Phonepe Business App Kya Hai Or Account Kaise Banaye ?

0
phonepe business app kya hai aur account kaise banaye

Hii friends Phonepe for Business App Kya Hai, Phonepe Business Account Kaise Banaye ye aap iss article me janege, dosto agar aap online payment send aur received karte hai to aap phonepe app ke bare me jante hi honge ye ek upi ( unified payment interface ) app hai

jiska use karke aap second me money transfer aur received kar sakte hai vaise to or bhi bhut si upi app jaise google pay, freecharge, truecaller pay, bhim upi etc play store par available hai

lekin phonepe app me aapko bhut sare cashback offers milte hai or issse mobile recharge aur bills payment etc or bhi bhut se kaam kar sakte hai, lekin kya aapko pata hai ki phonepe for business app kya hai aur ye kaise kaam karta hai agar nahi to ye me aapko iss post me batane wala hu.

Phonepe Business App Kya Hai – Full Information in Hindi

Contents

Phonepe ne apne business users ke liye apna ek aur new app phonepe for business launch kar diya hai, bhut se log koi koi business karte hi hai jaise kisi ki koi shop hoti hai, ya koi hotel hoti hai etc to aap bhi agar koi business karte hai to uske liye online payment accept karna chahate hai to phoneke iss app ka use karke essa kar sakte hai, isska use karke aap 70+ upi apps se payment accept kar sakte hai

aur issme daily money transfer ki koi limit bhi nahi hai matlab aap jitne chahe paise send aur received kar sakte hai, aur issme aap real time transaction and payments tracking kar sakte hai,

aur issme analytics section me apne sabhi transactions ki report bhi dekh sakte hai ki aapne kaha kaha par payment ki hai aur kaha kaha se aapko payment received hui hai, phone business app all payment methods jaise bhim upi , credit card, debit card, wallets etc

sabhi ko support karta hai aur isse aapke bank account me money directly or instantly transferred hoti hai, phonepe business app mostly business karne wale logo ke liye hi banaya gaya hai

isme aap apne jaha par vyapaar karte hai vo place bhi add kar sakte hai, aur lagbhag sabhi city me isska use kar sakte hai, or jaruri nahi hai ki aap koi bada business hi karte ho aapka koi chota business yani ki koi shop etc hai fir fir bhi aap iss app ka use kar sakte hai

because aaj kal sabhi log online payment hi karte hai aur digital india banana ke liye online transaction ko badava diya ja raha hai, issliye bhut si app se aap koi bhi payment karte hai to usme aapko kuch na kuch cashback milta hi hai,

issliye sabhi log credit card, debit card, wallets etc se hi payment karte hai to phonepe business app ka use karke aap sabhi tarah ki payments ko accept kar sakte hai

aur issme money direct aapke bank me transferred hoti hai or isska aapko koi charge bhi pay nahi karna padta and issme monet received karne ki koi limit bhi nahi hai.

PhonePe Business Account Kaise Banaye Step By Step Jane

agar aap bhi phonepe business account banana chahahte hai to easily bana sakte hai isske liye aapko phone for business app download karni hogi yaha par me aapko batana chahunga ki phonepe or isska business app dono alag alag hai aur isska jo business app hai

jo payment accept karne ke liye hi banaya gaya gaya hai jiska use karke aap sabhi digital payments ko accept kar sakte hai.

  • Sabse pahle aapko apne phone me google play store se phonepe for business name ka app download karna hai ya aap isse yaha se bhi download kar sakte hai.
  • fir iss app ko apne phone me download aur install karne ke baad open kare than ye aapse aapki location ko access karne ki permission magega permission dene ke baad aapko sign in wala ek option show hoga jisme aapse number enter karne ke liye bola jayega,
  • agar aapka pahle se phonepe business me account hai to yaha se number enter karke usme login kar sakte hai lekin agar aap first time iss app ka use kar rahe hai to aapko issme account banana hoga isske liye sign up wale option par click karde.
  • yaha par aapko full name me apna pura name enter karna hai aur mobile number me aapko apna 10 digit ka mobile number dalna hai,
  • apna full full name aur mobile number enter karne ke baad get otp wale option par click karde fir aapke number par ek otp code aayega vo code dalkar verify wale option par click karde.
  • Now aap phonepe ke business app me registered ho jayege, lekin abhi aapka pura registration process complete karna hoga isske liye aapko yaha continue registration wala ek option show hoga uspar click karna hai fir yaha par aapko apne business se related kuch information fill karni hai.
  1. map me aapko apne business ki location ko add karna hai.
  2. building name me aap jis bulding me business karte hai uska name enter karna hai
  3. street address me aapko jis jagh par business hai waha ka street address dalna hai.
  4. pin code me aapko apni city ka pin code enter karna hai.
  5. city me aapko apni city ka name likaha hai.
  6. state me aapko apne state ka name enter karna hai.
  7. county me aap jis country se hai us country ko select karna hai.
  8. sabhi details sahi se fill karne ke baad svae option par click karde.

Now fir aapse aapki bank details enter karne ke liye bola jayega jab aap apni bank details jaise account number, ifsc code etc add denge to aap successfully phonepe business app me registered ho jayege.

Iss tarah friends aap easily phonepe business app me registered kar sakte hai.

Important –

Dosto phonepe business app kya hai aur phonepe business app me registered kaise kare ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko agar acchi lage to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare

aur aapko iss post me kuch samaj na aaya ho to comment karke jarur bataye aur essi or bhi internet se related post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here