Facebook Unwanted Tags Ya Tagging Ko Kaise Roke Ya Hataye

9
facebook unwanted tags ya tagging ko kaise roke ya hataye

Hello friends  Facebook Unwanted Tags Ya Tagging Ko Kaise Roke Block kare ya Facebook Faltu Tagging Se Kaise Bache ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends facebook ek popular social networking site hai jo hume bhut se features deti hai unme se hi ek feature hai tag aap fb par koi post ya photo share karte hai to apne  friends mese kisi ko bhi usme tag kar sakte hai.

Faceboook Tag kya hai ? in Hindi

Contents

Aap mese bhut se log nahi jante hoge ki tag kya hota hai. Facebook par jab aap koi post ya image share karte hai or us post ya image me aap apne jis friend ko tag karte hai aapki post us friend ki timeline par bhi dikhti hai. fb par tagging ka jayda use apni photo par jayda like comment pane ke liye ya apni post ko famous karne ke liye bhi kiya jata hai. isska use karke aap apni post ko boost kar sakte hai yani jayeda se jayeda logo ko dikha sakte hai.

Facebook Unwanted Tags Ya Tagging Kya Hai ?

Unwanted tags ka matlab hota hai faltu tagging. Facebook par bhut se log hai jo nahi chahate ki unki timeline par koi kuch share kare lekin fir bhi log unhe tag kar lete hai. Agar koi aapko 1 ya 2 baar tag karta hai to issme koi problem nahi hai lekin agar vo aapko baar baar tag karta hai to isse unwanted ya faltu tagging kahte hai.

Facebook Unwanted Tags Ya Tagging Ko Kaise Roke Ya Block Kare

Facebook Tag Kaise Band Kare Ya Hataye aap bhi yahi janna chahate hai aur faltu facebook tagging se bachna chahate hai to niche bataye instruction ko follow kare
  • Sabse pahle apne facebook account me login kare
  • Agar aap computer use kar rahe hai to right side me down arrow par click kare or setting par click kare, mobile me setting & privacy ka option aapko sabse niche dikega.
  • Timeline and tagging par click kare, Ab aapko  ‘Review post friends tag you in before they appere on your timeline’ ke samne edit par click karna hai
  • Ab aapke samne ek new window open hogi jisme enable select karna hai niche image ko follow kare-
  • Agar aap mobile use kar rahe hai to aapko who seen tag suggetion who upload Post me  ‘friend’ select hoga uski jagah aapko ‘only me’ karna hai.

Iss tarah aap asani se unchahe facebook tag se bach sakte hai.

Friends agar aapko ye post accha lage to iss post ko apne friends ke sath social networking site par jarur share kare. Niche di hui share button ka use kake. Or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho
ya other post se related koi Question ho to comment karke jarur bataye or agar aapne abhi tak ess blog ko subscribe nahi kiya hai to abhi subscribe kare or latest post update ki information apne email par received kare or FB Page ko like karna na bhule. Thanks for read

9 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here