Google Tez App Kya Hai Aur Kaise Chalaye – Google Pay App

11
google tez app kya hai aur tez app ki puri jankari hindi me

Google Tez App Kya Hai, Aur Google Tez Payments App ko kaise use karte hai, google pay app kya hai puri jankari hindi me Dosto 18 September 2017 ( 18-09-2017) ko Google ne apna tez app launch kiya or usse abhi tak 100,000,000+ downloads mile hai isske aap iss application ki popularity ka andaza laga sakte hai.

Ye app google ne india ke logo ke liye banaya hai jo upi based hai ye application digital payment ke liye bhut hi useful hai. vaise to aur bhi bhut upi based app hai lekin unmese tez app jayeda accha hai kyoki issme aapko bhut se offer milte hai

jinke bare me maine ek alag se post ki hai ki kaise aap tez app se paise kama sakte hai us post ko aap earn money internet hindi category me jakar read kar sakte hai.

Google Tez App Kya Hai ? Google Pay App Ki Puri Jankari Hindi Me

Contents

Google ne money transaction ko Aur bhi easy banane ke liye apna google pay ( Tez ) app launch kar diya hai. Tez ka matlab hota hai fast yani ye money transfer and online translation karne ka bhut fast app hai. Isse aap easily apne kisi bhi smartphone me use kar sakte hai ye application android and iOS dono platform par available hai.

Ye app paytm, bhim app and phone pay jaisa hi hai but issme in apps ke alwa or bhi bhut se feature hai jo isse advanced banate hai issme refer and earn feature bhi diya gaya hai jisska use karke bhi isse online paise bhi kama sakte hai. Per refer par aapko 51 rs milte hai.

aur issi ke sath me issme aapko scratch card wala feature bhi milta hai. jiska use karke aap jitne logo ko paise send karoge And isski sabse acchi baat ye hai ki ye application google ke dwara develop kiya gaya hai issliye ye puri tarah safe and secure hai. 

Google Pay App Kaam Kaise Karta Hai

Google ka ye application upi based hai jo upi national payment corporation of india par kaam karta hai upi se money transfer karna bhut easy and secure hai. Isse aap easily kisi ko bhi payments kar sakte hai or Aapki information puri tarah secure rahti hai.

Isse paise transfer karne ke liye yani payment karne ke liye upi pin number use kar sakte hai iszke alwa aap mobile number Qr code se bhi money transfer bhi kar sakte hai.

Google Pay ( Tez ) App Ke Features And Fayde (Benefits)

1. Isse aap direct bank me paise transfer and received kar sakte hai.

2. Issme aapko apne paiso par interest bhi milega.

3. Isse direct ek bank account se dusre bank account me money transfer kar sakte hai.

4. Issme aapko 24/7 Tez Shield Google Multi Layer Security feature milta hai jisse aapke transaction puri tarah se secure rahte hai.

5. Google ki iss application me tez cash code diya gaya hai jisska use karke aap apne nazdiki kisi tez app user ko money send kar sakte hai bina apni bank account and card information share kiye.

6. isska cash mode feature Share it application ke feature ki tarah ki hai. Matlab agar aap tez app ka use kar rahe or aapke nazdik koi or tez app use karta hai to usse aap money send kar sakte hai or aapki sabhi information hide rahegi.

7. Google ke iss application me referral program bhi hai. Jisska use karke aap money earn kar sakte hai aap agar kisi ko ye app refer karte hai to aapko or jisse aapne ye refer kiya dono ko 51 rs milte hai esse hi bhut se logo ko refer karke aap tez se 9000 rs tak earn kar sakte hai.

8. ye application india ke liye hi banaya gaya hai jisme aapko hindi language to milti hi hai sath me aapko local languages jaise pubjabi, bangali, gujrati, marathi, tamil, telgu etc bhi milti hai.

Coming Features of Google Pay App In Hindi

iss application me abhi or bhi feature add honge unmese 2 feature ye hai.

1. Pay through debit and credit card – iss feature ka use karke issse credit and debit card ka use karke payment kar payege ye featute agle update me mil sakta hai.

2. Pay and Set reminders for recurring bills such as DTH ye feature bhi iske agle update me add kiya jayega. sabhi dth bill ya electricity bill ka payment hume kisi na kisi date ko karna hota hai.

Or aapko pata hai ki aapko bill payment kab karni hai to uss date par aap tez se reminder set kar sakege or us date ko automatically payment send ho jayegi. Ye feature abhi iss app me nahi hai agle update me ye feature bhi add ho sakta hai.

google tez app kya hai aur tez app ko use kaise kare

Google Tez App Download Install & Activate Kaise Kare – Full Detail

Agar aap bhi smartphone user hai or google tez app download karna chahate hai to easily apne kisi bhi phone android and apple iphone me iss application ko download kar sakte hai. Android user play store se isse download kar sakte Aur iphone user itune se isse download kar sakte hai. Agar isko direct download karna chahate hai to niche button par click karke kar sakte hai.

Tez App For Android 

Tez App For IOS

Google Pay App Activate Kaise Kare  Full Information

  • Google taz application download and install karne ke baad open kare ab aapse number manga jayega apne bank account ka register mobile number enter kare. Or continue par click karde.

Important – Aap yaha jo mobile number enter rahe hai us number ki sim aapke phone me lagi honi chahaiye. Or uss sim me 5-10 rupee ya isse jayeda balance hona chahaiye.

