Hello friends paytm se blocked account ko unblock kaise kare, how to unblock paytm blocked account in hindi ye main aapko yaha par batane wala hu. Paytm ke bare me to aap sabhi log jante hai. Isspar aap online product buy karne ke sath sath mobile bill payment dth bill payment, recharge etc bhut se kaam kar sakte hai. Paytm me aapko promo code milte hai jinka use karke aap apne sabhi transection par discount prapt kar sakte hai. Isske bare me puri jankari ke aap yaha click kare.
Paytm account Blocked kyo hota hai ?
Contents
Bhut se logo ko ye problem rahti hai ki unka acount locked jo jata hai lekin unhe pata nahi hota hai ki ye lock kyo hua hai isske reason aap niche dekh sakte hai.
1.paytm par multiple account use karne par yani ek se jayda account ka use karne par bhi ye locked ho jata hai.
2.paytm par baar baar login or logout karne par bhi aapka account blocked ho jata hai. Kyoki usse lagta hai ki aap fake user hai.
3.Apne paytm account ko alag alag jagah se operate karne par bhi ye locked ho jata hai.
4.Jayda time tak paytm ka use na karne par bhi ye blocked ho jata hai.
5.Apne sabhi device me alag alag jagah se paytm account ko open karne par bhi ye blocked ho jata hai.
6.Aapne paytm ki koi policy nahi follow ki ho jiske karan bhi aapka account blocked ho jata hai. Isski policy ke liye yaha click kare.
- Paytm рд╕реЗ direct contact (рд╕реАрдзреЗ рд╕рдореНрдкрд░реНрдХ) рдХреИрд╕реЗ рдХрд░реЗ- 5 рддрд░реАрдХреЗ
- Paytm se bina internet ke paise kaise send kare (send money without net)
Paytm Blocked account ko Unblock kaise kare -2 methods
Yaha par main aapko 2 tarike bata jinka use karke aap apni id ko dubara open reactive ya unblock kara sakte hai.
1.Contact by mail
Jaisa ki friends maine aapko apni pichli post me bataya tha ki aap email dwara peytm se direct contact kar sakte hai aap iss method ka use karke asani se apne locked paytm account ko unlocked kara sakte hai. Ye tarika android and pc dono user use kar sakte hai. Isske liye niche diye simple steps ko follow kare-
- Sabse pahle aapko apne mobile me gmail par jana hai or computer me gmail ki site par jane ke liye yaha click kare.
- Ab apne gmail acount me apna email and password dalkar login kare.
- Ab mobile me aapko ek writing ka icon dikhega uspar click kare or computer me aap compose option dikheg uspar click kare.
-
- Ab computer me left side me ek pop up box open ho jayega or mobile me bhi kuch option dikhenge unhe fill karne ke liye niche bataye instruction follow kare-
- To- me aapko care@paytm.com ye likhna hai.
- Subject me aapko please help me ya please urgent help me inme se koi ek likde .
- Compose email me aapko niche codebox me diya text copy karke paste karna hai.
Or uske baad apna pytm username ya number jisse aapne account create kiya tha vo likna bhi compose me likhna hai
4.And mobile me aapko ek send icon dikhega uspar click karde or computer me send par click karde.
Ab aapko 24-48 hours me mail aa jayega ki aapka paytm account unlock ho chuka hai.
- Paytm Account Kaise Banaye ? Mobile & Computer Se Puri Jankari
- paytm kya hai ? and promo code kya hai- puri janakri hindi me
2.Contact via support ticket
Pahla tarika bhut easy hai jisse aap asani se use kar sakte hai lekin agar kisi karan aapke pytm acount me ye tarika work nahi kar raha hai to aap ye dusra tarika use kar sakte hai. Jayda jaruri paytm account nahi hota hai kyoki vo to apni kisi bhi sim se create kar sakte hai lekin humare paytm wallet me jo paise hai vo humare liye bhut important hote hai. Issliye agar aapke paytm locked account me bhi paise add hai or aap unhe nikalna ya withdraw karna chahate hai to aapko sabse pahle dusra paytm account create karna hai jisske liye aap yaha click karke post read kare. An niche bataye instruction ko follow kare-
1. Mobile user
Agar aap android mobile ya iphone ya tablet use kar rahe hai to ye method┬а follow kare-
Sabse pahle aapko peytm support ticket par jana hai jisske liye aap yaha click┬аkare.
Ab aapko bhut se option dikhenge aapko my account par click karna hai.
Ap ek form type ka option open ho jayega use fill kare-
- please tell us about your problem par click kare. Uske baad pop up window me kuch option show honge ummese aap blocked/lock account┬а ko select kare.
- your issue is Regarding me aapko recover paytm balance to old acount to new account select karna hai.
- Tell us more/ support ticket me aapko apne paytm account ki detail batani hai issme aap apna username and number de sakte hai .
- email me aapko apna email id dalna hai.
- Attach image me aap paytm account ki info image dwara bhi send kar skte hai.
- sare option sahi se fill karne ke baad submit your quariy par click karde.
2.Computer /pc / desktop computer/ laptop
- Sabse pahle aapko paytm ki site ke support ticket par jana hai jipar direct jane ke liye aap yaha click kare.
- Ab aapko help us understand conern ka option dikhega uske niche IтАЩm facing problem with par click kare
Ab aapke samne kuch option show honge unmese my account ko select karde
Ab aapke samne ek form open ho jayega
- Select your issue me aapko blocked account/ recover balace in cases of lost phone select karna hai
- Ab issue regarding ka option dikhega usme aapko recover balacne in old paytm into a new account select karna hai.
- Ab tell us more me aapko apna paytm ka username or phone number dena hai
- Ab apna email address yaha dalna hai
- Attech image me aap apne peytm acount ki information ki image send kar sakte hai ye jayda jaruri nahi hai. issliye iss ko fill nahi karege to bhi problem nahi hogi.
- Ab apni option sahi se fill karne ke baad submit your quiry par click karde
Iss tarah friends aap asani se mobile or computer ka use karke apne blocked ya locked paytm account ko unlock ya unblock kara sakte hai.
- Paytm wallet рдХреНрдпрд╛ рд╣реИ ? paytm wallet рдореЗрдВ money рдХреИрд╕реЗ add рдХрд░реЗ рд╣рд┐рдВрджреА рдореЗрдВ рдЬрд╛рдиреЗ
- 1 paytm wallet se dusre paytm wallet me paise(money) kaise tranfer kare
I hope friends aapko ye post accha laga. Isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kuch smajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp site ko subscribe kare or latest post ki info apne email par paye.
Plz sir mere account block ho gya…. Mujhe unlock krna h mere account ko unblock KR dijiye plz sir
aap iss post me bataye instruction ko follow kare isse aapka paytm account unblock ho jayega
Mere paytm me pesa add nhi ho parha he mera paytm block ho gya he mughe apna paytm unblock karwana he .
paytm blocked account ko unblock karane ke liye iss post me bataye instruction ko follow kare
Excume hame wahi paytm login karna
Hair Jo blocked ho chuka hai wo kese
Karenge plz help me
iss post me bataye instruction ko follow karke aap apna blocked paytm account ko reopen kae sakte hai thanks.
Excume sir hum apna paytm login karna hai,
Par mera paytm blocked ho chuka hai
Par esko unblocked karna hai plz help
How kese kyonki gmail message to karenge diye laken usme replly aya hai ya nahi hamko kuch samjh me nahi aya,
So app Hume bataye plz help
aap thoda wait kare agar aapne paytm customer care wale email par apne blocked account ko unblocked karane ka mail kar diya hai to aapko 24-48 hours me reply bhi mil jayega.
sir ..yhaan par ticket support ki baat hai usme balance recover karne k liye new number dena hai ya old
aap apne blocked paytm account ka number de or aap agar apne old paytm account ka balance new account me recover ya received karna chahate hai to new paytm account ka number de sakte hai.
PROMO USAGE BLOCKED
our system surveillance Bot has flagged your account for abusing our promocodes and offer policy. thus,
we have restricted use of promocodes on your account. we advise you to remove the promocode applied and then continue
aapne paytm me promo code wale feature ka galat fayda uthaya hai or jayeda se jayeda ya galat promo code use kiye hai jis wajah se aapke account promo code blocked kar diye hai ab aapne paytm me jo promo code applied kiye hai unhe removed karde fir aapka account unblocked ho jayega.
Sir mera paytm bilok Ho gya h plzzz usse unbilok kr do
aap iss post me bataye instruction ko follow karke apna paytm blocked account khud hi unblocked kar sakti ho.
Sir , muje ek hi phone me jyada paytm a/c use krne he …lekin suna he k baar baar login-logout krne pr a/c blocked ho jata he…to kya me parrell space apk. Use kr skta hu..muje 8-10 a/c use krne he….ya phir aap koi genuine method bataye…k …kese me ek hi phone me jyada a/c use kr sku….
Or muje reason batao sir…k…
Paytm bloked hone ke..kon kon se reason he…
Plz sir..jaldi reply krna….urjent he.
Plz..
Plz…
Ek mobile me aap 2 hi paytm account use karoge to bhi aapka paytm account blocked ho sakta hai and 8-10 to dur ki baat hai. paytm account blocked hone ke bhut se reason hote hai jaise 2 mobile ya 4 mobile me ek paytm account se login karna, paytm policies ka violence karna etc
Mera account block ho gaya h help me dear/sir/
iss post me bataye instruction ko follow karke aap apna paytm blocked account unblock kara sakte hai.
Plese help me
My paytm account is blocked
To ye batao paytm number to dal na hoga na mail m sir g
yes
Mera paytm unblock kardo
iss post me bataye steps ko follow karke paytm blocked account unblock kar sakte hai