Computer Hard Disk Ram Kaise Banaye ? Increase PC Virtual Ram

0
computer hard disk ram kaise banaye

dosto computer hard disk ram kaise banaye, pc me hard disk ko ram kaise banaye ye aap iss article me janege, jaisa ki aapko pata hi hoga ram computer ka kitna important part hai isse hi pc me software aur games run hote hai, laptop me kisi bhi software or game ko chalane ke liye iski jarurat hoti hai,

computer hi nahi balki mobile me bhi kisi bhi app or game ko run karne me ram ka use hota hai, jise random access memory kahte hai ye pc ke liye bhut jaruri hai bina ram ke pc me kisi bhi program ka use nahi kiya ja sakta hai,

abhi friends aap samaj gaye honge ki computer me ram kitna important hota hai aapke pc me jo bhi problem hoti hai vo jayedatar issi ki wajah se hoti hai, lekin kya aapko pata hai ki aap apni hard disk se bhi ram bana sakte hai ye sunne me thoda ajeeb jarur lagta hai but esssa possible hai, aap apni computer hard disk se virtual ram increase kar sakte hai.

Computer Me Hard Disk Ko Ram kaise Badhaye ?

Contents

agar aapke computer ki ram 2gb ya 1gb hai ya isse bhi kam hai to aapka pc bhut hi slow kaam karta hoga aur usme aap agar koi software ya game run karte honge to vo hang bhi hota hoga,

lekin kya aapko pata hai ki aap apni hard disk ki kuch storage ko ram me bhi convert kar sakte hai, isse virtual ram kahte hai matlab aapke computer ki ram agar 1gb hai to aap use 2gb ya 4gb etc kar sakte hai

lekin yaha par me aapko ek baat batana chahanga ki aap agar ye soch rahe hai ki aap apne hard disk ko ram banakar apne computer ki ram 8gb ya 16gb etc kar lenge to isse aapka computer bhut fast ho jayega aur bhut teji se kam karega to essa bilkul nahi hai,

ye sirf aapke computer ki virtual ram ko badayega aur isse aapke pc ki speed thodi fast ho jayegi aur vo hang hona kam ho jayega. lekin isska matlab ye nahi hai ki aap apne pc me high quality games ko run kar payege or high quality software ka use kar payege.

aap only apne pc ke slow speed ko fast kar payege aur jin software ka use karne time aapka pc hang hota tha vo hang nahi hoga.

Computer Hard Disk Ram Kaise Banaye ? Increase PC Virtual Ram

agar aap bhi apne computer hard disk ram banana chahate hai to isske liye aapko kisi bhi software ko apne pc me install nahi karna hoga aap bina kisi software ka use kiye bhi essa kar sakte hai,

computer hard disk ram ko virtual ram banana bhut easy hai isski aapko hard disk ki kuch storage random access memory me paunch jayegi or aapke computer ki installed memory badh jayega

Lekin jaisa ki maine bataya ki ye sirf virtual ram hi hai so issse sirf aapke pc ki thodi speed hi badhegi aur aapka pc pahle hang hota tha vo hang hona kam jayega ya hang nahi hoga.

aap apne computer me kisi bhi windows jaise windows 7, 8, windows 10 me iss method ka use kar sakte hai ye sabhi windows computer par work karega.

  • sabse pahle aapko apne computer ko open karna hai aur fir yaha par desktop par my computer ya this pc wala ek icon show hoga uspar mouse se right click kare aur fir kuch option show honge unmese properties wale option par click karde.
  • fir aapko yaha par computer ke bare me sabhi information show hogi jaise aapke pc me konsa window hai, processor, installed memory etc aapko yaha left side me kuch option show honge unmese advanced system setting wala ek option show hoga uspar click karde.
  • fir ek window open ho jayegi jaha par aapko computer name, protection, remote etc option show honge unmese advanced wale option par click karde.
  • advanced option par click karne ke baad perfomance ke niche setting option show hoga uspar click karde aur fir new or new window open hogi yaha par aapko visual effect, advanced, data execution prevention option dikhege inmese advanced wale option par click karde. or virtual memory ke niche change option par click karde.
  • than aap jaise virtual memory ke niche change par click karege ek box open hoga jaha par aapko kuch option show honge jinme lekin aap koi change nahi kar payege aapko in option me changes karne ke liye sabse pahle automatically manage paging file size for all driver wale option se tick ko hata dena hai,
  • aap jab iss option untick kar denge fir aapko yaha par apni computer ki hard disk drive show hogi inmese aap jis bhi drive ki storage ko ram me convert karna chahate hai us drive ko select kar sakte hai, aap chahe to c drive ko bhi select kar sakte hai
  • fir niche aapko custom size select karna hai aur usme aap hard disk se jitni ram badana chahate hai vo mb me fill karni hai jaise aap agar 2gb badhana chahate hai to aapko yaha par 2048 fill karna hoga or maximum size me bhi wahi fill kare
  • jo aapne custom size me fill kiya hai yani dono option me aapko 2048 hi fill karni hai aur fir aapko set option par click karna hai, isske bad ok par click karde.
  • fir aapko jitne bhi option show honge un sabhi me ok par click karte jaye, isske bad aapse kaha jayega ki aapne jo changes kiye hai unko apply karne ke liye aapko apne pc ko restart karna hoga isske liye restart now wale option par click karde.

Now friends aap jaise hi aapke pc ko restart karege aapke computer hard disk ram ban jayegi.

Conclusion

Dosto computer hard disk ram kaise banaye, PC Or Laptop Ki Hard Disk Ko Virtual Ram Kaise Banate hai ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaise lagi comment karke jarur bataye aur agar ye jankari aapko acchi lagi to isse apne friends ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi computer tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here