Google Play Gift Card Kaise Kharide Aur Redeem Kaise Kare

2

Hii friends google play gift card kaise kharide or redeem kaise karte hai ye aap iss post me janege, agar aap android user hai to google play store ke bare me to jante hi honge. yaha par android users ke liye millions se billions ki sankhya me apps available hai.

google play store par bhut si apps free hai aur kuch app essi hai jinko install aur use karne ke liye aapko unhe buy karna hota hai yani ki play store par aapko paid apps bhi milti hai.

lekin bhut se log paid apps ko buy to karna chahte hai lekin unko pata nahi hota hai ki google play store me paid apps ko kaise buy karte hai to iss post me aapko issi ke bare me batane wala hu,

Google Play Gift Card Kya Hai ?

Contents

Google play store me paid apps ko download karne ke liye aapke play store wallet me paise hone jaruri hai jinke liye aapko gift card ki jarurat padhti hai. saral sabdo me kaha jaye to play store ki paid apps ko buy karne ke liye aapke google play wallet me balance hona jaruri hai jo ki aap gift card ki help se add kar sakte hai.

abhi bhut se logo ke man me ek question hoga ki kya ye gift card free hote hai to essa bilkul nahi hai aapko inko buy karna hota hai aur jiske liye paise dene hote hai, abhi bhut se log soch rahe honge ki gift card kyo buy kare

aur paid apps ko kyo download kare to me aapko batana chahunga ki play store ke gift card ka use karke aap bhut se kaam kar sakte hai jaise aap kisi app ko buy karne ke sath sath us app me jo bhi item jaise diamond, gift etc hote hai unko bhi buy kar sakte hai,

Google Play Gift Card Ko Kaise Kharide Or Buy Kare ? Paytm Se

agar ab aap google play gift card ko kharidna chahate hai to uske liye bhut se tarike hai lekin sabse easy tarika hai paytm ka use karke google play gift card ko buy karne wala kyoki ye bhut hi easy aur fast tarika hai.

sabse pahle apne mobile me paytm app ko open kare fir yaha par aapko bhut se option dikhege inmese more par click kare aur google play gift card wala ek option show hoga uspar click karde.

fir aapko yaha par select karna hai ki aapko kitne wala gift card chahaiye sabse kam wala 110 rs wala hai to yaha par aap agar pahli bar gift card ko buy kar rahe hai aur esse hi kisi paid apps ko buy karke dekhna chahte hai to issi 110 rupee wale code ka use kar sakte hai to 110 rupee select karne ke baad proceed par click karde.

fir aapko payment karne ke liye bola jayeda aap aapke paytm wallet ke paiso se bhi payment kar sakte hai aur debit card ya credit card or net banking etc se bhi payment kar sakte hai.

now fir jab aap payment kar denge aapke number par google play gift code paytm ki taraf se send kar diya jayega aapko us code ko copy kar lena hai,

Gift Code Redeem Kaise Karte hai ?

abhi bhut se log play store gift card to buy kar lete hai lekin usko redeem karne ke bare me unko pata nahi hota hai jisse unka gift code waste ho jata hai to yaha par me aapko jo taria batane wala hu uska use karke aap play store gift card ko redeem easily redeem kar payege aur ye bhut hi aasan hai aapko sirf kuch steps ko follow karna hai.

sabse pahle apne mobile me play store app ko open kare fir waha pe aapko menu wala option dikhega aur payment method par click karde fir yaha aapko redeem code wala option dikega uspar click karde aur apane jo gift card code copy kiya vo yaha par paste karke redeem par click karde.

agar aap first time google play gift card ko redeem kar rahe hai to aapse aapki kuch information jaise name, date of birth, hometown etc fill karne ke liye bola jayega aur password bhi re enter karne ke liye kaha jayega sabhi information fill karne aur password enter karne ek baad aapka gift code successfully redeem ho jayega aur aapke play store wallet me 110 rupee ya jitne ka bhi aapne gift code buy kiya tha utne paise add ho jayege.

Dosto Google play gift code ko kaise kharide aur redeem kaise kare ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaisi lagi comment karke jarur kare aur agar ye post aapke liye useful rahi to isse apne dusre dosto ke sath socila media site par share jarur kare aur essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here