Facebook Email Address Kaise Badle ? Change Kare – Delete FB Email ID

0
facebook email address kaise badle change kare

Facebook Email Address Kaise Change Kare, Facebook par Email ID Kaise Badle, Facebook Email Address Kaise Hataye Ya Delete kare. Dosto aapka facebook account hai aur aap apna gmail ya e-mail id change karna ya badlna chahate hai to sahi jagah hai aaj hum issi ke bare me janege.

Bhut se log jald baji me apne kisi bhi gmail address se FB account Bana lete hai aur fir Baad me unhe tab problem aati hai jab vo unke g-mail id ka password bhul jate ya us number ka sim card lost ho jata hai to agar aapki bhi yahi problem hai to isska solution aaj iss article me aapko mil jayega.

Facebook Email Address Kaise Hataye ? Delete Kare

Contents

Agar aapne jis email address se apna FB account banaya hai usko hatana chahate hai to isske liye aapko Sabse pahle extra email ya mobile number Apne FB account me add karna hota hai tabhi aap Apne usKo remove kar sakte hai.

Facebook me bhut se features Hume milte hai jinka use karke hum bhut se kaam kar sakte hai aur mobile number aur Gmail bhi change & delete karne ka option issme Rahta hai.

Facebook Email Address Kaise Change Kare ? Puri Jankari Hindi Me

tap-on-setting-and-privacy-option

  • Sabse pahle apne mobile me FB app Ko open kare ab yaha par 3 line (menu) par click kare ab yaha niche scroll kare yaha par setting and privacy wala option dikhega isspar click kare aur fir setting option par click karde.

tap-on-personal-information

  • Ab yaha par personal information par click kare.

tap-on-email-address

  • Ab yaha par aapko apni basic information jaise name, phone number etc dikhegi email par click karde.

add-an-additional-email

  • Add email address wale option par click kare.

enter-your-new-email-re-enter-facebook-password-and-add

  • yaha par apna vo email address jo aapko pahle wale se replace karna hai Yani apna new gmail id yaha par Dale aur niche Box me apna facebook password enter kare aur add par click karde.

confirm-email-address

  • Ab aapne jo gmail address Dala tha uspar ek verification code jayega confirm email address par click kare. Aur aapke gmail par jo 5 digit ka verification code facebook ki taraf aaya hai vo yaha box me dale aur confirm par click karde.

Now aapka gmail address successfully issme add ho jayega. Congrats ab aap Apne old email Ko Facebook se delete kar sakte hai isske liye niche bataye instruction Ko follow kare.

Facebook Se Gmail I’d Delete Kaise Karte Hai ?

tap-primary-email

  • Ab yaha par aapko 2 gmail id dikhege 1 old aur 1 new gmail jo aapne Abhi add Kiya hai old gmail address primary hoga jisko change karne ke liye privacy email par click kare.

select-primary-email-and-save

  • Ab yaha par Apne new gmail par click karke select kare aur save par click karde.

tap-on-remove-email

  • Now ab yaha par aapko Apne old gmail ke aage remove ka option dikhega isspar click karde. Ab aapse ek Baar aur confirm karne ke liye bola jayega ki aap such me issko removed karna chahate hai remove email wale option par click karde.

Now aapne successfully Apne old gmail address Ko Facebook se delete kar diya hai.

Dosto Facebook Primary Email ID Ko Kaise Hataye Ya Delete Kare ye ab aap seekh hi Gaye honge agar ye article aapko accha Laga to isse Apne friends ke saath share jarur kare aur essi aur bhi interesting post ke liye humari site par visit karte rahe aur new post ki notification gmail par pane ke liye humari site ko abhi subscribe kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here