Mobile Ke Phone Number Par Photo Kaise Lagaye – Set Image In Contacts

0
mobile ke phone number par photo kaise lagaye set kare

Contact Number Par Photo Kaise Set Kare, Mobile Phone Me Kisi Bhi Phone Number Par Photo Kaise Add Kare. Dosto agar aap android mobile use sakte hai to aap apne contacts par image bhi laga sakte hai means aapke phone me aapke friend, relatives aur bhi bhut se logo ke number save hote hai to agar aap chahate hai ki jin logo ke phone number aapke mobile me hai vo aapko call kare tab unka photo dikhe to aaj me issi ke bare me batane wala hu.

Kisi Ka Call Aane Par Photo Kaise Aati Hai ?

Contents

Android Mobile me hume bhut se esse feature milte hai jo humare bhut hi kaam ke hote hai. Friends jaisa ki aap jante hi honge ki bhut se logo ka name same hota hai means jaise ki mera name manish hai to mere friend ka name bhi manish ho sakta hai ye normal si baat hai

aur esse hi sabhi logo ke name same same yani ki ek jaise hote hai to hum agar humare esse friends ka contact number apne mobile me save karte hai to unke name match ho jate hai to agar hume humara friend call karta hai to uska number save hone ke baad bhi hum usse pahchan nahi pate hai ya galat samajh lete hai

example ke liye jaise mere 5 friends ka name manish hai to me apne mobile me un 5 logo ka number manish name se hi set karunga but problem tab hogi jab mera vo friend mujhe call karege ya me usse call karunga

kyoki pata hi nahi chalega ki kis manish ka call aaya hai issi tarah agar aapki bhi yahi problem hai to isska best solution ye hai ki aap apne sabhi friend ke number par photo set karde isse aapko easily bina name dekhe hi pata chal jayega ki aapko kisne call kiya hai.

Phone Number Par Photo Kaise Lagaye ? Add Kare

Android hi nahi vaise to lagbhag sabhi mobile me hum contact number par photo add kar sakte hai and isske liye hume koi bhi app apne mobile me install karne ki jarurat nahi hai ye feature humare devices me pahle se in built aata hai. Aur sabhi mobile ke contact number par photo set karne ka tarika bhi ek dum same hi hai.

Mobile Phone Ke Contact Number Par Photo Kaise Set Kare ?

tap-on-your-any-contact

  • Sabse pahle aapko apne mobile ke contacts me jana hai ab yaha par aapko jis bhi Phone number par image lagani hai uspar click kare.

tap-on-photo-icon-and-choose-from-gallery-option

  • Ab yaha apne name ke aage photo icon dikhege isspar click karde. Fir aapko take a photo and choose from gallery 2 option dikhege agar aapko image phone camera se capture karke upload karna hai to 1st option choose kare aur agar aapke mobile me pahle se photos hai aur unmese hi use karna chahate hai to 2n option choose from gallery par click kare.

select-your-which-photo-you-want-to-add-your-contact

  • Ab aap apni mobile gallery me puch jayege yaha aapki sabhi images hogi ab jis bhi image ko contact par lagana hai uspar click karke select kare.

tap-on-ok-option

  • Ab aapko photo ko crop karne ke liye bola jayega crop select karne ke baad ok par click karde.

now-photo-successfully-set-in-your-contact-number

  • Congrats ab aapki photo successfully contact number par set ho jayegi.

Issi tarah easily aap apne friend ya kisi ki bhi image contacts par save kar sakte hai.

tap-on-remove-photo-option

Agar aapse galti se koi galat image contacts par set ho jati hai to usse hatane ke liye us image par click kare fir yaha par remove photo wala option dikhega isspar click karde.

Dosto Phone Number Par Photo Kaise Lagaye, Contact Number Par image Kaise Set Kare ye ab aap seekh hi gaye honge agar ye information aapke liye useful rahe to isse apne dosto ke sath social media sites par share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here