  • Ab aapne jo number enter kiya tha uspar ek otp code aayega vo code enter kare.
  • Otp enter karne ke baad aapko screen lock or google pin ka option dikhega koi bhi pin number choose kare or ye pin number aap yaad rakhe. Kyoki baad me aapko isski jarurat pad sakti hai.
  • Aap aapko add bank ka option dikhega uspar click karke apna bank account add kare and bank ki sabhi information jaiae account number, ifsc code etc fill kare.
  • Bank detail fill karne ke baad aapka account activate ho jayega.

Google Tez App Ko Use Kaise Karte Hai – Full Detail

Tez app me account banane and activate karne ke baad aap isse easily use kar sakte hai aap isse kisi ko payment kar sakte hai and isse refer karke money earn kar sakte hai. Isse 1 refer karne par aapko 51 rs milte hai. Ye google ka apps hai issliye issko promote karne ke liye gogle ne ye offer diya hai.

Google Tez App Refer And Earn program Se Paise Kaise Kamaye – Full Detail

1. Sabse pahle aapko iss application ko download and install karke bank add karna hai jisski full detail me uper hi bata chuka hu

2. Ab aapko kisi bhi bank account ya upi address par kam se kam rs send karne hai aap only 1 rs bhi kisi bhi bank ya upi address par send kar sakte hai and fir aapke account me 51 rupee add ho jayege.

3. Ab aap isse money earn karne ke liye ready ho gaye hai aapko yaha apna referral link milega isse aapko apne friends ya kisi ko bhi google tez app download karana hai.

4. Ab jab aapka friend aapke link se application download karke usme bank add karega or 1 rs ka transaction karega to aapko and aapke friend dono ko 51 rupee milege.

Issi tarah friends aap jayeda se jayeda refer karke 9000 rs tak issse earn kar sakte hai.

Google Pay ( Tez ) App FAQ –

1. Tez Me Kya Koi Problem Hai ? ( Otp Verification Problem server Problem etc )

Vaise to ye application puri tarah safe and secure hai and ye google ka app hai to aapko pata hi hoga ki google kitna safe hai issi tarah ye application bhi puri tarah secure hai. But abhi issko bhut se log ek sath use kar rahe hai to abhi issme server and otp verification me problem aa rahi hai jo ki baad me solve ho jayegi.

2. Google Tez App Ki Rating And Review Jayeda Acche Nahi Hai Kyo ?

Dosto abhi isski rating 3.5 hai jo bhut kam hai and isse bhut se negative review bhi mile hai but isska reason bhi uper bataya vo same hi hai. Yani ki abhi ye application naya hai issliye sabhi log isse jald se jald use karna chahate hai issliye jayeda load ki wajah se server problem ho raha hai jab ye application old ho jayega tab ye bhut hi fast work karega.

3. Google Tez Se Maximum ( Jayeda Se Jayeda ) Kitne Paise Kama Sakte Hai ?

issme refer and earn program diya gaya jisse aapko per refer 51 rs milte hai or aap iss refer and earn program se maximum 9000 rs tak earn kar sakte hai. Aur 9000 ke baad aap isse paise nahi kama payege.

4. Google Tez App me Kya Naya Hai ?

Issme naya refer and earn program to hai hi sath me milne wale other reward bhi hai yani aapko issme refer and earn to milta hi hai sath me agar aap jayeda logo ko ye application refer karte hai ya isse jayeda transaction karte hai to aapko rewards bhi milte hai.

5. Google Tez Se Bank Me Payment Kaise Le Sakte Hai.

issme minimum withdraw ki limit nahi hai yani aapke account me agar 51 rs bhi hai to vo bhi 24-48 hours me aapke bank me automatically send ho jayege.

6. Google Tez Me Bank Account Add Karna Secure Hai ?

Yes issme bank account add karna puri tarah secure hai ye application google ka hai or upi based hai issliye aap apne kisi bhi bank ke account ko issme add kar sakte hai aapka account puri tarah se issme safe rahega.

Dosto ye Google  Pay ( Tez ) App kya Hai Aur Isse Use Kaise Kare, google pay ( Tez )App Se Paise Transfer Kaise Kare aur bheje  wali ye information aapko kaisi lagi comment karkr jarur bataye or essi or bhi internet se related post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe aur iss post ko apne friends ke sath me social networking sites par share jarur kare.

11 COMMENTS

  1. Google Ka Abtak ka Sabse Best App Hai Dekhte Hai Google Tez India me Paytm Ko kahan tak Takker De Sakta hain , Waise Apki Post helpful Hai , Thank You For Sharing

    • thanks for your valuable comment sonu rajput bro ЁЯЩВ yes google tez app paytm and phone pe ko takkar de sakta hai kyoki issme unse jayeda feature and reward diye gaye hai jo isse advanced banate hai.

  2. Maine 11000 transfer kiye hai aur 22000 debit hui sirf 11000 hi transfer hui 11000 muzhe re fund nahi hui please help me

    • aapke bank account se agar 11000 rupee jayeda deduct huye hai or 11000 tez se payment hui hai to aapko vo paise kuch days yani 3-6 days me bank me refund ho jayege wait kare.

  3. is link par click karke software download karne main apko dohre fayede milenge sath hi sath ap 1 Rs mere ko send large to apko 51 milenge

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here