Kisi Photo & Image Se Text Copy Kaise Kare ? Mobile Or Pc Me

0
kisi photo image se text copy kaise kare

Hii friends photo se text copy kaise kare, image se text ko copy karne ka traika aap iss article me janege, photo se text copy karna ye sunne me thoda ajeeb jarur lagta hai but essa possible hai, aapke pass koi image hai aur aap usme likhe text ko copy karna chahate hai to easily essa kar sakte hai, kabhi kabhi hum study karte ya notes banate time kuch important chijo ke picture ko mobile se capture kar lete hai

aur fir jo image click ki hai usme jo text hai usko copy karna chahate hai to bhut se log sochte hai ki essa koi tarika hai jisse hum image me jo text likha hai usko copy kar paye to ha essa kar sakte hai, aur aap apne computer se hi nahi balki mobile se bhi kisi bhi photo se text copy kar sakte hai.

Photo Se Text Copy Kaise Kare ?

Contents

Jaisa ki maine bataya ki aap mese bhut se log kisi na kisi photo me likhe text ko copy karna chahate honge, agar aap koi news paper, books, document etc me jo text likha hai usko copy karna chahate hai to bhi isska tarika me aapko batane wala hu,

yaha par me aapko image se text copy karne wala method bata raha hu, matlab ki uska use karke aap kisi bhi photo se text ko copy kar sakte hai

ye bhut hi asan tarika hai aur isske liye aapko jayeda kuch karne ke bhi jarurat nahi hai, aap mese bhut se log kisi na apne mobile se koi na koi picture click karte hi honge

ya aap agar document ka koi picture click karte hai aur aapki document me jo text ya word likhe hai to aap unko copy karna chahate honge

lekin essa aap direct nahi kar sakte hai, matlab ki jab aap koi image apne phone camera se click karte hai to vo jpg, png etc format me rahti hai aur aur aap use pdf me open nahi kar sakte hai agar aapko use pdf file banani hai to sabse pahle aapko usme likhe text ko copy karna hoga or use document me convert karna hoga,

agar aap kisi document me likhe text ki image ko capture karte hai to bhi vo jpg or png etc format me hi hogi aur vo image hi show hogi or use aap document ki tarah yani ki ms office or wordpad me open nahi kar sakte hai lekin aap chahe to apni image se text nikal sakte hai.

Kisi Bhi Photo Or Image Se Text Kaise Nikale

aapne bhut hi image ya kisi document jaise books, magazine etc kahi par bhi alag alag style me text likha dekha hoga aur kabhi kabhi aapko vo text itna accha lagta hai ki aap uski font ka pata karna chahate hai jisse ki aap ussi style me kuch likh sake lekin essa aap tabhi kar sakte hai

jab aapko us style me likha koi text mile lekin vo to photo me rahta hai to aapko sabse pahle photo mese us text ko nikalna hoga tabhi aap uske font ka pata laga payege, photo se text kaise nikale

isske bare me agar aap search kar rahe hai to isska hi tarika me iss post me share kar raha hu aur jo method me iss post me bata raha hu vo computer or mobile dono user ke liye hai agar aapke pass pc nahi hai to aap mobile wale method ko use kar sakte hai

aur aapke pass computer ya laptop hai to aap us method ka use kar sakte hai dono hi method bhut easy hai or computer me aapko kisi bhi third party software ka use nahi karna hoga lekin mobile me aapko ek application ka use karna hoga.

Kisi Bhi Photo Se Text Copy Kaise Kare ( Mobile User )

  • ye method android mobile user ke liye hai agar aap apne phone se kisi bhi photo mese text nikalna ya copy karna chahate hai to isske liye aapko apne phone me sabse pahle google play store se text scanner OCR name ka ek app download karna hoga , ya aap isse yaha se bhi download kar sakte hai.
  • text scanner app ko download aur install karne ke baad open kare fir ye aapse aapke photo gallery or camera ko access karne ki permission magega, permission dene ke baad issme camera open ho jayega,
  • agar aap chahe to iss camera ko kisi bhi newspaper, books etc par le ja kar usme likhe text ko nikal sakte hai ya aapke pass koi picture pahle se click ki hui hai aur aap usme likhe word ko nikalna chahate hai to aapko yaha par gallery wala ek icon bhi show karega uspar click karde.
  • fir aap apni mobile gallery me pauch jayege yaha par aapko apni sabhi images show hogi inmese jis bhi image ka text copy karna chate hai uspar click karke select karde,
  • now aapki photo scan hona start ho jayegi issme thoda time lag sakta hai aur jab aapki photo puri scan ho jayegi tab usme jo jitne bhi text honge vo automatically word me convert ho jayege
  • aapko usme kuch bhi nahi karna hoga, aap in word ko copy karne ke liye aapko yaha par left side me pen icon show karega uspar click kar dena hai.
  • pen icon par click karne ke baad aap us text par click karke use copy kar sakte hai aur usse kahi par bhi paste kar sakte hai yani use kar sakte hai.

iss tarah fiends aap in simple steps ko follow karke mobile se kisi bhi photo me likhe word ko nikal sakte hai.

Image Se Text Ko Copy Kare ( PC Or Laptop Me )

Computer use karke kisi bhi photo se text niklane ke liye aapko kisi bhi dusre software ko apne pc me install nahi karna hoga isske liye aapko sirf microsoft sofwtare ka hi use karna hoga, jo ki almost sabhi pc me pahle se install rahta hai, or windows 7, 8, 10 etc sabhi computer me hum microsoft software ka use kar sakte hai.

  • sabse pahle aapko apne computer ko open karna hai or fir search box me aapko one note likhkar search karna hai, agar aapke pc me microsoft office hai to one note search me aa jayega aur fir uspar click karke aap use open kar sakte hai.
  • fir yaha par aapse sign in karne ke liye kaha jayega, personal microsoft account, work on school account 2 option show honge inmese aapko personal microsoft account par click kar dena hai aur fir aapko apne microsoft account ka email or password enter karke issme login karna hai.
  • jab aap one note me login kar lenege fir one note ko open kare waha par kuch option show honge unmese blank page ko open or fir aap jis photo se text copy karna chahate hai us photo ko copy karne ke baad one note me paste karde,
  • image ko copy aap karne ke liye aap image select karke Keyboard se Ctrl + C key dabakar use copy kar sakte hai aur fir image copy karne ke baad One Note Me Jakar Ctrl + V key Dabakar use paste karde.
  • fir aapki photo one note me show hogi uspar mouse se right click kare kuch option show honge unmese copy text from picture wale option par click karde.
  • than aapko apne computer me notepad ko open karna hai isske liye aap search box me notepad likhkar search kare fir aapko notepad dikh jayega uspar click karke aap use open kar sakte hai ya aap apne keyboard se Ctrl + R Key press kare, isse run option open ho jayega yaha par aapko notepad type karna hai
  • aur enter par click kar dena hai, notepad open karne ke baad apne keyboard se Ctrl + V Key babaye isse aapne photo se jo text copy kiya tha vo paste ho jayega aur vo aapko notepad me show hone lagega aap issko save kar sakte hai aur kahi par bhi use kar sakte hai.

iss tarah fiends aap computer me bhi bina kisi third party software ka use kiye photo se text nikal sakte hai.

Important –

Dosto kisi Bhi Photo or image se text copy kaise kare, photo me se text kaise nikale in hindi wali ye information agar aapko acchi lagi aur aapke liye useful rahi to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare aur aapko iss post ya dusri post se related koi question hai to comment karke jarur bataye aur essi or bhi internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here