Hii friends bina internet kaise pata kar Aadhaar card bank se link hai nahi ya bina internet kaise jane Aadhaar card number bank se link hai ya nahi ye main aapko iss post me batunga.
Aadhaar card humara id proof hota hai jo ki aam aadmi ka adhikar hai yani sabhi logo ke pass iska hona jaruri hai jo iss baat ka proof hai ki hum india se hai.
government dwara Digital payment ko badhava diya ja raha hai jissme cashless transaction samil hai ab cashless transaction me Aadhaar card ka use kiya ja raha hai jaise micro atm me aap isska use karke money trasfer and payment kar sakte hai.
aaj ka humara toipc hai ki bina internet kaise pata kare Aadhaar card bank se link hai ya nahi. Aadhaar card ko bank account se link karana bhut jaruri hai and 500 and 1000 ki currency change hone se ab lagbhag sabhi jagah yani koi bhi scholarship form me and check dete time etc
sabhi jagah par pucha jata hai ki aapka Aadhaar card bank se link hai ya nahi. agar aap bhi isska linking status check karna chahate hai to asani se iss post ko pura read karke kar payege.
aur agar aapka aadhar card aapke bank account se linked nahi to aapko usse link kara lena chahaiye iske bare me maine already post ki hui hai jise aap internet category me jakar read kar sakte hai.
- Aadhar card me Mobile number kaise add Ya Update kare ? in hindi
- Aadhar Card Se Cashless Payment Kaise Kare ( money transfer)
Bina Internet Kaise Pata Kare Aadhaar Card Bank Se Link Hai Ya Nahi ?
Contents
Aadhaar card ka bank se linking status chack karne ke liye UIDAI ki website hai lekin issme aapko internet ka use karna hota hai and ye website lag bhag sabhi mobile me sahi nahi dikhti hai issliye aapke pass computer ya laptop bhi hona jaruri hai
lekin sabhi logo ke pass computer ya laptop nahi hota hai and unke pass android mobile hi nahi hota hai to aap bhi unme ek hai
ya aapke mobile ka internet data katam ho gaya hai or aap janna chahate hai ki aapka Aadhaar number aapke bank se link hai ya nahi to aap sahi jagah hai
yaha main aapko essa tarika batunga jisse aap bina internet ghar baithe apne keypad mobile se apne Aadhaar card ka linking status chack kar sakte hai.
Aadhaar Card Bank Se Link Hai Ya Nahi Kaise Chack Kare ( Without Internet)
- Sabse pahle apne phone ke dialer me jaye yani call button par click kare
- Ab apne phone dialer me *99*99# ye number likhe or call button par click karde. agar aapka phone double sim ka hai to sim 1 ya sim 2 kisi bhi se bhi dialer kar sakte hai jaisa ki aap uper screenshot me dekh sakte hai (agar aap keypad mobile ka use kar rahe hai to usme dilor nahi hota hai aap direct iss number ki button badaye and green button daba de)
- Ab aapke mobile screen par ye message show hoga Welcome to *99*99# Services. Select Your option. Yaha aapko Aadhaar Linking Status or PMJDY A/C Overdraft Status ye 2 option dikhege
- Aapko 1st number wala option choose karna hai isske liye box me 1 likhkar send par click karde jaisa uper image me dikh raha hai
- Ab aapke 12 digit ka manga jayega iss box me apna 12 digit ka Aadhaar number dale or send par clcik karde
- Ab aapko ek baar or conform karne ke liye bola jayega agar aapne sahi Aadhaar number dala hai to 1st option par choose karke conform karde and agar galti se galat number dal diya to 2nd wale option ko choose kare.
conform karne ke baad aap dekh payege ki aapka Aadhaar card bank se link hai ya nahi
Important-
friends maine apako aadhaar card bank account linking status check karne ka offline method bataya hai vo bhut hi easy method hai bhut se logo ke pass har time internet nahi rahta hai aur kabhi kabhi internet ki speed bhi slow rahti hai to iss tarah aap offline bhi easily pata laga sakte hai ki aapka aadhaar card bank account se linked hai ya nahi
- Paypal India me kaunsi bank ke debit card(atm) support karta hai
- BHIM App vs PhonePe App kya hai aur konsa best hai
Iss tarah friends aap asani se internet use kiye bina hi apna Aadhaar number ka linking status chack kar sakte hai in simple steps ko follw karke agar aapko in steps ko follow karne me koi problem aa rahi hai to comment karke bataye or iss post ko share jarur kare..
Bro. Agar. Link. Nahi. Hoga. Adhaar. Card. To. Kiya. Scollership. Nahi. Aayga?
bro agar aap aadhar card bank se link nahi karate ho to scholarship bhi nahi milegi kyoki scholarship lene ke liye ab aadhaar card bank se link hona compulsory kar diya hai aadhar card bank se link kaise karate hai isske bare me main pahle hi ek post ki hui hai jisse aap yaha click karke read kar sakte ho