Rupay Card Visa & MasterCard Kya Hai ? Aur Inme Difference Kya Hai

1
rupay card-mastercard visa-card kya hai aur inme difference kya hai

Hii Friends Rupay Card Visa Aur MasterCard kya hota hai What Is Difference Between MasterCard, Rupay Debit Card And Visa Card In Hindi ye aaj aap iss article me janege.┬аInternet aur technology me humare Bhut se kaam Ko asan kar diya hai pahle bank se paise nikalne ke liye hume bank me Jana hota hai aur issme kabhi kabhi bank me jakar line me bhi lagna hota tha but ab hum ATM Machine par jakar Apne debit card ya ATM se paise withdraw kar sakte hai.

But agar aap sochte hai ki debit card ka use only bank account se paise nikalne ke liye Kiya Jata hai to essa bilkul nahi hai Inka use online shopping, payment karne, etc bhut se kaam me Kiya Jata hai. Digital India banane ke liye government dwara cashless transaction Ko badhaba diya ja rahe hai. Issliye Bhut se log kisi shop ya online payment karte time debit ya credit card ka use karte.

Agar aapke pass bhi kisi bhi bank jaise SBI, Punjab national bank, central bank of india, axis bank etc ka debit card hai to aapne dekha hoga ki usme MasterCard, visa ya Rupay┬а likha rahta hai to ab Bhut se logo ke man me question aata hai ki Rupay card Visa aur MasterCard me kya difference hai.

Rupay Card Kya Hota Hai ? What is Rupay Card in Hindi

Contents

Rupay card indian Payment Getway hai jise NPCL yani National payment corporation of India ke dwara banaya Gaya hai. Rupay domestic payment gateway hai issliye issme kisi bhi tarah ka charge aur commission nahi Dena hota.

Hum agar debit card se kisi Ko payment kar rahe hai to jaruri nahi hai ki hum jise payment kar rahe ho uska bhi same bank account ho jo humara hai uska alag bank account bhi ho Sakta hai issliye payment gateway issme humari help karta hai aur jise humne payment ki hai vo uske bank tak paise send karta hai

pahle India ka khud ka payment getway nahi tha issliye bhut se log amirican payment gateway jaise MasterCard ka use karte the jispar unhe taxes and commission Dena hota tha. But rupay card ka use karne par tax and commission nahi lagta hai aur isse aap all India me Kahi par bhi istemaal kar sakte hai.

MasterCard & Visa Card Kya Hai ? In Hindi

MasterCard & Visa dono hi American payment getway hai jaisa ki maine aapko bataya ki aap agar atm se kisi ko payment karte hai to jaruri nahi hai vo bhi same bank me account holder ho vo kisi bhi banks ka account holder ho sakta hai to iss situation me ek middleman ek jarurt padhti hai

jo in transaction ko handle kar sake aur transaction ko aage forward kar sake to issme ye payment gateway humari help karte hai aur ye getway aapke bank aur aap jis bank ko paise send kar rahe hai dono ke beech ek channel ka kaam karte hai

aur apna commission le lete hai. MasterCard ke dwara aap international payment bhi kar sakte hai. Visa Aur MasterCard ka use world ki almost sabhi country me kar sakte hai.

Difference Between Rupay Card, MasterCard & Visa Card In Hindi

1.Rupay indian payment getway hai aur visa and MasterCard american payment getway hai.

2.Internet par shopping site and bhut si site rupay card se payment accept karti hai almost 10000 website isse payment accept kar chuki hai ye sankhya MasterCard ki tulna me kam hai but ye slowly slowly increase ho raha hai.

3.MasterCard Ek American payment getway hai aur jab hum isska uss karte hai to data processing aur verification ke liye us company ke server par jate hai jisme processing slow ho jati hai jabki rupay card ka uss karne par data processing aur verification humari hi country ke server par hoti hai to processing bhi fast rahti hai.

4.MasterCard ko aap world ki kisi bhi country me use sakte hai jabki rupay ka use aap unhi country me kar sakte hai jo rupay card accept karti hai means isska use aap world ki all country me nahi kar sakte hai.

5.India me agar aap Visa Ya MasterCard ka use karke electricity bill payment, water bill payment etc karte hai to aapko koi discount nahi milta hai but inhi kaamo ke liye aap rupay card ka istemaal karte hai to aapko kuch discount mil jata hai.

6.Jab bank visa ya MasterCard provide karte hai to us Bank ko extra charge dena hota hai but jab bank rupay card dete hai to unhe koi bhi extra charge nahi dena hota hai.

Dosto What Is MasterCard Rupay Card In Hindi ye ab aap seekh hi gaye honge ye information aapke liye useful rahi to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare. and essi or bhi interesting post ke liye humari site par visit karte rahe and essi or bhi new post ki notification apne email par received karne ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here