Old Mobile Ko Sell Karne Se Pahle Kare 6 Jaruri Kaam ( Security Tips )

4
old mobile phone ko sell karne-se pahle kya kare 7 jaruri tips

Hii friends old mobile ko sell karne se pahle kya kare, purane phone ko bachne se pahle kya karna chahaiye ye main aapko iss post me batunga. Technology ki dunia me lagbhag sabhi log Gadget ka use karte hai. Aap apne daily routine ┬аme bhut se gadget ka use kar late hai. Jaise tv mobile computer etc.

aaj kal sabhi logo ke pass apna smartphone┬а to hota hi hai. Kyoki inka price range bhut kam hota hai jo ki aapke budget me aa jate hai. and ye daily new launched hote hai. And market me naye naye mobile aate rahte hai. or ye updated hote rahte ┬аhai

jinme new version camera quality and bhut si essi chije hoti hai jo ki humare old phone se jayda hoti hai.

Old Mobile Ko Sell Karne Se Pahle Kya Kare

Contents

Lagbhag sabhi logo ka 4 – 8 month ya usse bhi kam time me apne mobile se man bhar jata hai or vo new mobile buy karna chahate hai .

lekin usse pahle vo apne old mobile ko sell karne ka sochte hai jisme se bhut se log jaldbaji me apna purana phone bechte time essi mistakes kar dete hai jinse aapka data hack ho jata hai or vo kaise hota hai and isse kaise bache ye aapko iss post ko pura read karke pata chal jayega.

purare phone k ko kaise beche ya old mobile ko sell karne ke liye konsi site aur app hai isske bare me aapko apni next post me batunga jiski notification email par received karne ke liye humari site ko subscribe kar sakte hai.

Agar aap apne android smartphone  ko bachna chahate hai to apne mobile ko bachne se pahle aap niche likhi 6 bate ka khayal rakhe-

Old Mobile Phone Ko Sell Karne Se Pahle Kare 6 Jaruri Kaam ( Security Tips )

1. Google play store se logout kare

Agar aap android mobile user hai to aapke phone me google play store jarur aaya hoga and isse aap use bhi karte honge kyoki google play par aapko millions apps milte hai jo ki bhut kaam ki hoti hai.

agar aap google play par sign in hai to aapko aapko isse logout karna hoga nahi to aap jise mobile sell karege vo aaka google play account ka misuse kar sakta hai google play se account logout kaise karte hai ye janne ke liye aap niche link par click karke post read kar sakte hai.

sim-card-nikal-le

2. old mobile me se sim card Nikal le

Aap jis phone ko bachna chahate hai usmese apna sim card jarur nikal le kyoki sim me aapke important contact hote hai vaise bhut se log phone sell karne se pahle hi sim card jarur nikal lete hai. lekin agar aap sim card nikale bina hi kisi ko mobile sell kar dete hai to  to isse aapke important contact to jayege hi sath me apke sim ka use esse kaam kar ho sakta hai jissme ki baad me aapko problem ho sakti hai.

sd-card-nikal-le

3.Memory card ya sd card ko nikalkar unmouth kare

sdcard me aapka sara data store rahta hai issliye agar aap apne old phone ko sell karte time usmese apna sd card nikalna bhul jate hai to isse aapka data yani personal photo video document ka vo person misuse kar sakta hai jise aapne phone sell kiya hai issliye apne moile mese sd card ko nikal le or setting me jaker sd card ko unmouth kar de.

4. Data ka full Backup bana le

apne mobile ke  all data ka backup jarur lele data matlab image photos videos document app sabhi jo aapne phone me store rahta hai. backup lene ke liye aap google play store par bhut si apps hai lekin aap bina app ka use kiye hi backup file bana sakte hai. Setting me jaker backup and restore par click karde or backup data option par clcik karde yaha aap apne google drive me  apne phone ka all data ka backup bana sakte hai.

5.Factory data reset karde

apne data ka pura backup lene ke baad phone ko reset karde isse aapka data delete ho jayega yani apne phone ko formate karde. isse aapke mobile me jo bhi hoga vo sabhi delete ho jayega jaise games apps or agar phone me contact bhi hai to vo bhi delete ho jayege issliye factory data reset karne se pahle data ka full backup jarur bana le.

Phone ko reset karne ke liye apne mobile ki setting me jaye waha backup and reset option dikhega uspar click karde or sabse niche factory data reset par click karde Ab aapko reset phone ka option dikhega upar click karde ab agar aapse lock code manga jayega agar aapne pattern lock dala hai to pattern lock ko dalne ke liye bola jayega fir aapko data reset hona start ho jayega

6. Phone ko hard boot kare

phone ko formate karne se vaise to aapka data puri tarah delete ho jata hai lekin agar aap apne mobile ko bilkul essa banana cahahte hai to aapne use buy kiya tha tab tha yani sabhi hidden file and shortcut ko delete karke phone ki speed badana chahate hai

to aap use hard boot kar sakte hai isss aapke mobile ki performance to improve hogi and sath me aapke mobile se vo shortcut virus bhi remove ho jayege jo factory data reset karne par delete nahi huye the.

Phone ko hard boot karne ke liye aap apne mobile ko swich off karde or fir power button ke sath volume down key dabaye. Wha aapko hard boot ka option dikhega jise aap power button se select kar sakte hai.

Iss tarah friends aap apne old phone ko sell karne se pahle in 6 jaruri bato ka khayaal rakhe or in tariko ka use karke apne phone ke data ko secure rakhe or ye post accha lage to isse social media par share karna na bhule.

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here