click kare aur aur save as wale option ko choose kare.
  • fir aapko yaha par file name me autorun.inf ye type karna hai aur save as type me all files select karni hai aur fir save par click kar dena hai.
  • now aapne notpad se jo file banaya hai aur aapka jo photo icon hai un dono ko aapko ek hi jagah par rakhna hai aur fir aapko apne computer me vo pendrive lagani hai jiska icon change karna chahate hai.
  • fir aapko us pandrive ko format kar dena hai aur fir aapki jo image icon aur file hai usko copy karke pendrive me paste kar dena hai.
  • jab aap image icon or file ko pendrive me copy kar denge fir aapko pendrive ko laptop se nikalna hai aur firse laga dena hai fir aapko pendrive ka icon change dikhega.

iss tarah fiends aap easily in simple steps ko follow karke pendrive me photo laga sakte hai yani ki uska icon badal sakte hai.

Pendrive Me Password Kaise Lagaye Step By Step Jane

agar aap apni pendrive me apna important data store karte hai aur nahi chahate hai use koi read kar paye to aap usme password laga sakte hai pendrive me password lagana bhut hi easy hai

isske liye aapko kisi bhi software ka use nahi karna hoga, lekin aap ye aap apni pendrive me essa hi pasword set kare jo aapko yad rahe because kuch log usme password to laga lete hai aur fir bhul bhi jate hai jisse unko unhe use baad me forgot karne me problem aati hai.

  • sabse pahle aapko apne computer me pendrive ko lagana hai yani ki insert kana hai.
  • fir aapko apne laptop me desktop par my computer ya this pc wale ek icon show hoga uspar click kar dena hai.
  • yaha par aapko apne computer ki sabhi hard drive show hogi aur niche removable disk name se aapki pendrive show karegi aapko uspar mouse se right click karna hai fir kuch option show honge unmese turn on bitlocker wale option par click kar dena hai.
  • isske bad ek new option show hoga usme aapko use a password to unlock a drive par tick karna hai uske niche enter your password me aap jo bhi password dalna chahate hai vo password dalna hai aur fir reenter your password me wahi password dubara enter karke confirm kar dena hai. or fir next par click karna hai.
  • now password enter karne ke bad next page me aapko recovery wala ek option show hoga jiska use karke aap password bhul jate hai to usse recover bhi kar sakte hai aapko save to file par click karna hai. jisse aapka password file save ho jayega.
  • aur fir aapko 2 or option milege unmese 1st wale option ko select karna hai or next par click karna hai.
  • fir aapko new window me start encrypting wala ek option show hoga ye final step hai aapko start encrypting wale option par click kar dena hai, fir encrypting process start ho jayega isme thoda time lag sakta hai aur fir process complete hone ke baad aapki pendrive me password set ho jayega.

important

Dosto pendrive me apna photo kaise lagaye, kisi bhi pendrive me password kaise lagaye ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko agar acchi lagi to isse apne dusre friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet or computer tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here