Paytm Account Mobile Number Kaise Badle ? Change Kare

3
paytm account mobile number kaise badle change kare

Hi Friends Paytm Ka Mobile Number Kaise Change Kare, Paytm Number Kaise Badle, Paytm Account Mobile Number Change Karne Ka Tarika in Hindi┬аye aaj aap iss article me janege. Friends agar aap paytm user hai to aap jante hi honge ki ye ek popular mobile wallet hai.

jissse aap mobile recharge, bus train ticket booking, dth recharge, electricity bill pay, broadband recharge, metro ticket booking, movies ticket booking, online shopping etc bhut se kaam kar sakte hai.

Aur ab aap issme payment bank account bhi open kara sakte hai Aur Debit card ke liye bhi apply kar sakte hai. Ye sab aap jante hi honge and iss post me aapko paytm account Mobile number change karne ke bare me batane wala hu jo aap mese bhut se logo ko nahi pata hoga.

Paytm Registered Mobile Number Change Kaise Kare ?

Contents

Paytm account create karte time hume mobile no. add karne ka option milta hai aur usme hum jo mobile no. enter karte hai vo hi humara paytm number ban jata hai Aur agar aapko aapke friend ya kisi se paise received karna hai to usse vo no. batana hota hai. To ab aap jan hi gaye honge ki ye kitna important hota hai.

Paytm Account Mobile Number Change Kyo Kare ? Ya Badle

Friends agar aap apne paym account me jo Mobile no. add hai usse badalna chahate hai to isske bhut se reason ho sakte hai jaise aapne new sim card liya ho Aur ussi number ko sab jagah par use karna chahate ho, payment bank ke no. change karne ke liye etc bhut se reason rahte hai.

Paytm Payment Bank Me Mobile Number Kaise Change Ya Update Kare ? In Hindi

Dosto agar aapne apni paytm kyc complete kar li hai to aap payment bank me bhi saving account open kara sakte hai vo bhi zero balance account and aapko har saal apne balance par 4% interest bhi milta hai. Payment bank account┬аkaise open kare isske bare me maine already apni post me bataya hua hai.

TO ab agar aapka payment bank me account hai aur uska number change karna chahate hai to aap jante hi honge ki bank option me hume number change karne ka koi option dikhta but ye baat aap mese bhut se log nahi jante honge ki payment bank Aur paytm wallet me same number rahta hai Aur agar aap apne wallet ka no. change kar dete hai to payment bank ka number bhi change ho jayega.

Paytm Account Mobile Number Change Kaise Kare ? Puri Jankari Hindi Me

tap-on-profile-icon-and-edit-profile

  • Sabse pahle aapko apne mobile me paytm app ko open karna hai aur fir yaha par profile icon dikhega isspar click karde ab aap apni profile me punch jayege yaha par edit profile par click kare

tap-mobile-number-option

  • Edit profile par click karne ke baad yaha mobile number wala option dikhega isspar click karde.

enter-your-new-mobile-number-and-save

  • Ab yaha aapko apna old no. dikhega, remove icon par click karke isee remove karde aur fir yaha par apna 10 digit ka vo new number enter kare jissko aap apna paytm no. banana chahate hai. aur save par click karde.

tap-on-continue

  • Ab agar aapne bhim upi se bank account link kar rakha hai to aapko ek message dikhega ki agar aap apna paytm no. change karte hai to aapka UPI address aur usse linked bank account delete kar diya jayega. Aur aap iss updated no. se new payment address create karke upi ko use kar sakte hai. Continue par click karde.

enter-otp-code-and-confirm

  • Ab aapke old no. par ek otp code aayega vo code yaha iss box me dale Aur confirm par click karde.

now-you-received-a-otp-code-in-your-number-enter-otp-code-and-confirm

  • Ab aapne jo new no. dala hai uspar bhi ek otp code aayega. Vo code yaha enter otp wale box me dale Aur confirm par click karde.

now-your-paytm-mobile-number-successfully-changed

Congrats Ab aapka paytm account mobile number successfully changed ho jayeg. Aur aapke payment bank account ka no. bhi change ho jayega.

Dosto Paytm Wallet Ka Mobile Number Change Kaise Karte Hai, How to Change/Update Paytm Account Mobile Number In Hindi ye ab aap seekh hi gaye honge. Agar aapko ye article accha laga and ye post aapke liye useful raha to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare

aur essi or bhi article ko read karne ke liye Humari site par visit karte rahe. And latest post ki notification apne email address par received karne ke liye humari site ko subscribe kare. isse aapko new post ki jankari aapke email par hi mil jayegi.

3 COMMENTS

  1. My Awadhesh Kumar mera mobile number change karna hai koi Yojana dijiye Jaise mobile number change ho jaya Rajasthan number band ho gaya hai Jo number hai 7080112217 Wohi sir number Laga dijiye

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here