Instagram Password Bhul Gaya Kaise Pata Kare Or Change Kare

9
instagram password bhul gaya kaise pata kare or change kare

Hi friends Instagram Password Bhul Gaya Kaise Pata Kare, Instagram Ka Password Kaise Change Kaise Kare ye aap iss article me janege, dosto jaisa ki aapko pata hi hoga ki instagram photo or video share karni ek bhut hi popular social networking app hai

aur issme aap apne friends ya kisi bhi person ko follow bhi kar sakte hai aur koi bhi aapko instagram par follow kar sakta hai, agar aap bhi insta use karte hai

aur aapne 2 instagram id banayi hui hai or aapko dusri id ka use karne ke liye pahli wali id se logout karna hota hoga or aap agar kuch bhi password enter kar dete hai jo ki baad me aapko yaad nahi rahta hai to aap apni id me login nahi kar payege

kyoki waha par incorrect password show karega, agar aap bhi apne instagram account ka password bhul gaye hai aur usse change karna chahate hai to iss post me aapko issi ke bare me batane wala hu.

Instagram Ka Password Bhul Gaya Kaise Pata Kare ?

Contents

Bhut se user apna instagram account banate time usme koi bhi password enter kar dete hai aur fir baad me unhone jo password enter kiya tha vo unko yaad nahi rahta hai yani ki password bhul jate hai

aur fir usko change kaise kare ye sochne lagte hai to aapne bhi agar apni instagram id create karte time koi bhi password daal diya tha jo abhi aapko yaad nahi hai aur aap usko badalana chahate hai to ussi ka tarika me aapko batane wala hu.

yaha par aapko ek baat ka dhyaan rakhne ki jaurat hai ki agar aapne facebook se instagram account banaya hai ki aapka insta account facaebook se connected hai to aap easily uska password change kar sakte hai

aur agar aapka account facebook se connected nahi hai to aapko apne number se ya email jisse bhi aapne instagram account create kiya hai uska use karna hoga.

vaise to sabhi log apne insagram ko facebook se connect kar lete hai lekin aapne essa nahi kiya ya aap facebook use nahi karte hai aur insta use karte hai to bhi yaha par me aapko dono hi method batane wala hu, jisme aap apne number or email se instagram password ko reset kar sakte hai.

Instagram Password Change Kaise Kare Or Badle – 2 Tarike

yaha par me aapko apni instagram id ka password change karne ke 2 method batane wala hu jinme se aap kisi bhi method ka use karke apna insta password change kar sakte hai,

lagbhag sabhi log facebook, twitter, gmail etc ka use karte hai or apne sabhi account me alag alag password ka use karte hai

because agar sabhi account me same password use kiya or kisi ko vo password pata chal gaya to vo aapke sabhi account ko access kar sakta hai issliye sabhi logo ko apni privacy ke liye concern rahte hai

aur vo nahi chahate hai ki kisi bhi tarah se unka account hack ho ya usse koi dusra person access kare, issliye sabhi log apne sabhi account jaise facebook, twitter, gmail etc me jo difference different pass enter karte hai.

Facebook Se Instagram Password Reset Kaise Kare ?

agar aapne facebook se instagram account create kiya tha ya aapka facebook account insta se connect hai to aap iss method ka use kar sakte hai.

Method – 1

  • sabse pahle apne mobile me insta ap ko open kare fir aapko yaha par log in with facebook wala ek option show hoga uspar click karde.
  • fir aapse aapka facebook username aur password enter karne ke liye bola jeyega apna fb username aur pass enter karne ke baad login par click karde.
  • fir aap successfully instagram me login ho jayege or aapko profile icon par click karna hai.
  • profile icon par click karne ke baad uper last me 3 line show hogi unpar click kare aur fir setting wale option par click karde.
  • fir yaha par aapko bhut sare option show honge inmese security wale option par click karna hai.
  • security me jane ke baad aapko password wala ek option show hoga uspar click kare aur fir yaha niche aapko reset it with facebook wala ek option show hoga isspar click karde.
  • Fir aapse new password enter karne ke liye bola jayega yaha par aap apne hisab se koi bhi pass enter kar sakte hai jo aapko yaad rahe aur dusro ke liye muskil ho
  • aur new password again me wahi pass dubara enter karke confirm kar dena hai aur last me right mark wala icon show hoga uspar click karde.

iss tarah friends aap easily facebook se apna instagram password change kar sakte hai.

Instagram Ka Password Kaise Change Kare Using Email or Phone Number

  • apne phone me insta app ko open kare fir aapko yaha par forgot your login details wala ek option show hoga uspar click karde.
  • now yaha par aapko apna instagram username enter karne ke liye bola jayega agar aapko apna username bhi yaad nahi hai to fir aapko yaha par apna vo email ya phone number enter hai jisse aapne insa account banaya tha fir vo username ya email enter karne ke baad next par click karde.
  • fir aapko yaha par apna account show hoga agar aapne email se account banaya hai, to yaha par aapko send an email wala ek option show hoga aur agar aapne number se account banaya hai to aapko send an sms wala ek option show hoga
  • agar aap apne email se apna account recover karna chahate hai to send an email wale option ko select kare aur agar aap phone number se apna account recover karna chahate hai to send an sms par click karde.
  • agar aapne send an email wala option choose kiya tha to aapne jo email instagram account create karte time use kiya uspar ek email aayega jisme ek link hoga aur aapne agar send an sms wale option ko choose kiya tha to aapke phone number par ek message aayega jisme link hogi.
  • aap apne gmail me login kare aapko ek mail insatgram ki taraf se aaya hoga usko open kare fir usme password reset karne ke liye ek link hogi uspar click karde,
  • now aap jaise hi link par click karege aap instagram par redirect ho jayege or fir aapse new password enter karne ke liye bola jayega yaha par koi bhi pass enter kar sakte hai aur fir dubara usko enter karke confirm karde aur save karde.

iss tarah friends aap easily apne instagram account ka password change kar sakte hai.

Important –

Dosto Instagram account ka password change kaise kare, instagram password change or reset kaise karte hai ye aap seekh hi gaye honge ye information aapko agar acchi lagi to isse apne dusre friends ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

9 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here