Hii friends windows store se computer me app download or install kaise kare, windows store se software & games kaise download kare ye aap iss post me janege, iss article me aapko microsoft store ko use karne ka tarika batane wala hu, isse pahle agar aap nahi jante hai ki microsoft account kya hota hai aur kaise banate hai
to isske bare me maine pahle se apni ek post me bataya hua hai jise aap internet category me jakar read kar sakte hai, computer me windows store ko aap mobile ki google play store jaisa hi samj sakte hai jisme aapko pc ke liye sabhi software, apps or games ek hi jagah par mil jate hai,
google play store ki tarah hi windows store ka use karne ke liye bhi aapko pahle issme account banana hoga ye windows microsoft ka product hai issliye isska use kare ke liye aapko microsoft account ki jarurat hoti hai.
Windows Store Kya Hai ?
Contents
friends jaisa ki maine aapko bataya ki android ki play store jaisa ki computer me windows store rahat hai jisme hume computer ke sabhi app or software or games ek hi jagah par mil jate hai aur aapko kisi bhi third party site se unhe download nahi karna hota hai ,
lekin yaha par aapko ek baat jo dyan dene wali hai vo ye hai ki microsoft store hume windows 8 or usse uper wale version me hi milti hai agar aapke pc me windows 7 ya windows xp hai to waha par aapko windows store show nahi hogi
kyoki ye windows 8 or isske uper wale version jaise windows 8.1, 10 etc me hi milti hai, abhi aap jan hi gaye honge windows store kya hota hai aur isse microsoft store bhi bolte hai.
Windows Store Se Pc Software & App or Games Download Kaise Kare ?
agar aap bhi computer me software ya app or games download karna chahate hai or aapko nahi malum hai ki computer me software ya app kaise download hote hai to isske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga or na hi kisi third party site par jana hoga aap apne computer me direct microsoft store se sabhi software , app or games download kar sakte hai.
- sabse pahle aapne computer ya laptop me Microsoft store me jana hai isska icon aapke computer desktop pe hi show hota hai agar aapko show nahi kar raha to windows icon par click kare aur waha par microsoft store likhkar search kare aur fir aapko microsoft store wala ek option show hoga uspar click karde.
- fir agar aapka pahle se microsoft account banaya hua hai to aap usse login kar sakte hai agar aapne microsoft account nahi banaya hai to isske bare me maine pahle se apni ek post me bataya hai jise aap yaha se read kar sakte hai.
- windows store ko open karne ke baad aapko username or password enter karne ke liye kaha jayega aapko yaha apne microsoft account ka username yani email aur password enter karna hai aur login par click kar dena hai.
- Now aap successfully windows store me login ho jayege aur fir yaha par aapko sabhi apps or games show honge inmese aap jis bhi app ya games k apne pc me install karna chaate hai uspar click kar sakte hai
- ya aap apne pc ke liye koi app ya game search karna chahate hai to yaha par search option bhi hai jispar click karke aap apni pasand ka koi bhi app or game search bhi kar sakte hai aur yaha par aapko home pe hi sabhi apps jaise whatspp, insatagram, itunes, messenger, we chat, line mil jate hai
- aur yaha par aapko gaming wala option alag se bhi hai jaha par aapko sabhi games show honge aapko agar app download karna hai to home wale option me aapko top free apps wala ek option hoga show hoga waha par sabhi apps hogi unmese jis bhi app ko download karna chahate hai
- uspar click karde. or agar aap pc games download karna chahate hai to gaming wale option par click kare fir yaha par aapko sabhi games show honge action, adventure, arcade, puzzle, racing etc or paid or free dono prakar ke games honge jisko bhi download karna chahate hai uspar click karde.
- fir jab aap us game ya app par click karege to aapko uske aage get or add to card 2 option dikhege agar aap free app ya game download kar rahe hai to aapko usse buy nahi karna hoga
- lekin agar aap paid app ya game download kar rahe hai to pahle aapko use buy karna hoga jiske liye aapko add to cart wala option choose karna hoga agar aap free game ko download kar rahe to get wale option par click karde.
- Now vo game download hona start ho jayega issme thoda time lag sakta hai ye aapke internet connection par depend karta hai aur aap kitne mb ya gb ka game ya app download kar rahe hai ye uspar bhi depend karta hai.
- than jab aapka game pura download ho jayega tab vo automatically install hona start ho jayega aur fir vo kuch second or minute me install me ho jayega.
iss tarah friends aap easily windows store se games or app download or install kar sakte hai.
- google play store se gmail account logout kaise kare
- android app ko google play store par upload kare
Important –
Freinds windows store kya hai aur kaise kaam karta hai. windows store se app download or install kaise kare in hindi ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaise lagi comment karke jarur bataye or ye post agar aapke liye useful raha to isse dusre friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet or computer tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe